Question: agr aurat ne ghusal janabt nhi kya ar haiz shuro hojata h fr haiz m giusal janabt hosakta h
Answer: Ghusl e janabat wajib namaz aur is jaisi doosri ibadatoo ko anjam denay k lie wajib ho jata hai. lehaza agar mujnib honay k baad koi bhi wajib ibadat ka waqt phounch gya ho to ghusl krna wajib ho jae ga laikin agar janabat k foran baad haiz aa jae tab bhi ghusl janabat alag wajib ho ga aur ghusl e haiz alag wajib ho ga albetta haiz sai pak honay k baad in donoo ghusloo ko aik hi ghusl mai bhi kia ja sakta hai yani donoo ki niyat karain aur aik ghusl anjam dain. Aur haiz sai pak honay sai pehlay bhi ghusl e janabat kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-456)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa.mujy btaien k periods k baad nahany ka tareeka kya pehly wuzo zarori hai aur kya pak hony k liye kuch parhna hota hai? aur aurton ka un ki sharmgah aur underarms sy bal otarna zarori hota kya pak honay k liye
Answer: 1)Aurat k haiz se paak ho janay k baad is per wajib he k namaz aur is jaisi doosri ibadaat jinhain wuzu , ghusl , ya tayammum k saath ada kerna zarori hay ghusl haiz karay . is ghusl ka tareeqa ghusl e janabat ki tarah hai. Ghusl e haiz wazoo ki jigha kafi hai albetta behtr ye hai k ghusl sai pehlay wazoo bhi kray. 2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay: sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa. ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay. 3) (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehi ke gusl k waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar rhi hon bal k faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 456 , 360-365) 4) Haiz k ghusl k lie koi dua nahi. (Ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : March 1, 2011)5)Riwayat k mutabiq puray badan par noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. 6)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamoalaikum.. Sir mera question ye hai kya ladki log period(mense) jitna din chalega utna din Quran pak k ayat padh sakta hai? Pls pls give my ans. As soon as possible
Answer: 1)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay sai sajda karna wajib ho jata hai un Ayaat ko halat haiz main parhna haram hay. wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain. Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 467) 2)haa’iz k lie mustahabb hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai paak kray aur wazoo kray aur agar wazoo na kar sakay to tayammum kray aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salwaat mai mashgool ho jae. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam o alaikum sis ye question hum 2bar kar raha pls pls jawab de djea sis question ye hai kya ladki log period k waqt QURAN PAK K AYAT padh sakte hai? Ya phir apni zuban se dua mang sakte hai kya? Pls answer me sis hum majbur hai.. Jazakallah
Answer: 1)Haaiz(wo aurat jo periods mai ho) k lye quran majeed parhna baaz fuqha k nazdeeq makrooh hai. magar ayatollah sistani d.b. k mutabiq makrooh nhi hai. 2)Haaiz aurat par quran ki surah sajda ayat # 15, surah ha-meem sajda ki ayat # 37, surah najam ki ayat # 62, surah alaq ki ayat #19 ka perhna haram hai. 3)Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 448, 354, 466-67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asalamun alaikum can i enter in imam reza sehan not in roza in iran if i m in periods
Answer: It is haram for haa’iz (the lady who is in periods) on the basis of obligatory precaution, to stay in the shrines of the holy Imams. But there is no problem in staying in the hall which is near to the shrine. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 354) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamo alaykum janab mera sawal ye he k jab biwi ko period lagtta he to uske sath humbistari kar sakte jawab jaldi dijiyega asap khuda hafeeez
Answer: Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyat-e-wajib ye hai k supari se kam miqdar main bhi dokhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr(peche wali sharam gah) mai jima k lie nhi hai laikin dubr(peche wali sharam gha) mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haaiz ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa sir swal yeh hai k bivi k sath minsis k deno main pechay say kam kernay ka kia gunah hai
Answer: Haiz k ayam(days) main aurat (women) k dubr(pechay wali sharam gah) mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam my question is dua ahad ko 40 days tak perhna chaiye subah kay waqt. ladies kay ayam heiz mein aurat ke kiya zemadari hein aya woh subah fajr kay waqt dua perhe ya din kay kisse bhee waqt mein woh dua perh sakte hein.?
Answer: Aurat k leye halat haiz me quran majeed bhi parhna jaiz hai aur Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 466-7)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamo alaikum, main yeh janna chahta hoon ke agar shia maslaq me ladki ka haiz chal raha hai aur uska nikah hona hai to kya nikah ho sakta hai
Answer: Periods(haiz) ki halat mai nikah to ho sakta hai magar wo donoo intercourse nahi kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335,448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir kia koi talib e Ilam haiz k dinon men Quran E pak Nazra parh sakti he ??? or Quran e pak ko Kisis pak kapry k madad sy pakar sakti he ??????
Answer: Jo aurat haiz ki halat mai ho os k lie quran ko parhna, Saath rakhna, Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)