Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar hamila awrat ko bleeding k dots dekhe to us pe koun sa gusl wajib hai

Answer: Agar is khoon e haiz ki sharait maujood hain tu haiz k ahkam per amal kia jaey, Q keh hamila ko khoon e haiz aana mumkin hay. (Ref: tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#435). [Updated on 19-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13223
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia haiz ki halat main qabaristan ja saktay Hain

Answer: Haiz ki halat main qabaristan jana jaiz hai, lekin 12 Imamo (a.s) ke Haram main therna – ehtiyaat e wajib ke etibaar se – jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 39th, maslah #354,448) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13245
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz sy 2 din pehly dark discharge hona kia haiz mai shamil hai Shukriya

Answer: Jee nahin, ye haiz men shamil nahin hai. Q keh Haiz ke khoon ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahen hoti aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahe hoga. Aur Haiz k lie zarori hai k phele 3 din lagataar aae lehaza agar misaal k tour per kisi aurat ko 2 din khoon aae phir 1 din na aae aur phir 1 din aajaae to wo haiz nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438,439) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13253
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya haiz ya hadas ki halat main surae alaq ya es ki phale 5 ayat parh sakte hain.kya in ayat main sajda wajib ha or es ka taweez gale main periods ki halat main daal sakte hain ya utar dain

Answer: Halat e nijasat main quran ki wo ayaat perhna jis me sajda wajib ho haram hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fusselat (ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najm surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah alaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat). In ke elawa baqi quran ki ayaat ka perhna jaiz hay. Laikin quran ke alfaaz ko chona jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition 39th, maslah #354,448). (Note: Surah Alaq ki ayat # 19 (yani last ayat) ka parhna haram is ke elawa baqi pura surah parhrna jaiz hai. aur surah alaq ko taweez ke taor par pehenna bhi jaiz hai) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13257
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya nijasat ke halat me paani ki tank dho skte h

Answer: Jee han, Dho saktay hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 119). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum mujy haiz ki halat mai aj 9th day tha mai ny ghusl kiya tou usky bd mjy mehsoos hua k mujy dubara agya hai ab mai daswy roz paak hojaun or agr 11day mjy dubara mehsoos hojy tw wo khoon najis hoga?

Answer: Haiz ki Muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. agar khoon 10 din se ziada aye to phir dekhna parega keh aya woh khoon zakham ka hai ya istehaza hai ya koi aur. agar istehaza ho to phir yeh dekhna hoga keh istehaza qaleela hai , mutawassita hai ya phir kaseera hai. istehaza ka khoon ziada tar zard rang ka aur thanda hota hai aur fishar aur jalan ke beghair kharij hota hai aur garha bhi nahi hota lekin mumkin hai keh kabhi siyah ya surkh aur garha ho aur fishar aur jalan ke sath kharij ho, istehaza Qaleela ki pehchan yeh hai keh khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko alooda kare jo aurat apni sharamgah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare, istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye , agar cheh is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten amooman khoon rokne ke liay bandhti hain, istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye, istehaza qaleela men har namaz ke liay alehda wazu karna zaroori hai aur ahtiyat e mustahab ki bina par royi ko dhole ya usay tabdeel kar de aur zaroori hai keh sharamgah ke zahiry hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho le, istehaza mutawassita mein ahtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh aurat apni namazon ke liay rozana aik ghusal kare , yeh bhi zaroori hai keh istehaza qaleela ke woh afaal anjaam de jo sabiqa masaley men bayan ho chukay hain, istehaza kaseera mein ahtiyat e wajib ki bina par zaroori hai keh aurat har namaz ke liay royi aur kapray ka tukra tabdeel kare ya usay dhoye aur aik ghusal fajar ki namaz ke liay aur aik ghusal zuhar wa asar ki aur aik ghusal maghrib wa isha ki namaz ke liay zaroori hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 438,390,391,392,393,394). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum mujy haiz k 10 din mukammal hochuky hain ab agr 11day mjy dubara mehsoos hojy tou kya phr mai alam ki ziarat wagira kr sakti hun??

Answer: Sab se pehli baat to ye ke Haiz ki Muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti. lihaz aap haiz wali aurat nahin kehlaigi. aur dosri baat ye ke agar farz karen ke aap haiz wali aurat hain to phir bhi haiz ki halat men alam ki ziarat karna jaiz hai haram nahin hai aur na hi makooh hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani edition 41st, maslah no 438,354,355,448). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13334
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa start main mahwari kuch drops ati hay phir 3 ya 4 din nahi hoti phir sahi start hoti hay to kiya start walay say mahwari hogaye ya ghusal zarori hay

Answer: 1: Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahe hote aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438). 2: Haiz k lie zarori hai k phele 3 din lgataar aahe lehaza agar misaal k tour per kise aurat ko 2 din khoon aahe phir 1 din na aahe aur phir 1 din aajaahe to wo haiz nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 439) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13484
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamualikum. Mera swal yeh hai k mery normal periods shuru say 7 din tk hoty hen per pichly almost do sal say 10 din hogye hen Fibroids ki wajah say ab Mai namaz 7 din bad parhon ya das din bad uljhan rehty hai is bat ki please guide me jazak Allah khair

Answer: Haiz ki Muddat (time period) kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hoti hai. (Note: Is hisab agar aap daswain (10) din haiz se pak ho rahi hain to daswain (10) din namaz aur is jesi ibadaton ko anjam daine ke liye gusl e haiz karen).(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani edition 41st, maslah # 438,354,355,448). [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13510
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam Alaikum Mujhay har month kay bad haiz ata hay or wo bhi 7 days hi chalta hay bas is dafa month puray honay say 7 din pehlai hi agai menses iski waja hay or kya iska koi nuqsaaan to nahi hay meherbani karkay rehenmaai farmaai

Answer: Agar kisi aurat ko umoman mahinay main 1 baar menses aatay hon laikin kisi mahinay main 2 martabah khoon ajaae tu agar darmiyaan k jin days main usay khoon nahi aaya on dino ki tadaad 10 say kam nah ho tu usay chahiay k dono khoon ko haiz(menses) samjhay chahay on main say kisi 1 main haiz ki alamaat mojood nah hoon.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition 39th, maslah #493) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!