Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3800
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia dorany rozy agr mensis ho jay or roza kholny main taim bhi kam hoo to kia roza tot jay ga

Answer: Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb q na aye is ka roza batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3826
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya agar kise larki ko menses ho tu woh roza rakh sakti ha ya nahe detail ma batae

Answer: 1)Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb hi q na aaye is ka roza batil hai. 2)Is halat me wo roza nahe rakh sakte hai. 3)Ramzan k wo rozay jo kisi aurat nai haiz ki wajah sai na rakhay hoon zaroori hai k un ki qaza karay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1612, 448, 459 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3900
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plz tell me heez k dino mai kya namaz padh skty hain quran ka kya hukum hy

Answer: 1)namaz aur is jaisi doosri abadatain jinhain wozoo, ghusl ya tayummum k sath anjam dena zaroori hai agar is niyat sai anjam dain k sahi amal anjam dai rahi hoon, jaiz nahi hai. 2)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fus’si’lat Ayat No.37,Sora Wan najm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3944
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar haiz a jay raozay main to kiakha p saktay hain ya rozay ki halatmay hi rahin

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Roze ki halat me Haiz aane se roza batil hojata hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1612) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A!! Haiz aor istehaza mein kiya farak hai? Plzz answer..

Answer: Hiaz ka khoon :- Haiz wo khoon hay jo aam taur per her mahinay chand dino k liay aurtoon k rehem se kharij hota hay or aurat ko jab haiz ka khoon aay tu osay haaiz kehtay hain. Haiz ka khoon aam taur per garha or garam hota ha or oska rung kala ya laal hota hay.wo taizi se or thorhi si jalan k saath kharij hota hay. Istehaza ka khoon:- Autoon ko jo khoon aatay rehtay hain on main se aik khoon istehaza hay or aurat ko khoon istehaza aanay k waqt mutehaza kehtay hain. Khoon e istehaza ziyada ter zerd rung ka thanda hota hay or fishar or jalan k baghair kharij hota hay or garha bhi nahi hota laikin mumkin hay k kabhi kala ya laal or germ or garha ho or jalan k saath kharij ho.(Ref: A.sistani d.b, tauzehul masail, maslah#390, 432). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4198
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nifas ka ghusl nahane me deri jayz hai kya? Matlab Acutal date is 16.9.2012. Can i take bath on 23.9.2012.

Answer: Jab aurat khoon e nifas sai pak ho jae to zaroori hai k namaz aur is jaisai doosri ibadaat k lie ghusl bja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498-510)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ye jo ap aulad k lea # rozay rkhne aur asma e khuda ka 40 roz wird krne ka btate hain ye husband ko krna h ya wife bhe kr skti h?aur agr wife asma e khuda ka wird kre to jin dinon mn nmaz ni prhni hoti un ka kia kre?

Answer: Periods k dinoo mai aurat un abadatoo ko anjam dai sakti hai jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum krna zaroori nhi hai. yani aap in dinoo mai asma e ilahi ka wird kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4346
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera ques ye hy k periods hatm hone par ghusal karne k bad 2 rakat nafal parhna farz hy??? explain

Answer: Ghusl krnay k baad koi namaz wajib nhi hoti hai aur jo namazain aurat nai haiz ki halat main nah parhi hon un ki qaza wajib nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 459)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4352
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: haiz ki halat main kia biwi kay pass jana bi haram hay kia ya phir kiss waqera ya sex kay aza ko chosa ja sakta hay

Answer: 1)Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari(paishab ki nali ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr mai jima k lie nhi hai laikin dubr mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho. 2)Wo aurat jo haiz ki halat mai ho os sai jima k alawa doosri lutf-andozio maslan bas o kinar ki mumaneat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4419
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salams. Is it okay if i have sexual intercourse with my wife on the last day of her periods where the flow of blood has stopped completely and she has not taken Ghusl. Is it haram to do so?

Answer: After a woman has become Pak from Haiz, and before having done Ghusl her husband can have sexual intercourse with her. Though it is better to have sexual intercourse after the woman has washed herself. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 457)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!