Question: Aoa sir Mera sawal ye hai k haiz k Duran jo Abaya phna Hota hai wo bad Mai phna ja skta Hai? Wo to ni napak Hota na ya Sex k bad ghusal kr k kahin bhr jaty Howe Abaya phn k wo Abaya phr phna ja skta Hai?
Answer: Jee nahin, agar najis nahin hoyi to pehn sakti hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Periods agar shaam mai khatam hoa aur Sardi ka season hai isliye ham shaam mai na ghusl kar payai aur dusrai din fajir ka baad ghusl karaingai toh kiya asar, maghrib, isha aur fajir kaza ho ga?
Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Jee han, Agar namaz qaza ho jaye tu oski qaza namaz perhna zarori hay. Aur jab periods katam hojain to namaz or is jesi ibadaton ke liye gusl e haiz karna wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition 41st, maslah #1356,456) (Note: Agar sardi ka maslah hai to pani ko garam kar ke bhi gusl kiya jasakta hai ) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gusl e janabat krne se pehle agr haiz khoon ajaye tw kia kren?
Answer: Aap chahen to foran janabat ka ghusal kar len ya phir aap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain. 1. Jis shaks par chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon k liay bhi kafi hai. (Ref : Aayatullah Seestani, Tauzeeh ul masail, Edition 42, masla #387) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o aliekum.Can ladies remove their unnecessary hair during menses?
Answer: Yes, it is lawful during menses. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #448,354) [Updated on 27-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum Mujhey her mah 7 ya 8 din tak mahwari hoti hei lekin is mah mujhey qareeban 12 din tak musalsal bloid ata raha , is surat e hal me ghusal key ly kia niat keeni ho gi lz rahnumai farmaayn
Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din or ziyada se ziyada 10 din hai, ager aurat 10 din ke baad koon dekhe to us ke liye zarori hai ke istihaza wali aurat ke ehkaam per amal kare, Q ke ye 10 din ke baad wala koon koon e haiz(periods) nahi hai balke koon e istihaza hai, - or wasail u shia main hai, jis ka mafhoom ye hai ke ager aurat koon e istihaza se nijaat chahti hai to us ko istihaza ke ehkaam per amal karna chahiye - Koon e istihaza ke ehkaam : pehle aurat tehqeeq kare ke wo qalelah hai ya mutawassitah ya kaseerah hai. Pas ager khoon sirf roi ( jis ko aurat apni sharam gaah per rakhti hai) ke uper wale hisse ko aaloda kare or ander saraiyat na kare to ye khoon istihaaza e qalela hai or aurat ke liye wajib hai ke her namaaz ke liye alehda wazoo kare, or ager namaaz se pehle sharam gaah ke zahiri hisse per khoon laga ho to us ko paak karna wajib hai. Or ager roi ke ander tak saraiyat kar jaae lekin us karpre tak na ponhche jo orat khoon ko rokne ke liye roi ke uper rakhti hai to ye khoon khoon e istihaza e mutawassita hai, or ehtiyaat e lazim ki bin per zarori hai ke her din namazon ke liye 1 gusal kare or her namaaz ke liye wazoo kare or namaaz se pehle jisam per khoon lage hone ki sorat main us ko paak bhi kare. Or ager koon roi se tajawuz kar ke us kapre tak ponhach jaae to ye koon istihazaa e kaseera kehlata hai, or ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hai ke her namaaz ke leye roi or kapra dhoe ya tabdeel kare or ager zuhar o asar or magrib o isha ko ik sath phar rahi ho to fajar ke liye 1 gusal or zuhar o asar ke liye 1 gusal, or magrib o isha ke liye 1 gusal kare, or ager alag alag phar rahi ho to panchoon (5) namazon main se har aik ke liye alag alag gusal kare, or gusal ke baad namaaz ke liye wazoo ki zarorat nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 39, maslah # 390 to 394, 438) [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-u-Alikum Sir Please ye bata dijie ke heiz hota kia he
Answer: Haiz(حیض) wo khoon hai jo umoman har mahinay chand dino ke liye aurton ke reham(sharamgah) se kharij hota hai aur aurat ko jab haiz ka khoon aaye to use haaiz(حائض) kehtay hain. Haiz ka khoon umoman ghara aur garam hota hai aur is ka rang siyah(black) ya surukh(red) hota hai. wo tezi se aur thori se jalan k saat kharij hota hai. Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahin hoti aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition #42, maslah #432,438). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz k din tmam ho gay hun... Lakin abi ghusal nh kia.. To kia jamaa kia ja skta hai
Answer: Haiz se pak hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay ke is ke ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #448,451,457) [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Khaiz k ghusal k baad phly sy pehny kapry jesy shawl aur jersi pak hn gy ya napak
Answer: Agar un kapro par khoon e haiz laga to wo najis honge. Lekin Agar un kapro par khoon e haiz nahin laga to wo najis nahin honge aur pak hi rahen ge. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #119). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it haram doing sex in menses and if it is haram then what will be the kuffara
Answer: 1: Haiz ki halat main Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye haram hay. aur dono gunahgar hain. 2: In dino men bhi jimma karana haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. 3: Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke liye zaroori he ke Istigfar karay, lekin kaffara dena wajib nahin hai. 4: Haiz ki halat men Jima(Intercourse) k ilawa baqi tamam lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sitsani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #448,449,450,451). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Halat e janabat mai ek din tbyt theek na hony ki waja sy ghusl nhi kia aur next day morning mai periods start hogaey tou kia mai bahar nhi ja sakti kam sy aur paak hony k bad bahar jaon
Answer: Haiz ya janabat ki halat mai ghar sai bahar jaana haram nahi hai. or haiz ki halat main bbhi janabat ka ghusl anjama dia jasakta hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448، (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#233, eidition 1439). [Updated on 23-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]