Question: Aoa sir kindly tell me after periods can we take bath on Friday?
Answer: Jee haan jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #387). Update on dated 16-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa mra swal ya hy k mny rat ko hambistari ki lakin bad ma blood nzar aya to pta chla k menses shuru ho chuky thy or anjany ma sb kuch during sex hogya iska kia kaffara hy plz rehnumsi fermyn
Answer: Agar pata nahi tha keh haiz shuru ho chuka hay to koe kaffara nahi hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 448/49) [Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام Ùˆ علیکم مجھے پوچھنا ÛŒÛ ÛÛ’ Ú©Û Ú©ÛŒØ§ Øمل Ú©Û’ دوران بھی ماÛواری ÛÙˆ سکتی ÛÛ’
Answer: Hamila or doodh pilanay wali aurat ko bhi haiz aana mumkin hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 41, Mafhoom e Maslah # 435). [Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nijasat ki halat mai sex karsakhty hn jb k periods band hochuky ho but ghussal na hwa ho???
Answer: Aurat k Haiz se paak ho jaane ke baad agarche osne ghusl nah kiya ho shauhar os se jima bhi kar saktaa hai. Laikin Ehtiyaat-e-laazim ki bina par jima sharamgaah dhone ke baad kiya jaey aur ehtiyaat-e-mustahab yeh hai keh os k ghusl karne se pahle mard os se jimaa nah kare. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 457) [Updated on 17-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia periods main istimal Kia gya kambl razai or jrsi Naha k paak hony k bad istimal ki jaa skti hai ?
Answer: Haaiz ki halat main aane wala pasina pak hota hai.Haaiz k badan or libas ka faqat wo hissa najis hota hay jis per khoon e haiz laga ho or baaqi tamam libas or badan paak rehta hay. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail maslah no: 114/119). [Updated on 03-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can we make Nazar meal during the period?
Answer: yes you can,there is no problem in it.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448) [Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia haiz ki halat m nazar ka khana pka skte hai
Answer: jee pakaa sakte hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam -o-Alaikum Question: kia halat e haiz mai masoomeen k nazar ka bnana ya pkana sahi hy ya nahi ?
Answer: wsalam. Jee banai jaa sakti hai haram nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: peroid k doran bv ko galay lagna kiss krna usk upr letna usk sath sona kiya jaiz hai?
Answer: Agar bivi haiz ki halat main ho tub hi ye pochaey gaey tamaam kaam jaiz hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448). (Update on dated 20-04-19). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mera sawal ye hai k agar koi saman maine nijasat me chhua hai maslan maine haiz k waqt ek shakkar (sugar) ke dibbe se shakkar li to kya wo sugar najis ho gai h us sugar ka istemal hum nazar dilane me istemal nhi kr sakte please jawab den shukriya
Answer: Halat haiz main aurat ka tamaam badan nijis nahi ho jata, sirif khoon e haiz najis hay. lehaza cheni paak hay or os cheeni ko niyaz main istemaal kar sakte hain.((Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448,467). Update on dated 20-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).