Question: kiya seheri se pehele mustebete karne se roza hoga ya nehi
Answer: Istimna(Masturbation) (apne ikhtiyaar se mani nikaalna) haraam or gunah e kabira me se hai. Istimna(Masturbation) karne ke baad agar maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko batil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye. or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke is din ka roza pora kiya jaye aur phir ramzan ke baab aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is k alawa is par roze ka kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #1591,1625,1630). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sim py jab phone kry to os py song lga hota ha . Kya rozy ki halat ma na chahty hvy b song suna prta ha . Is se roza toot to ni jata.
Answer: Jee nahin, is se roza baatil nahin hota (yani nahin tooteta). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553). [Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya rozay ki haalat men hont chabanay se roza toot jata hay?
Answer: Nahin, Is se roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 20-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya roze ki halat me lence laga sakte he
Answer: Jee, laga sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Mjy aksar khansi rehti hai. Rozay ke halat main ,agar balgm halq sy Indra chali jay to Roza batil ha ya nahe. Ya namaz me doran khansi aa jay to kya karain
Answer: Sar or seene ka balgham jab tak monh ke andar wale hisse tak nah puhnche use nigalne main koi haraj nahin lekin agar wo monh main aa jaye to ehtiyat e mustahab (behtar) ye hai ke use nah nigla jaye. Albatta roza kisi soorat me baatil nahin hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1561). [Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roze me ladkiyon ko dekhna Or unse baat karna jaiyaz hai?
Answer: 1: Bazat e khud na-mehram ko dekhne aur baat se karne se roza baatil nahin hota. lekin roze ki halat me koi shehwat angaiz kaam (maslan na-mehram ko shehwat ki niyat se dekhna aur unse baat) karna makrooh hai. Lehaza is tarah ki baat ki jaa sakti hai jo ke shehwat angaiz nah ho aur musalman ke shayan e shan ho. 2: Albatta yahan chand fiqhi masail zikr kiye jaa rahe hain jis ki taraf aap ko mutawajeh karna zaroori hai. 1. Mard ke liye na-mahram aurton ka jism dekhna aur isi tarah un ke baalon ko dekhna chahe lazzat ke iraade se ho ya is ke baghair, Haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya na ho, Haram hai. un ke chehre par nigaah daalna aur hathon ko kalaiyon tak dekhna agar lazzat ke iraade se ho ya Haram mein mubteka hone ka khauf ho to Haraam hai. Balke ehtayat-e-mustahab yeh hai ke lazzat ke iraade ke bager aur Haram mein mubtela hone ka khauf nah ho tab bhi nah dekhay. 2. Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar ghunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. 3. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. 4. Kisi mard aur aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti karna jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629,2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). [Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bleeding na hoi ho pr symptoms zhr ho rhya hon to roza Rakh skta
Answer: Jee rakh sakti hain, balke agar maah e ramzan hai to roza rakhna wajib hai. Han agar rozay ki halat me din ke dauraan periods aa jayen, roza batil ( khatam )ho jaye ga aur ramzan ke bad is ki qaza karni hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #22,23). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Rozey ki halat ma Ganda khawab agr dekhy to is k bare ma kia hukum ha?
Answer: Is se rozay par koi asar nahin pare ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1630). [Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein jab utah us waqat fajar ka time ho raha tha aur meray mu mein naswar thi aur bas ut k khuli ki aur rozay ki niyat kar li kya mera roza sahi hai hala k abi tak andharay tha
Answer: Agar naswaaar ke ajzaa halaq men dakhil nah hue hon to roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554). [Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa ager koi larka kisi larki say batien kur raha hoe ore usay ajeeb sa ho jaye but ( Mani ni ho LAkin liquid sa aye jis say dress kharab hoe ) kia us ka roza tot jaye ga
Answer: Roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair koi shehwat angaiz karam kiya jaye aur faqat shehwat aane se jo rutoobat kharij hoti hai wo mazi kehlaati hai aur is se roza baatil nahin hota (yani nahin tootata), aur ghusl bhi nahin karna hota. Haan! agar shehwat ke sath mani nikal aaye to roza baatil hoga aur ghusl bhi karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,344,1553,1629). [Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]