Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17259
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roje me baalo me mehandi laga sakte hai Roja tutega to nahi

Answer: Jee rozay ki halat me mehndi laga sakte hai aur is roza nahin toote ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553). [Updated on 26-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17268
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Kya Ramzaan mein nikah mutta toot jata hai, or kya Ramzaan mein mutta kerny ki koi khaas shart hai. Meherbani ker k urgent reply kerny bohut bohut shukriya

Answer: 1: Jee nahin, Jab tak nikah e muttah me tay ki gayei muddat khatam na ho jaye ya maaf na kar di jaye tab tak nikah e muttah nahin toote ga. 2: Koi khaas shart nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2395,2473). [Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17271
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam .mah.e.ramzan me naswar Ka Kia hukom ha . ayatollah Khomeini

Answer: Agar maloom na ho ke halaq tak puhnchay gi to Naswaar lena makrooh hai, lekin agar maloom ho to jaiz nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Khomeini(r.h), maslah #1652). [Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17274
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozay ki halat main Galti say Mani Nikalna aur is baat ka ilm na hokay roza toot sakta hai Tu is kafara Kia hai is kay baray main tafseel bata dain plz jazakallah

Answer: 1: Agar ikhtiyaar se mani khaarij ki jaaye to roza baatil hoga, baad me qaza bhi karni hogi. 2: Agar Ramazan ke roze ko khaane, peene, Jimaa, istimna (masturbation) ya janabat pe baaqi rehne ki wajah se baatil kiya ho jabke jabr aur lachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to qaza ke alawa kafffara bhi waajib hoga. Lekin jin umoor ka zikr kiya gaya hai agar koi un me se kisi kaam ko anjaam day jabke use pukhta yaqeen ho ke is amal se us ka roza baatil nahin hoga to kaffara wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1569,1630,1631). [Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17284
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: naswar khany say roza toota hay ya nhii

Answer: Agar naswaar ke ajzaa halaq men daakhil na hon to roza sahi hai, lekin agar is ke ajzaa halaq men daakhil ho jayen to roza toot jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554). [Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17302
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ki hakat main bhool kr Pani pena

Answer: Rozay ki hakat main bhool kar paani peenay se roza baatil nahin hota balke roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554,1624). [Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17308
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy mn oil lagana ya chehry pe cream lagai ja sakti hy?

Answer: Rozay ki halat me oil ya cream laga sakte hain, lekin wuzu aur ghusl karne ki soorat me agar wuzu aur ghusl ke liye wo oil ya cream rukawat bane to use hatana zaroori hai, warna wuzu ya ghusl sahi nahin hon gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #289,376,1553,1629). [Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17310
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ki halt ma rasha niklna

Answer: "Rasha niklna" se aap ki kya muraad hai ? [Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17327
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ap ko na maloom ho kai mani se roza toot jata hi to rozaa toote ga ya nhi

Answer: Agar mani be ikhtiyaar nikle to roza baatil nahin hota lekin agar jaan bhooj kar aur ikhtiyaar se khaarij ki jaaye to roza baatil hoga baad me qaza bhi karni hogi or kaffara bhi adaa karna hoga. Aur agar mani kharij karne ke zariye rozay ke baatil hone ke baare me ilm nahin tha to roza phir bhi baatil ho jaye ga lekin kaffara nahin aaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1569,1570,1630,1631). [Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me aik msla sy guzar rha hu k mera mani ni nikaltaa sex krny k baad mtlb maza ata ha Lekin kuch ikhraaj ni hota toh Kia mera roza tot jaye ga Agr me masht zani kru Lekin kuch bhi ni nikly.

Answer: Agar mani nikalne ke Irade se chher chhaar aur dil lagi ki thi lekin mani na nikli to agar dobara roze ki niyat na ki ho to roza batil hai aur agar dobara roze niyat kar li ho tab bhi ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us roze ko poora karen aur ramazan ke bad is ki qaza bhi karen. Aur agar mani nikalne ka Irade nahin tha aur is tarah ka kam kiya tha to roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #1553,1575,1576). [Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!