Question: Baigar dua pad a roza kholne roza tot jata hai kya.
Answer: G nahi nahi tootta balke roze kholne k muqarra wqt pe roza khud b khud khul jata hai chahe ap kuch khaen ya na khaen ya ap khuch dua parhen ya na parhen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kaya mani k niklana sa Roza tut jata ha k ni
Answer: Ehtilam(sotay main mani nikalna) se roza batil nahi hota laikin istimna(handpractice) or hambistari kerne se roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1565+1569+1571). Update on dated 20-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o alaikum. Sir mera sawal ye hai k rozy men ehtalam ho jae to kia roza tot jata ha? agr ni tut'ta to ghusal ka tareeka bta dein plzz
Answer: Roze main ehtilam se roza nahi tut,ta. Tertibi ghusl me ehtiyat e lazim ki bina per ghusl ki niyat k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571+360). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalamu alaikum roze ki halath me mani nikal jaye to kya roza tutjata hai ya nahi
Answer: Ehtilaam se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam mera sawal hai keh sotey howe roza ki halat me mani ka nikal jana bagair mani nikalne ki niyat se to kiya roza rahe ga ya nahi
Answer: Ehtilaam se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya rozai ma ejucting of pinus or per sperm nikla (khod kara) to is sai kya roza tot gata haai
Answer: Jima se roza batil ho jata hay or istimana(handpractice) kerne se bhi roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1565+1569). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mai roze se hu pr gair eradatan mera mani nikl gaya is se mera Roza tut jata ha.? aur abhi mai gusl nahi kr sakta Q ki mai office me hu plz solution dijiye
Answer: Ghair iradi taur per mani nikal jane se roza batil nahi hota, or namaz or is jaisi degar ibadaat k liay ghusl zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1570,356). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam, Roza rakh ke shaving kar sakte hai?
Answer: Shave kerne se roza batil tu nahi hota laikin darhi ko moondna(shave) ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553+2042). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Roze mein kya swallow nahi kare sarka naaz use kare to roza thoot jayega game bahut aadat hai.naaz nahi chair sakte aap plz batay kya sahi hai
Answer: 1-Moonh ka pani(thook) nigle se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1560). 2-Roze main naas laina jaiz hay agar halaq main dakhil hone ka yaqeen nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1013 , Eidition 1430 hij). Update on dated. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AoA .. mera question ye hy k agr rat ko ehtelam ho jaye to roza rakhny sy pehly ghusal lazim hy ya roza rakh k ghusal kar skty hain .. kindly tell me ???
Answer: Roze se pehle ghusl e janabat kerna lazim hay. (Ref: http://www.bahjat.ir/index.php/ahkam-2/jame/596-2011-09-07-13-29-28.html) Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).