Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14526
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Periods ke pehle din sirf spotting ho bleeding na ho agle din bi aisa rhe to namaz padi ja skti h??? 1

Answer: Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahin hoti aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahin hoga. Lihaza aap ka blood istehaza hai aur is me shariet ke saath ibadat kerni hoti hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #432,438). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14592
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haaaiz ki surat main shaab qadar bait sakte hai ya nai

Answer: Haiz ki halat men namaz adaa karna haraam hai, quran ke alfaz ko choona, wajib sajde wali aayat parhna or masjid men theherna haram he, lekin is k ilawa jo ibaadatein hain shab e qadr ki wo anjaam di jaa sakti hain. lekin masjid mai bethna haraam hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14593
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz ke halat mai shaab qadar baitna haram hai?

Answer: Haiz ki halat men namaz adaa karna haraam hai, quran ke alfaz ko choona, wajib sajde wali aayat parhna or masjid men theherna haram he, lekin is k ilawa jo ibaadatein hain shab e qadr ki wo anjaam di jaa sakti hain. lekin masjid mai bethna haraam hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14603
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere period aye 12 din ho gyae r forse period aa gye to kya roza rakh skte hai r namaz padh skte hai

Answer: Aik mahine main do baar haiz aana mumkin hai laikin shart ye hay k doosra haiz kam az kam 10 din k faasle se aaye. misal ke taur jo aurat das din khoon dekhe aur chhe din pak ho jaye aur dobara char din khoon dekhe to dosre khoon ko haiz qarar nahin de sakti chahe us men haiz ki nishaniyan mojood hon. Namaz aur Roze k sahi hone ki shart ye hai k aurat haiz o nifas se paak ho. (Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #486,1913). [Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14654
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam Alekom.. kya mahwari ki halat may istikhara kar saktay hay ???

Answer: wa alikumussalam, mahwari( haiz) ki halat may istikhar kia jasakta .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14663
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam walaikum ...kya haiz ki halat mai wajifa kar sakte hai ?

Answer: Haiz ki halat men wazifa karna jaiz hai. aur agar wazifa quran ki ayaat par mushtamil ho to quran ki ayaat ke alfaaz ko choowe bager haiz ki halat main pharna bhi jaiz hai agarche quran ki 7 se ziyada ayaat ka pharna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,354,467). [Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14667
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا ایام حیض میں عورت قبرستان جا سکتی ہے؟

Answer: Aurat ka haiz ki halat men qabristan jana jaiz hai, lekin 12 Imamon(a.s) ke Haram main thehrna – ehtiyaat e wajib ke etibaar se – jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448). [Updated on 24-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14771
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Halat e haiz ma talak ho jati ha?

Answer: Talaq k sahi honay ki chand sharait hain: jin main say khuch ye hain. 1, Zaroori hay k aurat talaq ke waqt haiz ya nifaas say paak ho or us ke shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dena sahi hay. 1, shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2, Maaloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom na ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3, Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni biwi k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahin. Talaq ki mazeed sharait: zaroori hay keh talaq ka sigah sahi Arabi k saath perha jay aur do aadil mard ose sunain lakin agar koe merd arabi me talaq ka sigah na parh sakhta ho aur wakeel bhi nah bana sakhta ho to jis zaban me chahaay har us lafz k zarye talaq de sakta he jo Arabi lafz k ham maani ho aur do aadil mard usay sun lain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2463,2464,2472). [Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14783
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz ke 7 days hi hote hai ya usse pehle hi haiz jana band ho to kya hum gusal kar skte hai?

Answer: Haiz ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hoti lihaza Agar kisi aurat ke haiz ki muddat 7 din se kam lekin 3 din se ziyada hai tab bhi wo haiz hi shumar hoga, aur jab koi aurat haiz ke khoon se pak (chahe 7 din se pehly hi ho) ho jaey ghusl kar k namaz aur is jesi ibadaton ko baja lana wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,456). [Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14858
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o- alaikum sir mera sawal hy k haiz ki halat may kia kia parh saktay han

Answer: Haiz ki halat men namaz adaa karna, quran ke alfaz ko choona, wajib sajde wali aayat parhna or masjid men theherna haram he, lekin is k ilawa jo ibaadatein hain wo anjaam di jaa sakti hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448) [Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!