Question: Assalamu alihum. Kya haiz k paanch din baad aurate namaaz pad sakti hai
Answer: Aurat ka haiz sai pak ho janay k baad namaz parhna wajib ho jati hai. Aur jo namazain is nai haiz ki halat mai na parhi hon in ki qaza nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 456-59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia Halat-e-Haiz or Nifas mai , Niaz Nazar ya koi aisi cheez khana jis per kisi Imam Ya Muhammad(Pbuh) ka naam ka khana jaiz hai.
Answer: Ge haan jaiz hai.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #448). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aurthon k liye ghusal e haiz krne ki dua kya hai ?
Answer: Haiz k ghusl k lie koi dua nahi. (Ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : March 1, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir ma pouchna chahta ho k jb wife ko mahwari k day ho tu aen day ma wife k katny kreeb ja skty hai ?kia kar sakty hain kia nahe kar sakty? plz mera Question ka answear asan urdu words ma dana thankyou sir mujay app k answear ka wate rahay ga
Answer: 1)Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari(paishab ki nali ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr mai jima k lie nhi hai laikin dubr mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho. 2)Wo aurat jo haiz ki halat mai ho os sai jima k alawa doosri lutf-andozio maslan bas o kinar ki mumaneat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia periods k doran aurat mehinde laga skte hai k nhe? nails kat sagte hai k nhe ?
Answer: Ayatullah Sistani k nazdeek periods ki halat mai mehandi lagana makrooh hona sabit nahi hai. aur periods k doran nails kaat saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 467)Periods k doran nails kaat saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Haiz ki halat me namaz kitney dino tak muaaf he?
Answer: Jab sai haiz ka khoon aye os waqt sai jitnay din tak khoon aye, namaz aur is jaisi doosri ibadatain jo wazoo, ghusl ya tayammum k sath anjam di jati hain wo os aurat par haram ho jati hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamu alaikum periods ki gusul ki dua kya hai? aur husband aur wife saat rehate hai to naane ki dua kya hai
Answer: Ghusl e haiz k liay koe dua perhna wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #231). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: doran e khaiz ager aurat ki death ho jaey to kya usay ghusal diya jaey ga?islam main is bary main kaya kaha gya ha?
Answer: Jo aurat haiz ki halat mai mar jaey usay ghusle haiz dainay ki zarort nahi hai balkay sirf ghusl e mayyat daina kafi hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #555). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: haalat.e.haiz may quran paak ki tilawat ki ja skti hay?? aur maximum kitni aayyat parhi ja skti hain?? ahle sunnet k mutabiq is doran quran pak ko hath lagana b haram hay.. hamaray firqay may is ka kia hukam hay
Answer: Halat e haiz main pura quran parhna jaiz hai siwaey un 4 ayaat k jin ko parhnay say sajda wajib ho jata hai unko parhna haram hai.aur quran k alfaaz ko hath lagana haram hai laikin uski jild aur pages ki khali ki jaga par hath lagna haram nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #448). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ye hai k periods k bad aurat k ghusal krne ka koi asaan tarika bta den. or kia ghusal aurat ko 7 din k bad krna hota hy or neeyat krna zroori hai ye nhi..
Answer: Aurat ko jab haiz ka khoon ruk jae tab namaz aur is jaisi ibadat k lie os par ghusl e haiz wajib ho jata hai chahae 3 din bad rukay ya 7 din bad. Aur ghusl e haiz ka tareeqa ghusl e janabat ki terah hai. Ghusl e haiz ka tareeqa : Ghusl me ehtiyat e lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badn ko pehlay right side sai dhoya jae aur os k baad left side sai dhoya jae. ghusl e haiz ki niyat k waqt niyat krain k wajib ghusl kar rahi hon bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl krain to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl e haiz krti hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 456, 360)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).