Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13515
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikum iam newly married last week my wife periods start very next day so question is that how much i wait

Answer: 1: Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahin hoti aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho ya 10 din se ziyada ho to haiz nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438). 2: Haiz k lie zarori hai k phele 3 din lgataar aaye lehaza agar misaal k tour per kisi aurat ko 2 din khoon aaye phir 1 din na aahe aur phir 1 din aajaahe to wo haiz nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 439) (Note: Is silsile me auraton ke ayam mukhtalif hote hain, kisi aurat ko 3 din haiz ata hai aur kisi ko 5 din kisi ko 4 din kisi ko 7 din, lekin haiz 3 din se km nahin hoga ya 10 din se ziyada nahin hoga. aur jitne din kisi ko haiz ka khoon aaye utne din hambistri karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai.) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13592
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, Mufti sb! Kia Haiz ky halat main biwi sy sex karna thek hai ya nh ? Or agar thek na ho or haiz ky halat main sex kar liya jaye tou koi kafarah dena hota hai ? Or agar kafarah dena ho tou kia hoga woh ?

Answer: Haiz ki halat main jima(intercourse) kerna shohar or biwi dono k liay haram hay. Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke lie zaruri he ke Istigfar karay, lekin kaffara dena wajib nahin he. Agar koi shaks aurat k haiz ki halat mai jima(intercourse) karay tou haram hai aur ghunahgar hai laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 450,451). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13604
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr periods irregular ho rahe ho or gusl na le paaye iski vajah se to kya jb flow ruk jaye to taimoom se namaaz ho sakti hai??

Answer: Aurat k lye halat haiz me namaz perhna aur roza rakhna haram hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448) Aurat ko jab haiz ka khoon ruk jae tab namaz aur is jaisi ibadat k lie os par ghusl e haiz wajib ho jata hai chahae 3 din bad rukay ya 7 din bad. Ghusl e haiz ka tareeqa : Ghusl me ehtiyat e lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badn ko pehlay right side sai dhoya jae aur os k baad left side sai dhoya jae. ghusl e haiz ki niyat k waqt niyat krain k wajib ghusl kar rahi hon bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl krain to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl e haiz krti hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 456, 360) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13641
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aurat apny khas ayam me mobile app me quran parh sktii h?

Answer: Jin 4 aayat k parhne sai sajdah wajib ho jaata hai un ka parhna haraam hai baaki quraan parha jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13651
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 3 months continue periods doctor ko check karayea yo unho ne kaha band hone lague h par is halat mein namaz par sakte h bot confuese h plz keya kare?

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din or ziyada se ziyada 10 din hai, ager aurat 10 din ke baad koon dekhe to us ke liye zarori hai ke istihaza wali aurat ke ehkaam per amal kare, Q ke ye 10 din ke baad wala koon koon e haiz(periods) nahi hai balke koon e istihaza hai, - or wasail u shia main hai, jis ka mafhoom ye hai ke ager aurat koon e istihaza se nijaat chahti hai to us ko istihaza ke ehkaam per amal karna chahiye - Koon e istihaza ke ehkaam : pehle aurat tehqeeq kare ke wo qalelah hai ya mutawassitah ya kaseerah hai. Pas ager khoon sirf roi ( jis ko aurat apni sharam gaah per rakhti hai) ke uper wale hisse ko aaloda kare or ander saraiyat na kare to ye khoon istihaaza e qalela hai or aurat ke liye wajib hai ke her namaaz ke liye alehda wazoo kare, or ager namaaz se pehle sharam gaah ke zahiri hisse per khoon laga ho to us ko paak karna wajib hai. Or ager roi ke ander tak saraiyat kar jaae lekin us karpre tak na ponhche jo orat khoon ko rokne ke liye roi ke uper rakhti hai to ye khoon khoon e istihaza e mutawassita hai, or ehtiyaat e lazim ki bin per zarori hai ke her din namazon ke liye 1 gusal kare or her namaaz ke liye wazoo kare or namaaz se pehle jisam per khoon lage hone ki sorat main us ko paak bhi kare. Or ager koon roi se tajawuz kar ke us kapre tak ponhach jaae to ye koon istihazaa e kaseera kehlata hai, or ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hai ke her namaaz ke leye roi or kapra dhoe ya tabdeel kare or ager zuhar o asar or magrib o isha ko ik sath phar rahi ho to fajar ke liye 1 gusal or zuhar o asar ke liye 1 gusal, or magrib o isha ke liye 1 gusal kare, or ager alag alag phar rahi ho to panchoon (5) namazon main se har aik ke liye alag alag gusal kare, or gusal ke baad namaaz ke liye wazoo ki zarorat nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 39, maslah # 390 to 394, 438) [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13653
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, mari k dost k wife ka haiz k khoon band huwa par gussal nahi kiya tha aur mari dost ne jamma kiya, to ye tek kiya ya gunnah huwa hain

Answer: Haiz se pak hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay ke is ke ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. Halat e haiz mai jima karna mard aur aurat dono k lie haram hai. laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah # 448,451,457) [Updated on 12-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13657
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam.o.alaikum ager kisi aurat ko 5 din periods aye or phir wo gusal ker k namaz parhle or usy mehsoos na ho k usy phir haiz aya h or wo 2 din mustakil namaz or quran parhe to kia wo gunehgar hai??ya galat fehmi ki waja se begunah?

Answer: Haiz se pak hone ke bad namaaz or is jesi ibadaton ke liye gusal e haiz wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 456) (Note: Agar kisi aurat ke haiz ki adat hi 5 din hai, to jab khoon se pak ho jaey ghusl kar k namaz aur is jesi ibadaton ko baja lana wajib ho jata hai ). [Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13749
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sura hashar ka wazifa hai jo imam jaffir sadiq a.s na btiya hai ko vo 40 din tk bagher nagha pherni hai lkin urtoon ka havlay sa kia kr saktay hn kio ka haiz ka bhi masla hai brehay karam rehnmai farmay ka isy kis trah mukammal krain

Answer: Agar wazife se mutaalliq cheezain, haiz per haraam cheezon main se na ho to 40 din ka wazifa kar sakti hai, matlab k agr aap k wazife ka amal aysa hai jis men wo kaam anjam dene parte hen jo k haiz k dinon men jaiz nahi hen to phir wazifa anjam nahin de sakti. jese ke agar wazeefa kisi namaz par mushtamil hai to chonke namaz haiz k dinon men jaiz nahi hai is liye wazifa jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 448 [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13795
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, agar tilawt. e. quran pak karte howe haiz ajye aur pata nh chaly para khtm karne k bad ahsas ho ka haiz aye hain tu kia uss para ki tiwlt hojye ge ya paki k bad ussy dobara parhna hoga.?

Answer: wsalam.halat e haiz mai bhi quran ki tilawat ki jaa sakti hai faqat wo aayat jin ki tilawat sai sajdah wajib hojaata hai un ko haalat e haiz mai parhna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13805
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gussal k bd periods waly kapron ma namaz perh skty han ya nhii

Answer: Khoon e haiz najis hay. lehaza agar libass khoon e haiz se najis howa ho to use pak karna zaroori hai.((Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448,467). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!