Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam janab mein sirf itna puchna chahta hoon kya husband or wife ramazan k mahine mein ek doosrey k qarrib matlab sex karsaktay hain ya nhi please mujhe iska jawab dijye

Answer: Wssalam o alykum, Azaan e Magrib ke baad se Azaan e subha se pehle tak ke darmiyaani waqt main kar sakte hain albatta ramazan men roze k wqt men haram hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7579
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: in my roza i see naked women when she is doing bath i don't know she's there just co.incident i dont knw she is there .i am shy i was see my heart is now sham ful but i dont want to see that just coincident i.dont see her my roza is kaza or not .

Answer: The Roza is right, not qaza and kaffar.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7580
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: chot lagney ke baad dawai laganey se zacham per to kya roza toot jata hai

Answer: G nahi is se roza nahi toot`ta hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7581
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my question is in fasting, i have slept... pant may mutnese roza toota hai kya....give solution......taking bating is solution

Answer: G nahi is agr sote men ihtalaam hojaye to is se roza nahi tootta.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1571, Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7585
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya musht zani sy roza toot jata hy aur agr toot jata hy to is ka kufara kya hy.

Answer: G han mushtzani se roza batil ho jata hai or agr is bat ka ilm ho or insane jaan boojh kar or ikhtioyar se mushtzani kre to uska roza bhi batil hoga or kaffara bhi lazim hoga kaffare men ya to 2 maheno ke musalsal roze (is tarah k ek mahine musalsal or ek roza agle mahine ka mila kr sath rakhe usk bad k roza agr musalsal na bhi rakhe to harj nahi hai or istarah 2 maah k roze mukammil kre) ya 60 miskino ko peet bhar kar khana khilayen. Lekin agr insan ko ye pata na ho k mushtzani se roza batil hojata hai, or is bat ko janne men usne kisi qaism ki koi la-parwahi na ki ho to is surat men roza bhi batil nahi hoga or kaffar bhi nahi dena hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1630,1632,1625, Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).G han mushtzani se roza batil ho jata hai or agr is bat ka ilm ho or insane jaan boojh kar or ikhtioyar se mushtzani kre to uska roza bhi batil hoga or kaffara bhi lazim hoga kaffare men ya to 2 maheno ke musalsal roze (is tarah k ek mahine musalsal or ek roza agle mahine ka mila kr sath rakhe usk bad k roza agr musalsal na bhi rakhe to harj nahi hai or istarah 2 maah k roze mukammil kre) ya 60 miskino ko peet bhar kar khana khilayen. Lekin agr insan ko ye pata na ho k mushtzani se roza batil hojata hai, or is bat ko janne men usne kisi qaism ki koi la-parwahi na ki ho to is surat men roza bhi batil nahi hoga or kaffar bhi nahi dena hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1630,1632,1625, Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7615
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslalam o ALaikum Sir meria sawal ye hai k itikaf mai mahwari ka a jana kia itikaf se bahir nikhal na hu ga ?

Answer: 1)Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb hi q na aye is ka roza batil hai. 2)Haiz ki halat me aurat roza nahi rakh sakte hai. 3)Ramzan k wo rozay jo kisi aurat nahi haiz ki wajah sai na rakhay hoon zaroori hai k un ki qaza karay . (Ref: Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1612, 448, 459 ) 4)Etekaaf k sahi waqt us waqt hai jab roza rakhna sahi ho yani roza rakhna haram nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 477) Agar mustahab etekaaf ko 2 din ghuzar chuke hoon aur us k baad etekaaf batil ho jaay ( maslan aurat ko haiz ajaay to ehteyaat e lazim ki bina per is etekaaf ki qaza karna wajab hai. Laikin agar 2 din ghuzarne se phele etekaaf batil hogaya ho to us ki qaza karna wajib nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail ka hissa jaded masail 31st edition,pg:482, maslah #15 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7619
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roza ke halat me raat raat ma money (ehtlaam )nikal jaye tu roza rakh saktay hai shia katab sa

Answer: 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan boojh kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan boojh kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. 2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na

Id: 7623
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya sote smay muni nikalne se roza tutta hai

Answer: Agar rozay ki halat me ehtelam ho jaye tu roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7625
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roze main ager sote howe ahtelam hojae to kia ghusal roze ki halt main hi kr skte hain k nahi? aur ager kr skte hain to phir kia tarika wohi hoga jo hum normally krte hain?

Answer: 1)Agar kise roze daar ko din me ehtelaam ho jaay to is per fouran ghusal karna wajib nahe. ( yani din me kise bhi waqt karsakte hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1605) 2)Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. gusal main baal baraabar badan bhi ager na dhoya jaae ye dholne se reh jaae to gusal batil hai lekin kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 ) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. Note gusal main un chote chote baaloo ka dhona wajib hai jo badan ka juz shumaar hote hain, lekin lambe baaloo ka dhona wajib nahi hai, ager badan ko is terhan dhoya jaae ke jild tak pani poch jaae or baal tar na ho to gusal sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-378 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7627
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ramzan main wife aur husband hambistari kr sakte hain ya nhi.kia roze k sath kiss kr sakte hain ya nhi

Answer: Roze ki halat me humbistri karna roze ko batil kardeta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!