Question: Haiz ki halat me surah juma padh sakte hai
Answer: Jee han, parh sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: halat e haiz me kon kon se kaam kr sakte hai
Answer: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna, 2. Quran ke alfaz ya allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho, 3. Wajib sajde wali aayat parhna, 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa men theherna, 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona, 7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye. Albatta Aurat Ghusl kiye bager Ghar ke tamam kam kar sakti hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 02-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar haiz ki halat may larki ki death ho jaey to kya wo shaheed kehlati ha??
Answer: rasool akram (s.w.a) ne manqool hay :jo halat haiz me mar jaae ( yani death ho ) jaae wo shaheeda hay. (ref:mustadrakulwasaail jild :2,pg no: 41,muhaddis mirza nure) [Updated on 25-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya haiz ka gusul sham ko 9 baje k baad kiya jasakta hai
Answer: Aurat jab bhi or jis waqt bhi haiz se pak ho jaye to namaz or is jesi ibadaton ke liye ghusl haiz karna wajib hai. lekin agar namaz or is jesi ibadaton ka waqt na howa ho to ghusl karna wajib nahin hai. Han albatta agar karna chahe to kar sakti hai is men koi haraj nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #456). [Updated on 07-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia Haiz me Aurat ka Muharram ki niaz khana jaiz he?
Answer: Jee han, Jaiz hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum,,agar 11 din ke baad bhi khoon nazar aaye to kya namaz padna jaayaz hai?
Answer: khoon e haiz 3 din se kam aur 10 din se ziada nahin aata, or aik khoon e haiz ka silsila khatam hone k baad doosra haiz ane main kam az kam 10 din ka waqfa lazmi hay, lehaza giyarwen (11) din aur is ke bad wale dino ko aane wala khoon haiz nahin, balkeh istehaza shumaar hoga. Aur istehaza ke ahkam ke mutabiq amal kar ke namaz aur is tarah ki ibadtain anjam den zaroori hai. Agar khoon 10 din se ziada aye to phir dekhna parega keh aya woh khoon zakham ka hai ya istehaza hai ya koi aur. agar istehaza ho to phir yeh dekhna hoga keh istehaza qaleela hai, mutawassita hai ya phir kaseera hai. istehaza ka khoon ziada tar zard rang ka aur thanda hota hai aur fishar aur jalan ke beghair kharij hota hai aur garha bhi nahi hota lekin mumkin hai keh kabhi siyah ya surkh aur garha ho aur fishar aur jalan ke sath kharij ho, istehaza Qaleela ki pehchan yeh hai keh khoon sirf us royi ke upar wale hissay ko alooda kare jo aurat apni sharamgah par rakhe aur us royi ke andar tak sirayat na kare, istehaza mutawassita yeh hai keh khoon royi ke andar tak chala jaye , agar cheh is ke aik kone tak hi ho lekin royi se us kapre tak na puhanche jo aurten amooman khoon rokne ke liay bandhti hain, istehaza kaseera yeh hai keh khoon royi se tajawuz kar ke kapre tak puhanch jaye, istehaza qaleela men har namaz ke liay alehda wazu karna zaroori hai aur ahtiyat e mustahab ki bina par royi ko dhole ya usay tabdeel kar de aur zaroori hai keh sharamgah ke zahiry hissay par khoon laga hone ki surat me usay bhi dho le, istehaza mutawassita mein ahtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh aurat apni namazon ke liay rozana aik ghusal kare , yeh bhi zaroori hai keh istehaza qaleela ke woh afaal anjaam de jo sabiqa masaley men bayan ho chukay hain, istehaza kaseera mein ahtiyat e wajib ki bina par zaroori hai keh aurat har namaz ke liay royi aur kapray ka tukra tabdeel kare ya usay dhoye aur aik ghusal fajar ki namaz ke liay aur aik ghusal zuhar wa asar ki aur aik ghusal maghrib wa isha ki namaz ke liay zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,390,391,392,393,394). [Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya wazeefa periods k days me b jari rkh skty h ehly tashi k mutabik
Answer: Haiz ki halat men wazifa karna jaiz hai. aur agar wazifa quran ki ayaat par mushtamil ho to quran ki ayaat ke alfaaz ko choowe bager haiz ki halat main parhna bhi jaiz hai agarche quran ki 7 se ziyada ayaat ka pharna makrooh hai.or pure quraan me se jin aayaat ke perhne se sajda wajib ho jaata hay un ko halate haiz me perhna jaaiz nahe hay or wo aayaat ye hay (1) surah sajda ayat no:15,(2) surah fuselat ( hah meem sajda) ayat no:37,surah najam, ayat no:62,(4) surah alaq 19) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,354,467). [Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Leukorrhea k barey mae namaz k kia ehkam hai?
Answer: Leukorrhea (safeed, yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. Aur is halat men namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi. (Ref: sistani.org/urdu/qa/01791/#17660). [Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar haiz ko huwe 1 month se ziada hojae or na horha ho dubara tw ye achi bt h nuqsan da h
Answer: Aap is hawale se doctor ki taraf ruju karen. [Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ap ny kaha k haiz k doran jism k baki aza pak hn to hum phir quran ko allah k names ko hath kiu ni lga skty
Answer: 1: Is liye ke Allah taala ke names ya Quran ke alfaaz ke choone ke liye wuzu ya ghusl ka hona shart hai aur aurat haiz ki halat men, wuzu ya ghusl ke sath nahin hoti lehaaza haiz ki halat men Allah taala ke names ya Quran ke alfaaz ko chhona jaiz nahin hai.(insaan ke lie aik zahere taharat hote hay or aik batene taharat hote hay ,zahere taharat insaan ke zahere badan ke pak hone se talluq rakhte hay or batene taharat insaan ko wuzu,gusul,tayyamum se hasail hote hay) 2: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise:- 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna. 2. Quran ke alfaz ya allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho. 3. Wajib sajde wali aayat ka parhna. 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men dakhil hona. 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa kisi masjid men theherna. 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona. 7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #354,448). [Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]