Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9258
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How to do ghusl haiz ?

Answer: Tertibi ghusl me ehtiyaat e lazim ki bina per ghusl ki niyat( yaani ghusl janabat karta hoon qurbatan ilallaah ) k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #360,357). Update on dated 17-11-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz ki najasat me balon or hathon me mehndi lagana jayez hai ya nhi??

Answer: Halat e haiz main mehendi lagana jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 467). Update on dated 13-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9365
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا عورتیں حیض میں قران اور نماذ پڑھ سکتی ھیں؟

Answer: Halat e haiz main namaz or os jaisi digar ibadatain jinhain wuzu, ghusl ya tayammum k sath ada kerna zarori hay, agar is niyat se anjam day k sahi amal anjam day rahi hoon, jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456). Halat e haiz main wajib sajday wali 4 ayaat perhna jaiz nahi hay. Haiz k liay quran majeed ka perhna or osay apne sath rakhna or apne badan ka koe hissa os k sath alfaz k dermiyani hissay se mas kerna neez mehendi ya os jaisi kisi or cheez se khizab kerna grooh e fuqaha k qaul k mutabiq makhrooh hay. Update on dated 21-03-17. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354,448,467)

Id: 9391
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamwaleku mujhe he puchna hai aurat napaki halat mein daragah ja Sakti hai kya

Answer: Jaiz hay, laikin agar dargaah main masjid ho tu os masjid main teherna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #5). Update on dated 07-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9436
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: keya halat haiz main orat Quran sun skti hy .please english main btayn

Answer: Jee haan, jaiz hay. (Yes, it is). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 09-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9444
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa. i want to ask that if periods are gone more then 10 days then a female can do prayers, fasting and recitation of Quran-e-Pak?

Answer: Yes, in this situation, you must perform prayers and fasting after 10 days. But berfor prayers and fasting you must do ghusl e haiz. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #476). Update on dated 10-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya mensturation k 5 day ko gussul haez laekar bhi thoda sa laal dekhe toh is par hum apne shauhar k sath jama kar sakte hai qoitrat

Answer: EhtIyaat e lazim ki bina per aap wo tamaam umoor anjaam den jo paak aurat per wajib hen. Or wo tamam kaam tark ker den jo haaiz aurat per haram hoty hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #442). Update on dated 16-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9712
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ghusal e haiz krtay wqt jism pr kuch pur sktay hain jaisay Darod pak? ya purnay mai gunah ho ga?

Answer: Fuqahah k qoul k mutabiq haaiz ka quraan majeed ko parhna makrooh hai,lekin ayatollah seestani k nazdeek makrooh nahi hai,or haaiz k liye mustahab hai k namaaz k waqt apney aap ko khoon sai paak karey or roi ya kaprey ka tukra badlay or wuzu karey or agar wuzu mumkin na ho tou tayamum karey or namaaz ki jagah par beth kar rub a qibla beth ka zikr dua or salwaat mai mashgool hojaye.(Ref:Tauzeeh ul masaail ayatollah seestani edition 39 maslah#466,467). Update on dated 13-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9755
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Periods khatam ho Jane ky baad brown lecoria aye to kiya dubara ghusal krna pary ga?

Answer: Agar aurat haiz main waqt or adad ki adat rakhti ho, or adat k ayaam mukammal hone k baad or das din se pehlay khoon ka qatra(spooting) ya zard rang ka khoonh aay tu is ki 2 soratain hain: 1-Ye khoon musalsal aa raha ho or khatam nah ho tu agar ye khoon 10 din se pehlay khatam ho jaey tu haiz shumaar hoga or agar 10 rooz k baad khatam ho tu jo khoon 10 rooz k baad aay wo istehaza hoga. 2- Khoon ka qatra(spooting) ya zard rang ka khoon mustaqil nah ho, maslan aik autat apni adat k mutabiq mahine ki 1 se 7 tareekh tak khoon e haiz daikhay or paak ho jaay or os ne ghusl e haiz anjam bhi day liya phir do din k baad zard khoon aya or os k baad khatam ho gaya tu ye bhi haiz shumaar ho ga, or aurat ko dobara ghusl e haiz karna hoga,or do paaki k darmiyaan ehtiyaat e wajib ki bina per on tamaam kaamo se parhaiz kerna hoga jo haaiz per haram hain or or wo tamaam kaam anjaam daine hoongay jo ghair e haaiz per wajib hain, or agar is aurat ko phir 11 tareekh ko khoon ka qatra(spooting) ya zard khoon aay tu ye istehaza shumaar ho ga.(Ref: tauzihul masael jaame part#1, maslah#569). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9917
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alaikum... Humbstri krne k bd pta chla k haiz shuru ho chuka tha, leukoriya smjh k bv ne check ni kya k haiz h ya leukoriya... Is bare ma islam kya khta h

Answer: Q k ilm nahi tha, is liay gunahgaar nahi hain, aurat paak hone k baad haiz or janabat k liay aik ghusl kare gi. (Ref: Ayatullah khumeni(r.a),Tauzeehul masail, maslah #451). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!