Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10465
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamualikum sir mujhe pata krna hai ke periods ke ktne din baad intercourse krna chaheyah jis se hamal tharjaye....

Answer: Haiz khatam hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgaah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay keh is k ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #457). Update on dated 12-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10566
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we recite darood e pak during periods

Answer: Yes you can.(Ref:Tauzeeh ul masai ayatullah seestani edition 41 maslah no 448) [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10604
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Periods ki namazen kafi hoti hain ya qaza parhni hoti hain?

Answer: Periods k doraan jo namazein aurat ne nahi parhi un ki qaza nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 459). [Updated on 09-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10712
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Periods k bad Bina gusal k Kia hambustri ki ja skti hy ya nai agr nai to iska kafara kia hy

Answer: Haiz khatam hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgaah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay keh is k ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #457). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10724
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alikum mera sawal ye hai k kia Haiz ki halat me aurat Alam pak ir dosari ziyarat kr skti hai,

Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448). Update on dated 06-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10802
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun alaikum, Janab arz hai ki khwateen periods (Haiz) ke dinon me kisi bhi tarah ka nazr ya tabarruk paka sakti hain ki nahi, aur us nazr ke saman ko kha sakti hain ki nahi?.

Answer: Ye sab kaam haiz wali aurat kar saktri hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448). Update on dated 19-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10842
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualaikum Agr pata na hu haz ka or humbistri hu jy tw ?

Answer: Is sorat main koe gunah nahi hoga. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#229) Update on dated 11-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10932
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Period ay ko 10 din Ho gy h Hat Ni rahy

Answer: Haiz ki Muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. agar khoon 10 din se ziada aye to phir dekhna parega keh aya woh khoon zakham ka hai ya istehaza hai ya koi aur. agar istehaza ho to phir yeh dekhna hoga keh istehaza qaleela hai , mutawassita hai ya phir kaseera hai. istehaza ka khoon ziada tar zard rang ka aur thanda hota hai aur fishar aur jalan ke beghair kharij hota hai aur garha bhi nahi hota lekin mumkin hai keh kabhi siyah ya surkh aur garha ho aur fishar aur jalan ke sath kharij ho, istehaza Qaleela ki pehchan yeh hai keh khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko alooda kare jo aurat apni sharamgah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare, istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye , agar cheh is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten amooman khoon rokne ke liay bandhti hain, istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 438,390,391,392,393,394). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10978
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya periods k doraan harram jaa skty hn,jb keh periods b khul k ni ho rhy .Or kya harram k syhn mn b ni ja skty. yahan haram ka mtlb makkah khana kaba k syhn hy.?

Answer: doran e haiz, Masjid ul haraam aur masjid e nabawi s.a me jana haram hai khuwah ek darwazy se ja ke dosry darwazy se nikal aye, aur isi tarah in masjidon me thernay ka bhi yahi hukum hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no # 448,354). [Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10985
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam walyqum mujy ye pocha hai k agr haiz 5 din aty hain or 6 day pak hokr humbistri krskty hain ya nae ? Iska koi gunah toh nae ?

Answer: Jee han, haiz ke khatam hone ke baad humbistri karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 42 edition, maslah #449) [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!