Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15189
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sharmgah pr bal na ho aur Periods ruk jane k bad aurat pak kesy hoti h?

Answer: Aurat ko jab periods (haiz) aana band ho jayen to agar aurat us maqam ko pani se pak kar ke ghusl e haiz anjam dede to aurat pak ho jati hai, is men koi farq nahin hai ke sharmghah pe baal hain ya nahin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #438). [Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15195
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar haiz k ghusal k bad halka sa dot ajaye tu kya phr sa ghusal wajib hojata h?

Answer: Agar kisi aurat ko teen din mutawatir khoon aata rahe phir wo paak ho jaey. Chunacheh agar wo dobara khoon dekhe tu jin dino main wo khoon dekhe or jin dino main wo paak ho in tamaam dino ko mila kar agar das(10) din se ziyada nah hon to jin dino main wo khoon dekhe wo haiz k din hain laikin ehtiyaat e lazim ki bina par paaki k dino main wo in tamaam umoor ko jo paak aurat par wajib hain anjam day or jo haaiz par haram hain, onhain tark kar day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #442). [Updated on 16-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15198
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi larki ki age 13 years ho aur usko manses na aye aur woh moti ho to uska ilaaj kia hy?

Answer: Is silsile men doctor ki taraf rujoo kiya haye. [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15258
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya ayaame haiz ki halat me 313 dafa ayatulkursi ka wazifa kar sakte han kiya

Answer: Haiz ki halat men wazifa karna jaiz hai. aur agar wazifa quran ki ayaat par mushtamil ho jese Ayatulkursi to quran ki ayaat ke alfaaz ko choowe bager haiz ki halat main pharna bhi jaiz hai or un aayat ki pharna jin mai wajib sajda ho tu un aayat ki tilaawat karna haraam hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,354,467). [Updated on 10-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15433
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: halat e haiz me ziyarat parhna jaiz hy? jese ziyarat ashura, ziyarat warisa, ziyarat arbaeen wagera...

Answer: jee bilkul ziarat parhi jaa sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 13-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15669
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar 3 din haiz ka khoon aye or iske bad brown discharge ho to kya 4 day ko hambistri kar sakty hain

Answer: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahi ho jaata tab tak is se parhez kia jaaye, Q ke In dino men bhi jimma karana haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. or haiz k ikhtitam par khoon ka brown rang ka aana bhi durust hay. agar aurat ko shak ho keh wo khoon e haiz se paak ho gae hay ya nahin tu wo istibra kare yabi sharam gaah main roe(cotton) dakhil kare or agar roe saaf baghair khoon k aay tu khud ko paak samajh kar ghsul kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #449,496). [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz k din mukamal honay k bad bina ghusal k sex kar saltay hain ?

Answer: Haiz se pak hone k baad hambistari karna jaiz hay, lekin ehtiyaat e lazim ye hay ke hambistari sharamgah dhone ki baad ki jaye, or ehtiyaat e mustahab ye hay ke is ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457). [Updated on 06-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15727
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz k khon pe kisi ki nzr prna kaisa h?

Answer: Haiz ka khoon bhi aam khoon ki tarah hai agar aam khoon par nazar parne se koi gunah ya kaffara nahin hota to khoon e haiz par bhi agar kisi aur ki nazar par jaye to koi gunah ya kaffara nahin hoga.or book (tehzeebul Islam,Urdu,allama Muhammad baqir majlise,PG no:188) me Rasool Allah se manqool hay ke khoon haiz ko dafan karadena chaaie. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #80,93 & pg #74). [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15814
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr b.v haiz sy frg o g hai lkin abhi ghusal ni kiya mtlb napak e hai abi r agr isi halat mae miya b.v humbistri kr ly tu kya krna krna chaiye ...??

Answer: Haiz se pak hone ke baad or ghusl karne se pehle hambistari karna jaiz hay, lekin ehtiyaat e lazim ye hay ke hambistari sharamgah dhone ke baad ki jaye, or ehtiyaat e mustahab ye hay ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457). [Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15828
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Menses me 4th day bleeding stop hone ke bad esha and fajar tak intezar kr ke 5th day gusl kar ke Zohar asar magrib namaz ada hone ke bad peshab me spot nazar aa gaya uske bad humbistari jayaz hai ya nahi?

Answer: Agar yaqeen ho ke jo qatra nazar aya hai wo periods ka nahin to humbistari karna jaiz hai. lekin jin dino me aurat ke periods yaqeeni na hon lekin sharan us ke liye zaroori hai ke apne aap periods wali aurat qaraar de to in dino me bhi humbistari karna Haram hai. Note:haiz ke tafseele malomaat ke lie aap tuiziulmasail ke taraf ruju kare . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #449,496). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!