Question: Agar neend ki halat me ihtlam hojae to gusal zaruri hota hai ya nai
Answer: Agar roze ki halat main ehtilam ho jaey roza sahi hay laikin namaz or degar ibadaat k liay ghusl e janabat kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571+356). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Removed
Answer: Moonh ka pani(thook) nigle se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1560). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Rozay ki halat mai agr nightfall ho jye tou kya karna chaye?
Answer: Roza durust rahe ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia roze ki halat main miswak kar sakte hain
Answer: Tooth brush kerne Roza Batil nahi hota jab tak halaq k ander koe cheez(paste waghaira) nah jay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #101 , Pg #88 , Eidition# 5).
Question: ASSALAM .... SIR MUJHE AP YE BATAYEN KE HUSBAND AUR WIFE RAMZAN KAREEM ME KIA HAQ HAIN .... AUR humbistri KAR SAKTE HAIN ???
Answer: Ramzan main din k waqt shohar apni bivi se hambistari nahi ker sakta laikin maghrib se lay ker fajar se pehle tak haumbistari ker sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1565). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya rozai ki halat m kiss krnai s roza toot jata h
Answer: Bosa lenay(kiss) se roza batil nahi hota. Laikin ye makhrooh hay roze main insan apni bivi ka bosa le. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salamun alaikum! mai ye puchna chahta hu jase roze ki halt mai khati dakar aaja jaye aur andr se kuch cheez hmre muhh tk aaye aur waps undr chli jaye to kya iss halt mai roza batil h??
Answer: Agar roze daar dakaar lay or koe cheez os k halaq ya monh main aajaey tu zarori hay k ose ugal de or agar wo cheez bay ikhtiyaar pait main chali jaey tu os ka roza sahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1624). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia roza k doran farz ghusl ka saktay hain
Answer: Roze main ghusl e tarteebi ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #). Update on dated 24-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalamoalyekum roze ki halat me kya me apne bal saf kar sakta hu
Answer: Jazi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya ramzan main daramay and films dkhna jaiz hy and rozay par eska kya asar ho ga
Answer: 1) Agar is main koe haram manzar(scene) nah ho tu daikna jaiz hay.or is se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). 2) Aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa(parts of body) ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1004 , published by darul hujjah). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).