Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11062
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum haiz ke 6th day ki magrib bad kya hum ghusl krke namaz ada kar skte hai

Answer: agar haiz ka khun ana ruk gaya hai to phir ap ghusal kar ke namaz parh sakti hain. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 448,(Wajib Ghusal) Mafhoom e Masla ). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11330
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 7 din se zayada Marwari ho to kya hota ha

Answer: haiz ki muddat teen din se kam aur das din se ziada nahi hoti. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, edition 41, Masla no #438) [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11347
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr haiz 10 12 din tk rhy or us k bd pury din ma ayk br spot lgy to asi halat ma hr namz k liya alg alg ghusal krna ho ga

Answer: Haiz ki Muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. agar khoon 10 din se ziada aye to phir dekhna parega keh aya woh khoon zakham ka hai ya istehaza hai ya koi aur. agar istehaza ho to phir yeh dekhna hoga keh istehaza qaleela hai , mutawassita hai ya phir kaseera hai. istehaza ka khoon ziada tar zard rang ka aur thanda hota hai aur fishar aur jalan ke beghair kharij hota hai aur garha bhi nahi hota lekin mumkin hai keh kabhi siyah ya surkh aur garha ho aur fishar aur jalan ke sath kharij ho, istehaza Qaleela ki pehchan yeh hai keh khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko alooda kare jo aurat apni sharamgah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare, istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye , agar cheh is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten amooman khoon rokne ke liay bandhti hain, istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye, istehaza qaleela men har namaz ke liay alehda wazu karna zaroori hai aur ahtiyat e mustahab ki bina par royi ko dhole ya usay tabdeel kar de aur zaroori hai keh sharamgah ke zahiry hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho le, istehaza mutawassita mein ahtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh aurat apni namazon ke liay rozana aik ghusal kare , yeh bhi zaroori hai keh istehaza qaleela ke woh afaal anjaam de jo sabiqa masaley men bayan ho chukay hain, istehaza kaseera mein ahtiyat e wajib ki bina par zaroori hai keh aurat har namaz ke liay royi aur kapray ka tukra tabdeel kare ya usay dhoye aur aik ghusal fajar ki namaz ke liay aur aik ghusal zuhar wa asar ki aur aik ghusal maghrib wa isha ki namaz ke liay zaroori hai. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 438,390,391,392,393,394). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11486
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz k halat me kya sabke sath baithkr wazoo bnake wazifa padh skte hai

Answer: Jee, wuzu kar k wazifa parh sakte hain laikin quran k wajib sajdo wali koe ayat nah perhi jaey.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 448). [Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11520
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: haiz k akhri din me humbistri k nuksan kya hain?

Answer: Haiz ke doran Aurat ki faraj me jima (humbistri) karna mard aur aurat donon ke liay haram hai, khuwah dukhool sirf sipari ki hadh tak ki ho aur mani bhi kharij na hui ho balkeh ahtiyat e wajib yeh hai keh sipari se kam miqdar me bhi dukhool na kiya jaye , albattah yeh hukum aurat se dubur me mujameat ke liay nahi lekin dubur me mujameat aurat ke razi na hone ki surat me ahtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai chahe woh haiz ki halat me ho ya na ho. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 448 ). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11587
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya haiz k doran wife ki fingering kr skty ha agr nhi to is ka kya kafara ho ga???

Answer: Jaiz hay or koi kafara nahi hay. (Ref: Ayatullah e Sistani d b masahil e muntakahba ahkam e haiz mafhoom e masla # 70,71,72) [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11707
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hamal tharny k bad mahwar aa jy phr b orat maa ban sakti ha k ni

Answer: Jee han ban sakti he (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 41 edition mafhoom e ,maslah # 435) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11721
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr 3din tk haiz aaey phr na aaey aur nha Len aur shohar qarreb aajaey phr 6ya 7 din Thora sa blood aaey tu kya pak nai hoey thy aur hr maheeny aesa hota ho tu Kya krna chaheye

Answer: Agar kisi aurat ko teen din mutawatir khoon aata rahe phir wo paak ho jaey. Chunacheh agar wo dobara khoon dekhe tu jin dino main wo khoon dekhe or jin dino main wo paak ho in tamaam dino ko mila kar agar das din se ziyada nah ho tu jin dino main wo khoon dekhe wo haiz k din hain laikin ehtiyaat e lazim ki bina par paaki k dino main wo in tamaam umoor ko jo paak aurat par wajib hain anjam day or jo haaiz par haram hain, onhain tark kar day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#442). [Updated on 08-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11806
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam alikum Mera sawal ye ha k kia haiz ki halat me wazu kia ja skta ha Jezy agr koi tasbih parhni hoto usky liye wazu krna ho to kr skty hn haiz ki halat me?

Answer: haiz ki halat mai un ibadaton k ada karnay mai koi haraj nahi jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi jaisay namaz e mayyat wagira. Is k alawa Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua, tasbeeh aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-66) [Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11820
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Qibla sawal ye hai k kia ourat halat e haiz ma tasbeeh hath ma le kar parh sakti hai? Jawab zror dijye ga plz

Answer: Haiz ki halat mai un ibadaton k ada karnay mai koi haraj nahi jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi jaisay namaz e mayyat wagira. Is k alawa Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua, tasbeeh aur silawat mai mashgool ho jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-66) (Note: Jee han aurat halat e haiz me tasbeeh hath me le kar parh sakti hai.) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!