Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7632
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya wo aurat jis ne roza rakha hua hai apne bachhe ko dudh pila sakti, or dudh pilane se kya us ka roza tut jayega.

Answer: Jee nahi dhoodh pilane se roza batil nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7634
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, kia rozay k doran kulli karte waqt ghalti se kuch miqdar m pani Halaq me utar jaye to Roza toot jata hai??Or Roza k doran zaiqa wali dakaar m sehri ke khane k kuch zarraat halaq me ajaen to Roza toot jata hai kia?? Allah hafiz.

Answer: Agar piyaas ki wajah se kulli ki jay or pani bay ikhtiyaar pait main chala jay tu roze ki kerna wajib hay.Laikin agar rozedaar ye bhol jay k roze se hay or pani gale se utar jay ya piyaas k alawah kisi dosri sorat main jahan kulli kerna mustahab hay-jaise wuzu kerte waqt- kulli kare or paani bay ikhtiyaar pait main chala jay tu os per qaza wajib nahi hay. Agar Rozay daar dakaar lay aur koi cheez is kay halaq ya moo me aajaye to zaroori hai kay isay ugal day aur agar be ikhtiyaar pait me chali jaye to is ka roza sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1659,1556,1624)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7636
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ramzan men musht zani karne se roza toot jata hai

Answer: Agar Rozay daar Istimnaa(Musht zani) karay to uska Roza batil ho jata hai. Istimnaa(Musht zani) kisi bhi zariye say ho haram hay. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1569)(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla #462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7638
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: office me majburi me balgam nigal ne se roza tot ta hai ya nahi

Answer: Rozay me sar aur seenay ka balgham jab tak monh k andar walay hissay tak na ponchay isay nighalne me koi haraj nahi lekin agar wo moo me aajaye to Ehtiyaat-e-Mustahab ye hai kay isay na nighlay. (Ref: jaded maslah Ayatullah Sistani, Masla#103)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7640
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir I want to know??? 1. roza m tooth brush krna sa kya roza tot jata ha??? kindly mjha quran ki koi ayyat refral m bta da????? 2. kya agr ak lrka r lrki khud ko dill sa husbnd wife man la r wo iuska 7 humbistri kra to kya ya zana ho ga???????//

Answer: 1. Tooth brush kerne Roza Batil nahi hota jab tak halaq k ander koe cheez(paste waghaira) nah jay.. 2. Jee bilkul ye Zina hay jo k Gunah-e-Kabeera hay q k Nikah karnay ke liye kunwari larki kay baap/dada ki ijazat zaroori hai aur Nikah karnay say pehlay ap dono aik dusray kay liye Na Mehram hai. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#1553,2341,2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7647
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Rozay ke dooran Halaq se continous khoon is tarah nikle ke thook nigalne ke saath khoon nigalna bhi mehsoos ho aur ye mumkin na ho ke jo khoon nikal raha hai usay roka jaaye ya baar baar thoka jaaye..... tu is soorat main roza baatil hoga ya nahi??

Answer: Rozay ki halat me moo me jo khoon aaye usay jaan bojh ker pee lay to uska roza batil ho jaega. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail 31st Edition, Maslah #1553,1554)(Khuda aapki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7651
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir kia ramzan mai subh k time humbistari krskte hy.... agr kisi se anjane se humbistari hovi to usy kia krna chahiye.?

Answer: Jima karna se roza batil ho jata hai. Agar koi shakhs ramzan k rozay ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar(zabardisti) aur na,chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to is par rozay ki qaza k ilawa kaffara bhi wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah #1565, 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7653
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sar pa mehndi lagany sa roza toot jata hai

Answer: Issay Roza Batil nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah# 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7654
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamo alikum rozy ki qaza rozy ka kafara kiya huta hy or roza batil huna is ka kiya matlab hy

Answer: Roza 8 Cheezo say batil hota hai aur jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko khanay,peenay,jima,Istamna ya janabat par baqi rehnay ki waja say apnay ikhtiyaar say batil karay to is par qaza(repeat) k ilawa kaffara bhi wajib hoga aur jo koi kisi iskay ilawa kisi aur mubtilat-e-roza say batil karay to ehtiat-e-mustahab hai kay qaza kay ilawa kaffara(2 Maheenay Rozay rakhay ya 60 share faqeero ko pait bar kar khana khelana ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera dana) bhi hai (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1553,1630-1633)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7703
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can i use inhaler in roza and roza will be borken by usinginhaler or not.if yes orno.some fatwa in this regard.

Answer: Ager ye dawa ko sirf pheproo (saans ki nali) tak ponhchae to is se roza batil nahi hota or ager dawa giza ki nail main jaae to batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1557 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!