Question: Haiz ki halat me niaz ka Khana pakana jaiz hay?
Answer: Jee han, Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #354,355,448) [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri waif date me hy kiya hum ko sexy karna jaes hy??
Answer: Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #448). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jimma ki halat ma agar haid ajaye or farigh hone k bd pata lagy to kya krna chaiye?
Answer: Agar haiz ke khoon aane k bad fauran alaidahgi ikhtiyaar ki ho to koe ghunah nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #448). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya periods k bad jism k bal saf karna zaruri hai?
Answer: Jee nahin, zaroori nahin hai. Albtatta Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or mard zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk na kare. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab bane tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay. Or Aurat ke liye sar ke alawa puray jism k baal katna mustahab hai aur lohay(blade) sai apnay jism k baal kat sakti hai. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ). [Updated on 26-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamualikum Mera swal yeh hai kay kya khwateen periods kay doran mobile say dekh kr Quran Pak ki tilawet khud krsakty hen ? Kindly reply jazak Allah khaair
Answer: Halat e nijasat main quran ki wo 4 ayaat perhna jis k perhne se sajda wajib ho jata hay, jaiz nahi hay baqi quran ki ayaat perhna jaiz hay. Laikin quran alfaaz ko chona jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354) [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamualaikum Main ye janna chahti hu k agar haiz ki halat main hun sureh duaein(qunoot) aur vagair kul kalamat yaad kar sakte hai ya nhi?
Answer: wsalam jee bilkul yaad kar sakti hai lekin quran ki wo 4 aayatein jin k parhne sai sajdah wajib ho jaata hai un ka parhna haraam hain .Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assallam U alikum Manay taweez pehna hua hai. Taweez leather covered hai kya haiz k duran taweez utarna lazmi ya pehly rakh skty hain?
Answer: Agar us taweez ke andar qurani aayaat maujood hon aur kisi bhi tarah badan un aayaat se mas(touch) nahin ho raha ho to utarna lazim nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #354,448) [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mahware ana jb k roza ho
Answer: Jis aurat ko Din main (roze ki halat) main haiz (menses) ka khoon aajaye to agarchah ye khoon maghrib k kareeb hi Q nah aaye is ka roza batil hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1612). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera sawal hai k kya larkiyan periods k dino main qabristan jasakti hain??
Answer: khawateen ka haiz ke ayam men qabristan jana jaiz hai, lekin 12 Imamon(a.s) ke Haram main therna ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #354,448). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: during menses can i do only fore play with my wife . because sexual intercourse is haram but fore play is also prohibited .plz ell me
Answer: Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #448,451). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]