Question: Agr roza rakhnay say pahlay ekhtalam ho jaey to kiya roza rakh saktay hain jab kay ghusal nahi kiya
Answer: Agar Junub shakhs ramzan me jaan boojh kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan boojh kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1591 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia rozay ki halat mein kan aur nak mein dawa dal sakte hein.aur is ka itikaf per kia asar parta hay
Answer: 1)Kan main dawa dalny se roza batil nahi hota chay us ka zahiqa galy main mehsos ho. Or nak main dali jany wali dawa agar galy tak na ponchey to us ka roza batil nahi hota. 2)Agar nak mai dali janay wali dawa agar halaq tk pounch jae to to os sai roza batil ho jata hai aur agar roza batil ho jae to itikaf begair roza k sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1557, itikaf masla # 2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A.O.A mera sawal ye he k roze ki halat mein ihtalam mushtzani, porn movies daikhane se roza toot jata he, aur plz tafseel beyan kare roza tootaney ke masail
Answer: Ehtilaam(sootay main mani ka nikalna) se roza batil nahi hota. Mushtzani se roza toot jata hai, or 8 chizon se roza toot jata hai : 1)khana peena 2) jima karna 3) mushtzani 4) khuda , rasool e khuda(saww) or un k janashinoon se ehtiyaat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna 5) ghubar e ghaleez halaq tak pochana ehtiyaat e wajib ki bina per 6) azan subah tak janabat ,haiz ,ya nifas ki halat main baqi rehna 7) kisi sayaul cheez se huqna(enema) karna ,8) ulti karna. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1569,1570,1553 ) Fehesh manazir (Porn movies or pictures) chahay wo baraah e raast hoon ya television per hoon, shehwat ki nighah se onhain daikhna jaiz nahi hay balkeh ehtiyaat e wajib k taur per kisi terah se bhi (agarchah baghair shehwat k ho) daikhnay ko terk kerna chahiay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),jaded fiqhi masail, maslah #492 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar periods hon to roza rakh skty hain?? or periods mai bleeding se roza tut jata kiya??
Answer: Periods ki halat main roza rakhna jaiz nahi hay or dooran e roza haiz ajanay se roza toot jata hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1608,1612 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mufti shab agar azanhona sa 1 minte pahla galti a roza khol la to roza ho ga ya ni
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Insaan ko yaqeen ya itminaan ho k maghrib hogae hay or roza iftaar ker lay or baad main pta chalay k maghrib nahi hoe thi tu is rozay ki qaza kerna wajib hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1659 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mah e Ramzan mai agar din k doran jima k alawa kisi aur batil krnay wali cheez ko aik sai za’id dafa anjam dia to kafara takrar ho ga?
Answer: Jee nhi, takrar nhi ho ga. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 81, pg # 45) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Begair kisi wajah k maswak aur kulli krna kia rozay par asr andas hota hai?
Answer: Agar jan boojh kar pani halaq tk na phounchay to roza shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 169, pg # 83)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya roze ki halat me masturbate karna jayez he?
Answer: Agar rozay dar istemna karay to is ka roza batil ho jata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1569)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: a.o.a sir agr rozy ki halat me koi sexy scene dikha jy or us ki wja s mene achanak apni pent ky upar sy ragarna shoro kar diya to mani nikal aya me ni janta tha k asa ho ga
Answer: 1)Agr rozay daar koi aisa kaam kary k mani nikal aey tou roza batil hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1569) 2)Ethiat e wajib k tor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya roza rakh kr love you bolne se or internet karne se roza tut jata h plzzz jaldi rply
Answer: Is sai roza batil nahi hota hai magar jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Ref : Nigah aur libas sawal # 106, pg # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).