Question: A.o.a...kya haiz e ghusal se pehly hair remove kr skti hn?
Answer: 1) Haiz khatam hone k baad sirif ghuls e haiz kerne se aurat paak ho jati hay. Paak hone ka sharamgaah k baal kaatne se koe ta,alluq nahi. (Yani hair remove kie jasakte hain )(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456) 2) Riwayat k mutabiq puray badan par noora (Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia urat napaki k dinon mn apny jism sy ball saff kar sakti hay? hum nay suna tha k napaki mn ball nai utar skty.
Answer: jee is mai koi harj nahi ye haaiz k liye ye kaam haraam nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 456). [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir agr meri bivi k periods k days hen to un days me kya numaz prhna jaiz he.?
Answer: Aurat par haiz ki halat mai namaz aur is jaisi doosri ibadatain jinhain wazoo ya ghusl ta tayammum sai anjam dia jata hai haram ho jati hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448) [Updated on 29-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haizka ghusal thursday ko kr sakty hain?
Answer: Haiz khatam hone ke bad namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal e haiz wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 456) (Note: Jee han, jab khoon khatam ho jaey ghusl kar k namaz ka waqt baqi hone ki sorat main namaz ko baja lana chahhiay) [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat Haiz ki halat me ilme deen hasil karsakti hai
Answer: Jee han ilme deen hasil kar sakti hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448) [Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia dua e jushan e sagheer periods ki halat m parhi ja skti hai?
Answer: jee periods ki haalat mai dua e joshan e sagheer perhi jaa sakti hai lekin apne badan ka koi hissa allah k naam sai muss karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr wife ko periods aye jayen or 5wein din periods khatam ho jayen. Tou Wife bina Nahaye Shohar se Humbistri kr sakti ha kya?
Answer: Haiz khatam hone k baad gusl kiye bagair hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgaah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay keh is k ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #457). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam Alikum , Kia Halat e Nejaasat ( Halat-e-Haaz)main Hair color ka use karsakty hain ? Ya Ghusal kay bad use karna hoga ?
Answer: Halat e haiz main mehendi ya os jaisi kisi or cheez se khizab kerna grooh e fuqaha k qaul k mutabiq makhrooh hay. Update on dated 21-03-17. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #467) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walaikum Mera sawal hai agar haiz 5 din me khatam ho jaye to gusl kar k namaz jayaz ho sakti hai
Answer: Jee han gusl kar ke namaz parh ja sakti hai, Q ke haiz ki muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, edition 41, Masla #438) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam un Alaykum!! Ya Aliع Madad❤ Mera sawal ye h Kya haiz k dino me zakiri kr skte hain? Plz isko refrence k sth hmy jawab de dyn.
Answer: Jaiz hai, kar sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #354) [Updated on 22-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]