Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 378
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namz me sajad-e-gah kiu rakhta hein plz ans in detail.

Answer: bismehi taala, namaz me sajda zameen ya us se ugne wali ashya par hona chahiye, khane aur phenane wali ashya par sajda karna saheen nahi he, aaj k dor me chunke ghar, masajid aur hall wagera me qaleen, farsh ya carpet wagera bichhe hote hai jin par sajda karna saheen nahin he, is liye khak ki sajdah gah se istefada karna chahiye aur chunke sajde ki jageh khas tor par pak hone chahiye is shart par amal k liye yahi sajdah-gah par sajda karna sab se aasan rasta he, han turbate karbala par sajda karna sab se afazal he. (ref: www.sistani.org (urdu) topic: sajda q.29)

Id: 750
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sajde mai Allah kay kisi aur ism ki tasbeeh ki ja sakti hai for example subhana rabi al rehman wabay hamdaihi

Answer: Sijday main subhaa nallah(chota zikr) 3 mertabah ya subhaana rabbi yal a’alaa wabihamdih (berha zikr) 1 mertabah perhna zarori hay,behtar ye hay k yehi zikr perhay jaain,laikin koe bhi zikr perhna kaafi hoga,laikin ehtiyaat e laazim ye hay k itni hi miqdaar main ho jitna k btaya gaya hay.maslan 3 mertabah “allaaho akbar”, ya 1 mertabah “subhaana rabi yal rahmaani wabihamdih”.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzee hul masail, maslah#1036).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1233
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran e pak k sjdey ada karney ka kya tariqa ha.

Answer: 1)Quran Majeed ki 4 sortoon main wo ayaat maujood hain jinkay sunnay aur parhnay par foran sajda karna wajib hojata hay wo ayaat ye hain: Sura Sajda Ayat 15,Sura Fussilat Ayat 37,Sura WanNajm Ayat 62 aur Sura Alaq Ayat 19.Jab insaan Quran Majeed ka Wajib Sajda karnay k Iraday say Peshaani Zameen par rakh day to Chahay wo koe zikr na bhi parhay tab bhi kaafi hay aur zikr ka parhna behtar hay.aur mustahab zikr k liye Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1086 ki taraf rujoo karain. 2)Ethiat e wajib ye he k quran majeed k wajib sajday me insane apni peshani aisi jigha rakhay jis per sajdah karna sahi ho aur ethiat e mustahib ki bina per badan k doosray aazah zameen per is terha rakhay jis terha namaz k silsilay me bataya gya he. .(Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1080,1086.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1411
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. mera sawal yeh ha k namaz padte wakt sajda gah k jis side par kuch lika ho jese(YA HUSSAIN A.S) ya masjid bana ho, par sajda kar sakte ha ya sajdah gah ko olta rakna wajib ha? thanks

Answer: koi harj nahei he. (ref : Ques no 3 http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1132.)

Id: 1781
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asallam u alaekum janab! Main ny puchna tha k sadja gah keun rakhi jati hy aur es ki koe hadees ki reference dain aur sajda masjid main pari dariyo py keun nhi hota halan k wo masjid main pari hoti hy aur mukamal pak hoti hain

Answer: 1)Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). 2)Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo kaa,e or pehni nah jati hoon or zarmeen se ugti hoon, maslan lerkrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay.or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2758
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sallam, mera sawaal ye hy k agar koi shaks Quran Majeed ki ek Surah yaad kar raha hy us main sajda bhi aa jata hy(jesa surah Alaq) to jitni dafa usy yaad karny k lie parhy ga utni dafa sajda wajib ho ga ya ek hi sajda kaafi hoga???

Answer: Wssalam o alykum, 1 sajda kafi nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1081 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2765
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sajdai mein insan k ketne or kon kon se aazah k zameen per hona zarori hai?

Answer: Namaz main sajday ki halat may wajib hay k 7 aazah zameen par rakhain. 1) peshani 2,3) donoo hatailiyaan 4,5) donoo guthnay aur 6,7) donoo poun(legs) k anghotay. Ethiyaat e wajib ki bina par peshani se murad peshani ka darmiyani hissa hay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1032) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2766
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sajdai mein insan k kitne or kon kon se aazah k zameen per hona zarori hai?

Answer: 1 – peshani ka dermiyani hissa, 2 – dono hateelliyaan,3 – dono guthne 4 – dono paao ke angothe. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1032 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2923
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shia sajda gha rakh ke namaz parhty hain .mera sawal hai ki sajdy gha se namaz ho sakti hai ya nahee aur sajday gha rakha kuin zaroori hai...

Answer: Sajda chand chezo per sahi hai, un main se ik sajde gaah hai, 1 – zameen per 2 – un chezoo per jo khai or pehni na jati hon or zameen se ugti hon.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1063 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 3291
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam kea sjda gah nimaz ma rakhana zrori ha, baz oqat jab ma ehl suant ke misjad ma nimaz purhta ho to sjda gah ne rakhta q k mjy shram ati ha ,kae mri nmaz ho jati ha? 2

Answer: 1- Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo kaa,e or pehni nah jati hoon or zarmeen se ugti hoon, maslan lerkrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay.or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070) 2- Agar aap ne sirif sharam ki wajah se namaz main paishani ko aisi jaghah rakha jis par sajdah kerna sahi nahi hota, tu aap ko apni namaz dobara ada kerna hogi, laikin agar aap ne apni paishani khajoor ya serkanday se bani hoe chata,e par rakhi ho ya concrete ya mosaic par ya aisi hi kisi cheez par jis par sajda sahi shumaar hota hay tu aap ki namaz sahi thi.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1059) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!