Question: Aoa Rozy k daoran husband wife bos o kinar krty hue mard ka nafas aurat k andar ghalti sy chala jae mgr mani kharij na ho to kia roza tot jae ga?
Answer: Agar maloom tha ke rozay se hain to chahe mani kharij na bhi ho roza baatil ho jaye ga. lekin agar bhool gaye the keh rozay se hain to roza baatil nahin hoga, Albatta agar jima ki halat me yaad aa jaye ke rozay se hain to fauran jima tark karna zaroori tha aur agar yaad aane ki soorat me fauran jima tark nahin tha to roza baatil hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1565,1568). [Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz k roze main ehkam
Answer: 1: Haiz aur nifaas wali aurat ke liye roza rakhna wajib nahin hai aur agar wo roza rakhe gi tab bhi roza sahi nahin hoga. lekin ramzan ke baad us ki qaza karna zaroori hai. lekin Haiz aur nifaas wali aurat ke liye namaz parhna Haram hai aur jo namazain aurat ne haiz ya nifaas ki halat main nah parhi hon un ki qaza nahin hai. 2: Jo aurat pehle haiz aur nifaas se paak ho lekin Roza rakhne ke baad haiz ya nifaas ka khoon aa jaye to agarche maghrib se aik lamhe (second) pehle hi aaye, roza baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #8,22. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #459,1612). [Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Assalam Alaikum, Sir Aj Karne K Baad Fajar K Namaz Se Phle Mujse Mustzani Hogaae The Us Waqt Mene Roze K Niyaat Bhi Nahi Ke The, Uske Baad Mene Ghusal Kiya Aur Phr Roze K Niyaat Ke Aur Fajar K Namaz Parhe To Kya Mera Roza Hoga?
Answer: 1: Istimna (mani nikalna) or khud lazzati (hand practice/masturbation) karna ye Haram or Gunahaan e kabeera me se hai chahe hath ke zariye ho ya film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. aur baaz riwayaat me ise zina se bhi barah ghunah shumaar kiya gaya hai Q ke ye fitri amal nahin hai. 2: Azaan e subh se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai Q ke maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main baaqi raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye balke fajar ka waqt daakhil hone baad ghusl kiya hai to is soorat me zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1591,1625,1630). [Updated on 13-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalm o aliakum agah jan agr roze ki halat mia itlam ho jy or mani ka qatra ap k nafs mia kuch baqi reh jy ap osy nafs ko jila jula k nikal lo is sy roza batil ha k nhe apki niyat ha thi k andr phasy mani ko niklna ki
Answer: Agar insaan roza rakh kar din me kisi waqt so jaye aur din hi me use ehtilaam ho jaye to us ka roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1571). [Updated on 13-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر اذان فجر کے وقت الٹی آ جا ے تو کیا روزی سہی ھے
Answer: Roza sahi hai Q ke agar be ikhteyaar ulti(vomit) aajaye to roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1618). [Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Rozay ki halat main biwi se sex kr liya jaye tou uska kiya kafara adda krna hoga or kb
Answer: 1: Roze ki halat me jima (intercourse) karne se roza baatil ho jata hai. Agar koi shakhs ramzan ke roze ko jaan bojh kar jima ki wajah se baatil kare jab ke jabar (zabardisti) aur naachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to ramazan ke baad rozay ki qaza(repeat) karna zaroori hai aur is ke alawa kaffarah bhi wajib ho ga. 2: Kaffara dene me zaroori hai ke insaan kotaahi na kare lekin fauri taur par dena zaroori nahin. Albatta agle ramazan se pehle pehle ada kar liya jaye warna fidiya e takheer bhi dena hoga. 3: Kaffara ye hai ke in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 maheenay is tarah Rozay rakhay ke aik poora maheena aur is se agle maheene ke aik din tak musalsal roze rakhay aur isi tarah baaqi maheene ke rozay bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhay lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan wajah shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe aur uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day. 4: Agar rozedaar rozay ki halat main apni rozedaar biwi se jima kare to agar us ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kaffara aur ehtiyaat ki bina par zaroori hai ke apni biwi ke rozay ka bhi kaffara day aur agar biwi jima par razi ho to har aik par aik aik kaffara wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1565,1630,1632,1633,1649,1655,1676,1677). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: rozay ki halat ma hath sy mani nikalny sy roza batil hota ?
Answer: Jee han, Istimna (mani nikalna / masturbation) se roza baatil ho jata hai Q ke rozay ko baatil karne waali cheezon me sirf khana aur peena shaamil nahin balke is ke alawa 7 cheezen aur bhi hain jo rozay ko baatil kar deti hain aur kul (total) mila kar 8 chezain hain jo rozay ko baatil kar deti hain: (1) Khana aur peena. (2) Jimaa (intercourse) karna. (3) Istimna (masturbation). Yani mard apne sath ya kisi dusre zariye se jimaa ke alawa koi aisa kaam kare jis ke natije main mani khaarij ho. (4) Khuda-e-taala, Paighambar e Akram(s.a.w.w) aur in ke jaansheenon se ehtiyat e wajib ki bina par koi jhooti baat mansoob karna. (5) Gubbaar halaq tak puhnchana ehtiyat e wajib ki bina par. (6) Azaan subah tak jaanabat, haiz ya nifaas ki halat main baqi rehna. (7) Kisi siyaal cheez se huqna (aineema) karna. (8) Qeh (vomiting) karna. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz se pak hogaye houn lekin ghusal na kia ho to kia roza rkhna sahi h?
Answer: Agar yaqeen ho jaye ke paak ho gayei thein to Roza rakhne ke hawale se sharaei maslah ye hai Azaan e subh se pehle Ghusl kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mijy roza Rakh ka kl bi ahtlam huwa aur subah bi roza Rakh ka ahtlam huwa is ka bra ma Kuch bta da roza tota ga ya nhi
Answer: Ehtelam se Roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masial, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1570). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene Apni GF k Sath Cherh Charh ki roze k halat mein Halake Mani Nklne ki Wajah se nh pr Shewat ki wajh se nkl gyi ..kya mera Roza Toot gya
Answer: Agar rozedar mani nikalnay ke irade ke bager ye kaam kare aur use itminaan ho ke mani kharij nahin ho gi to agarchah mani kharij ho jaye, is ka roza sahi hai. Albatta agar use etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaye ga. 2: Albatta wazih rahe ke Kisi merd or aurat ke liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahin hay. Haan aap faqat us ke ghar nikah ka paighaam bhej sakte hain or dua kar sakte hain. 3: Shohar aur biwi ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil karna ghunah e kabira hai. 4: Jo shaks shadi na hone ki waja se Haram kaam me mubtela hota ho is par wajib hai k shadi kar lay (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576,2407. + Minhajus Saliheen, part #1, maslah #30. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal #106, pg #69). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]