Question: tell me the proper steps of ghusal e haiz
Answer: 1)The rules for Haiz Ghusl are the same as for the Ghusl of Janabat. 2)There are two methods of performing Ghusls, both Wajib and Mustahab. 1)Tartibi (Sequential) 2)Irtimasi (By submerging the whole body). In Tartibi (Sequential) method, a person should first make a niyyat for Ghusl. Thereafter one should first wash ones head and neck as a obligatory precaution, and thereafter the remaining parts of ones body. It is better that one washes the right part of the body first and then the left part. And if a person, while standing under the water, jerks each of these parts on ones body with an intention of performing Tartibi Ghusl, it will not be sufficient and the precaution is that one should not content oneself with it. And if a person washes the body intentionally before washing the head, his Ghusl is void. In Irtimasi (By submerging the whole body) method either carried out instantly or gradually. If the Ghusl of Irtimasi is to be done at one instance, then water must reach all parts of the body at one time. However, it is not necessary that the whole body be submerged in water from the very beginning of Ghusl. If a part of the body is outside, and is later submerged with the niyyat of Ghusl, it will be deemed in order. If one wishes to perform Irtimasi Ghusl gradually, then it is necessary that the whole body is out of water before Ghusl commences. Then one would submerge ones body gradually in water with the intention of Ghusl. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masayl, Maslah# 456, 359-60,366-67 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: haiz main humbistar haram hay ya hallal
Answer: Haraam hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 448 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalamualaikum aulad hone ke liye mai aur mere shohar kya wazifa kare
Answer: Wssalam o alykum, ap dono Darj Zail Asma e Husna ko talab e aulad ki niyat sai 40 roz tk har namaz k baad bila-nagah 40 martba pharain, ﯿﺎﺍﻭﻞ ﯿﺎﺑﺎﺮﺉ ﯿﺎﻤﺻﻮﺮ ﯿﺎﺨﺎﻟﻕ ﯿﺎﻤﺑﺪﺉ (Ref : Naway e Salaheen pg # 401 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya haiz ke dinno me balo me mahndi lagana jayez hai
Answer: Haiz ki halat main mehendi se khizaab kerna jaiz hay. or baaz fuqaha haiz ki halat main mehendi lagay ko makhroh qaraar daitay hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#467 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Haiz ki halat me aurat quran,durud zubani pdh sakti h. . ? Ans fst nw. . .
Answer: Haiz ki halat me aurat zaban se durood aur quran perh sakte hai siwaae Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay sai sajda karna wajib ho jata hai un ayaat ko halat haiz main parhna haram hay. wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain. Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamo alaikum kiya haiz ki halat me jo napaki ki wazah se namaz chut jata hai to keya halate haiz se farig hoker uski kazah padni pade gee mughe jald mail karen allah hafiz
Answer: 1- jo namazain aurat ne haiz ya nifaas ki halat main nah perhi hoon onki qaza wajib nahi chahay wo rozana ki wajib namazain hoon ya koe or hoon or isi terah jab aurat haiz ya nifaas ki halat main ho or soraj ya chand ko girhan lag jaay ya zalzala aajay tu os par namaz e ayaat wajib nahi hay or nah hi oski qaza hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1356) 2- jo rozay aurat ne haiz ya nifaas ki halat main nah rakain hoon tu ramzan k baad paaki ki halat main onki qaza kerna wajib hay.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#1, maslah#1045 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam o Alekum I am very gratified if you please let me know whatever can I intercourse my wife using condom during her menses period. wasalam
Answer: It is haraam for a woman who is in the state of Hayz Having sexual intercourse; it is Haraam for man as well as for woman even if only the penis glans may penetrate, and even if semen may not be discharged. In fact, the obligatory precaution is that the male should refrain from insertion even to an extent lesser than the point of circumcision. Nither with cover(Condom) nor with cover. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448)
Question: kya main napaki ke halat me laptop par quran padh sakti hu. Q ki mujhe transtlate quran padhna arabi to hindi.
Answer: Haaiz(wo aurat jo periods mai ho) k lye quran majeed parhna baaz fuqha k nazdeeq makrooh hai. magar ayatollah sistani d.b. k mutabiq makrooh nhi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya aurat ka haiz k dino me QURAN majeed perhna jaiz hai agar wo quran majeed ko kapray ya digital quran k zareye perrhay to es k baray me kiya hukam hai?
Answer: Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: haiz ki halat mein quran majeed ki tilawat jaiz hai ya nehi???
Answer: 1)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)