Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6277
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager neend mai roza ki halat mai ahitlam ho jaye tou kya roza tot jata hai ?

Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera naam Abdul Latif hai aur mera sawaal yah hai ki kya doodh pilane se maa ka roza toot jata hai. .

Answer: Jo aurat bachay ko doodh pilati hai os ka roza doodh pilanay sai nahi toot-ta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1700-1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kai roza ke halta ma undershave kar saktan han.

Answer: Jee han naaf k nichay k baal katnay sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6284
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamo Alikum ager koi shakhs apni b.v k sath ramazan k din mi humbistry kary aur dono d.v aur khawand ki raza b ho to s kia roza toot jata hai? ager toot jata hai to kia kafara ada karna pary ga .

Answer: 1)Agar roza ki halat mai jima kia jae to roza toot jata hai. 2)Ramzan ka roza torne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565-32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6288
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya roze ki halat main biwi k sath humbiztari jaiz hai? or agar aysa ho jaye tu kya kia jaey?

Answer: 1)Agar roza ki halat mai jima kia jae to roza toot jata hai. 2)Ramzan ka roza torne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565-32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6289
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia rozay ke halat main main apni girl friend say bat kr sakta hon

Answer: Aik khatoon se aise baatain ki ja sakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasad ki sorat me na nikal raha ho jab k koi aise baat bhi na ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k sath kia jana munasib nahi hota. Albetta is sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127, pg # 66) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6293
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar bholay say rozay may koch kah lay to kia hota hai

Answer: Agar rozardar galri sai koi cheese kha lai ya pi lai to roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1556) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6295
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar rozay ki halat may koch kah lay to kia hota hai

Answer: Jan boojh kar roze ki halat me khana khane se roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6302
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya jagte huve ager sex ke thought aane se lekin jaan bujh kar munny ko kharij na karna chahta ho lekin ho jaye to kya uska roza toote ja ta he ?

Answer: Istemna kisi bhi tareeqay sai ho haram hai rozay ko batil kar deta hai. laikin agar koi rozaydar mani nikalnay k iraday k bagair apni sharamgah sai chair char karay to aur osay itminan ho k mani kharij nahi ho gi aur itefaq sai mani kharij ho jae to roza sahi hai. laikin agar itminan na ho to is surat mai jab mani kharij ho gi to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1576)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6304
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya roze ki halat me hum log brush kar sakte hai

Answer: Rozay main tooth brush krny sai roza nahi toota hai laikin ghele lakre se miswaak karna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!