Question: jesa k boht say logo ko ghusal junabat ka pata hi nhi hota aur woh namaz aur rozay rakh rahay hotay hay to unk namaz aur rozay ke kya hasiyat hay
Answer: Agar ghusl e janabat ka pata nahin tha to is soorat me rozay sahi hain lekin namazen sahi nahin, namazon ki qaza karna zaroori hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #786,787,1553,1591. + link, https://www.sistani.org/persian/qa/02313/#23294). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سیری کے وقت بیوی کے ساتھ ہم بستری کرنے یا مشت زنی کرنے سے روزہ پر بھی اثر پڑتا ہے یا نہیں
Answer: Maah e ramazan main sehri ke waqt biwi se humbistri kar sakte hain lekin azaan subh se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai Q ke maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main baaqi raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630,2376). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fajr ki azan se pehle main naswar(velo) moun se nikal deta hu or pani ka glass peeta hu lekin azan k bad bhi mujhe thora taste ata hay to roza sahi hay yan nhi mera?
Answer: Agar naswaar ke ajzaa halaq men daakhil na hon to roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roze me shave Karna
Answer: Daarhi mondna ya mundwaana (Shave karna ya karwana) ye to aam dino me bhi ehtiyaat e wajib ki bina par Haram hain. lekin agar koi shakhs roze ki halat me ghunah karte hue aisa kaam anjaam day day to is se roza baatil nahin hoga. lekin ehtiyaat e wajib ki bina par ghunahgar zaroor hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,2042). [Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam O Alaikum Ramzan ul Mubarek me Roza aftar se kuch waqt pehly peshab k saath Mani nikal aye to rozy k bary me kiya hukm hai?
Answer: Woh rutoobat jo kabhi kabhi peshaab ke baad nikalti hai usay Wadi kehte hain. aur ye rutoobat is surat mein paak hai jab apni jagah se nikalne ke baad peshaab mila hua nah ho. aur agar peshaab mila hua ho tab sirf us jagh ko najis kare gi jahan wo rutoobat lage gi. lekin kisi bhi soorat me roza baatil nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,119,1553). [Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: In the month of ramzan during ablution while putting water in mouth (kulli)some water entered in my mouth. Is my fast OK?
Answer: Agar be ikhtiyar halaq men chala gaya ho to Roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554,1661,1662). [Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Rozay ki halat main agar cigarette ya vape penay se roza batill hojata hai kun cigarette ya vape se to na gala geela hota hai na hi koi khuraak jati hai.
Answer: Rozay ko baatil karne waali cheezon me sirf khana aur peena shaamil nahin balke is ke alawa 7 cheezen aur bhi hain jo rozay ko baatil kar deti hain aur kul mila kar 8 chezain hain jo rozay ko baatil kar deti hain: (1) Khana aur peena. (2) Jimaa (intercourse) karna. (3) Istimna (masturbation). Yani mard apne sath ya kisi dusre zariye se jimaa ke alawa koi aisa kaam kare jis ke natije main mani khaarij ho. (4) Khuda-e-taala, Paighambar e Akram(s.a.w.w) aur in ke jaansheenon se ehtiyat e wajib ki bina par koi jhooti baat mansoob karna. (5) Gubbaar halaq tak puhnchana ehtiyat e wajib ki bina par. (6) Azaan subah tak jaanabat, haiz ya nifaas ki halat main baqi rehna. (7) Kisi siyaal cheez se huqna (eneema) karna. (8) Qeh (vomiting) karna. Note: Rozay ko baatil karne waali cheezon me 5 number jo mubtil hai isi gubbar me se cigarette ya vape aur tambakoo bhi hai ke jis ke peene se roza Ehtiyat e wajib ki bina Baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1587) [Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jb periods khtm hojayen lekin ghusal na kia ho to kia roza rkha ja skty hai?
Answer: Ghusl haiz kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare. Ramazan ki qaza mein agar jaan bhoojh ke ghusl ya tayyamum na kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo us din ka roza nahin rakh sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608). [Updated on 24-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me and my husband had intercourse during fast , pls lemme know how to recover it
Answer: 1: Roze ki halat me jima (intercourse) karne se roza baatil ho jata hai. Agar koi shakhs ramzan ke roze ko jaan bojh kar jima ki wajah se baatil kare jab ke jabar (zabardisti) aur naachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to is par roze ki qaza ke alawa kaffarah bhi wajib ho ga. 2: Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko, jima ki wajah se baatil karay to is par qaza(repeat) ke alawa kaffara bhi wajib hoga. Kaffara ye he ke in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 Maheenay is tara Rozay rakhay ke aik poora mahena or is se agle mahene ke aik din tak musalsal roze rakhe or ise tarah baaqi mahene ke roze bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhe lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan waja shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe or uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day. 3: Agar rozedaar roze ki halat main apni rozedaar biwi se jima kare to agar us ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kaffara or ehtiyaat ki bina par zaroori hai ke apni biwi kw roze ka bhi kaffara day or agar biwi jima par razi ho to har aik par aik aik kaffara wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1565,1568,1630,1632,1633,1649). [Updated on 24-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Kya hair removing cream private parts per use Karne se roza toot jata hai
Answer: Nahin, hair removing cream private parts par use karne se roza baatil nahin hota, balke Rozay ko baatil karne waali cheezen 8 hain jo rozay ko baatil kar deti hain: (1) Khana aur peena. (2) Jimaa (intercourse) karna. (3) Istimna (masturbation). Yani mard apne sath ya kisi dusre zariye se jimaa ke alawa koi aisa kaam kare jis ke natije main mani khaarij ho. (4) Khuda-e-taala, Paighambar e Akram(s.a.w.w) aur in ke jaansheenon se ehtiyat e wajib ki bina par koi jhooti baat mansoob karna. (5) Gubbaar halaq tak puhnchana ehtiyat e wajib ki bina par. (6) Azaan subah tak jaanabat, haiz ya nifaas ki halat main baqi rehna. (7) Kisi siyaal cheez se huqna (eneema) karna. (8) Qeh (vomiting) karna. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553) [Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]