Question: Kin kin halaat main nimaz nhi hoti..........? aourat aour mard donun k bary main............
Answer: Aurat par haiz ki halat mai namaz aur is jaisi doosri ibadatain jinhain wazoo ya ghusl ta tayammum sai anjam dia jata hai haram ho jati hai. albetta mard k lie aisi koi halat nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASA,can a lady enter in Masjid ul Haraam during Haaiz after doing Wuzu???
Answer: Entering Masjidul Haraam or Masjidun Nabi, even though it may be only passing from one gate and going out of another is Haraam for a woman who is in the state of Haiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Haiz ke dino me darood sharif ya koi aur koi v dua pdh skte h ya nhi .
Answer: Aurat k leye halat haiz me quran majeed bhi parhna jaiz hai aur Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 466-7)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Periods mai konsi ibadat ki ja sakti hai;???
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Periods mai un ibadaton k ada karnay mai koi haraj nahi jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi jaisay namaz e mayyat wagira. Is k alawa Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-66)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asllam.o.alikum mera sawal ye hy ke aurat ko jb mahene ke ayam 7din ayen tou wo bina hath lgae quran pak ko darood pak aur aytulkursi parh sakti hy plz jwab lazmi dain
Answer: 1)Haaiz(wo aurat jo periods mai ho) k lye quran majeed parhna baaz fuqha k nazdeeq makrooh hai. magar ayatollah sistani d.b. k mutabiq makrooh nhi hai. 2)Haaiz aurat par quran ki surah sajda ayat # 15, surah ha-meem sajda ki ayat # 37, surah najam ki ayat # 62, surah alaq ki ayat #19 ka perhna haram hai. 3)Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 448, 354, 466-67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar periods ki waja say 41 din ka wazefa pura na kr sakain to sons amal kaise pura kr sakte ha, plz reply
Answer: Period k dino me wazifa karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448,354) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 467)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam main yeh janana chahti hun k haiz k ghusal ky sath body k hair remove krna zaruri ha or agar gusal haiz kr lakin hair remove nai kiye or namaz parh li jae or roza rakh liya hae to jaiz ha .? plz ans me asap ...
Answer: Ghusl e haiz karna rozay aur namaz k lie wajib hai jab k body hair remove karna mustahab hai is lie agar ghusl kar lia ho to roza sahi ho ga roza rakhnay sai body hair ka koi taluq nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 456)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Can I wax my hand and go for eye brow and fascial during periods days kindly reply me JazakAllah
Answer: There is no problem in that. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-67)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar haiz ki halat se pa honay ka yaqeen na ho means shaq ho aur ye bhi na pata ho k dobara ai ga y nhi .....to kya ghusal ada kiya jiiye roza rkhnay k liye?????????/plzzzz replyyyy fst
Answer: ager 10 din se pehle koon e haiz ruk jaae or yaqeen ho ke koon e haiz sharam gaah main mojood nahi hai to gusal kar ke apni ibaadaat ko anjaam dain chahe ap ko gumaan ho ke 10 din pure hone se pehle dubara koon ajaye ga, or ager ap ko yaqeen ho ke 10 din pure hone se pehle dubara koon e haiz ajayega to ehtiyaat e wajib ki bina per gusal e haiz karain or apni ibaadaat ko anjaam dain or wo cheezain jo haiz per haraam hain un ko tark bhi karain. Or ager 10 din se pehle koon e haiz ruk jayae or imkan ho ke sharam gaah main koon e haiz mojood hai ya to ehtiyaat karain (yani gusal e haiz kar ke apni ibadatoo ko anjaam dain or un cheezoo se jo haaizah per haraam hain un ko tark karain) ya istabraah karain (yani apni sharam gaah main kuch din rooi rakh kar intizaar karain) pas ager koon khatam ho gaaya ho to gusal kar ke ibadatoo ko(or is sorat main ager ap ko 10 din se pehle is ke aane ka gumaan ho ya yaqeen ho to bataae gaae hokum per amal karain) or ager khatam na howa ho to ye haiz hai or is ke ehkaam per amal karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 495 , 496 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: assalamoalekum, Kia farmate hain ulma e deen is masle men ke aurat haiz k e ayyam pure karne ke baad jo ghusal karti hai woh tak dino men kare maslan 7 -9-11 agar woh 8-10-barhawen din ghusal karegi to paak na hogi
Answer: Wssalam o alykum, jab orat ka koon 3 din se uper chala jaae or phir 10 din se pehle us ki sharam gaah main koon mojood na rehe to wo paak hai or namaaz or is jesi ibadaat ke liye Gusal e haiz wajib hai (chahe wo din 7 ho ya 9 ya 10 albatta 11 or 12 din ka khoon khoon e haiz nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 438 , 440 , 457 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).