Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 19437
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If by little talk vaginal discharge is done. Did roza break or not

Answer: 1: Agar mani nikalne ke iraade se cherh chaarh aur dil lagi ki ho lekin mani nahin nikli to agar dobara roze ki niyat na ki jaye to roza baatil hai aur agar dobara roze ki niyat kar li jaye tab bhi ehteyat-e-laazim ki bina par zaroori hai ke is roze ko tamaam kiya jaye aur bad me is ki qaza bhi ki jaye. 2: Agar mani nikaalne ke iraade ke baghair cherh chaarh aur hasi mazaq ki ho aur itmenaan ho ke mani kharij nahin hogi to agarche ittefaqan mani kharij ho jaaye, roza sahi hai. Albatta agar itmenaan na ho to is soorat mein jab mani kharij ho jaye to roza baatil ho jaaye ga. 3: Roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair koi shehwat angaiz karam kiya jaye aur faqat shehwat aane se jo rutoobat kharij hoti hai wo mazi kehlaati hai aur is se roza baatil nahin hota, aur agle roze ke liye ghusl bhi nahin karna hota. Haan! agar shehwat ke sath mani nikal aaye to roza baatil hoga aur agle roze ke liye ghusl bhi karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1575,1576,1629). [Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19444
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Roza ki halat mein Insulin le sakay hein, Doctor k mutabiq sonay se pehlay lena hai mein night shift karta hoon aur taqreeban sibh k 9 baj jatay hein.

Answer: Madical ke ahtebaar insulin ka istemaal roze me sahe hay ya nahe is silsele me doctor se rabta kia jaae or sharhe ahtebaar se Roza ki halat mein Insulin laye sakte hain Q ke insulin se roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b). edition #42, maslah #1557). [Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 19449
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera ik sawal hay agar video call pr baat krty karty aik dosry ka aghza dekliya apna khud ka hisy ko hath lagaya pr mushtzani ka irada sy nhi to kiya roza batil ha koi kaffara hy iska qaza?

Answer: Agar mani nikaalne ke iraade ke baghair is tarah ka kaam kiya tha ho itmenaan ho ke mani kharij nahin hogi to agarche ittefaqan mani kharij ho jaaye, roza sahi hai, (aur agar mani kharij na ho to bhi roza sahi hai). Albatta agar itmenaan na ho to is soorat mein jab mani kharij ho jaye to roza baatil ho jaaye ga. Albatta roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair koi shehwat angaiz karam kiya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576,1629). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19450
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr rozy ki halat main istimna kry kui r usy pukhta yaqeen ho k mani kharij nhi hony pay gi lekin mani kharij ho jay to kia roza batil ho jay ga?

Answer: Agar rozedar mani nikalnay ke irade ke bager ye kaam kare aur use itminaan ho ke mani kharij nahin ho gi to agarche mani kharij ho jaye, is ka roza sahi hai. Albatta agar use itmenaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaye ga. aur kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1575,1576,1630). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19451
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum mera ik sawal hay agar larki ya lover sy video call pr krty karty wo kahhy mujhe dekna hy or osko video call pr apni dekay pr discharge hona ka irda say nhi or agar pani nikal jay to kiya is halat ma roza toot jata hy?

Answer: Agar mani nikaalne ke iraade ke baghair is tarah ka kaam kiya tha ho itmenaan ho ke mani kharij nahe hogi to agarche ittefaqan mani kharij ho jaaye, roza sahi hai. lekin agar itmenaan na ho to is soorat mein jab mani kharij ho jaye to roza baatil ho jaaye ga. Albatta roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair bhi koi shehwat angaiz karam kiya jaye. Jo shaks shadi na hone ki waja se haram me mubtela hota ho us per shadi karna wajib hay.Shadi ke begaire namehram aurat se jinse lazzat hasil karna maslan use lazzat se daikhna haram . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576,1629,2406, minhajussuleheen jild no:1, masla no: 30) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19452
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya kisi ko itna malum na ho ki bagair janabat ke roza nhi rakha sakta lekin usne rakh Kiya to uske liye kya hai hukum hai

Answer: Is soorat me sirf qaza karni hogi, lekin kaffara wajib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1631). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19604
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Agr sehri time roza bnd huye 10 min hojaye r pani pi k roze ki niyat kr lain to roza hojati ha?

Answer:

Id: 19738
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: kya sotay hway danto say khoon ay oar roza ho to kya roza toot jata hai???

Answer:

Id: 19774
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: OKiA rozzay ke Halat may Dant may dawaye laga sakTay hain dard ke waja say

Answer:

Id: 19847
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mera roza tha lakin mje majboori ke waja se handi mein namak check krna phar gaya lakin halak se neachy nhi janaye diya kya mera roza toot gaya

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!