Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8252
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya gusul E haiz kiyai bagair hambistari kar sakhtai hai?

Answer: Haiz ki haalat me humbistri karna haraam hai . laikin jab aurat khoon haiz se paak ho jaay to agarche us ne ghusl haiz nah kiya ho us aurat se us ka shohar humbistri karsakta hai. Laikin ehteyat e mustahab hai k ghussa haiz karne se phele humbistri nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 456,473) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8741
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ramadan main ladies napaki ki halat mein quran parh sakti hain

Answer: Halat e nijasat main quran ki wo 4 ayaat perhna jis k perhne se sajda wajib ho jata hay, jaiz nahi hay baqi quran ki ayaat perhna jaiz hay. Laikin quran alfaaz ko chona jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8765
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia haiz ki halat m oorat (women) namaz waghra parh sakti hn ya nahi plz ans me quick

Answer: Haiz ki halat main namaz perha jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8774
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Plz mjy btaye k kia periods k dinu ma aurat electric quran ko parh r choo skti ha k ni.mery mobile ma pura quran majeed ha ma kuck dinu parha ha periods ki halat ma.agr gunnah ha tu quffara b bta day.shukria

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8878
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is Quran reading allowed during periods for woman?

Answer: It is Haraam in periods to recite those verses of the holy Qur'an on the recitation of which performance of Sajdah becomes obligatory. These verses occur in four surahs of the holyQur'an: Surah Alif Lam Mim as-Sajdah, 32:15 Surah Ha Mim Sajdah, 41:38 Surah an-Najm, 53:62 Surah al 'Alaq, 96:19 Update on dated 02-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8880
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager orat ko rozey mn date aa jaye tu kia uss ka roza toot jaye ga ya wo roza pura karey.plz tell

Answer: Haiz anay se roza tut jata hay or ramzan k baad is roze ki qaza kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8918
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aorat ko doran hess namaz ki qaza nahi our raza ki qaza hy is ki wazahat farma din thx,

Answer: Imam jaffer sadiq a.s se riwayat hay k aap ne fermaya k sunnat main qiyaas ki koe gunjaish nahi hay,kia tum nahi daikhte k haaiz roze ki tu qaza kerti hay magar namaz ki qaza nahi kerti.(ref: wasailush shia,baab#41,part#2, hadees #1). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9001
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia periods k duran hone wali namazon ki qaza ada karne k bary mein islam mein kia hukam hai?

Answer: jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459). Update on dated 03-03-16.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9211
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz khatm ho gya ho pr ghusle haiZ na kiya ho to kya shouhr ke sath sex kr skte h ?

Answer: Aurat k haiz se paak ho janay k baad agarchah os ne ghusl nah kia ho tu os ka shohar os se jima ker sakta hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay k jima sharamgaah dhone k baad kia jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #457). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9255
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: After oberstion my 7 days is complete and bleeding also stop. So i can pray namaz or quran it is zayaz or not..

Answer: Menses comes out 3 to 10 days. When bleeding will be stop, you shuld perform ghuls e haiz(menses) and perform prayers. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456). Up to date: 11-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!