Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14604
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roze ki halat ma biwi k sath pyar krty hovy agr achnak inzal ho jaye (mani ka agraaj ho jaye) to is ka kia hukam hai aur is say roza tuta hai ya nahi agr toota h to is ki qaza kia hai ( bas 1 roza ya 60 rozy ) please guide kr dain Sukriya

Answer: Agar rozedaar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni biwi se cherh chaarh or hansi mazaq kare or osay itminaan ho keh mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey, tu os ka roza sahi hay. albattah agar osay itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576). (Note: Pehli soorat men roza sahi hai aur aap par kuch bhi wajib nahin hai. Albatta Doosri soorat men Roze ki qaza bi karni hogi or is k sath kaffara bhi dena hoga or kaffara main ye chezein deni hoti hain 1 ghulam azad kary ya 2 mahiny rozy rakhy ya 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khely ya har faqeer ko 750 gram ghandum ya jow ya roti wagaira day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1632 1630). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15582
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia rozay me bhool sy paani pi liyaa phir thori dair me realised hoaa .

Answer: Ghalati se pani peena roze ko baatil nahin karta, Albatta baad ki surat jo aap ne bayan ki hai is se roza baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1556,1565,1569). [Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15630
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر کسی شخص کا وضو قائم نہ رہ سکے یا نماز کے دوران ہی وضو ٹوٹ جائے تو کیا اسکی نماز ہو جائے گی؟

Answer: 1: Saat cheezein wuzu ko baatil kar deti hain: 1) Peshaab or jo masshkook ratoobat peshaab ke bad aur istebraa se pehle insaan se khaarij hoti hai woh bhi peshaab ka hukum rakhti hai. 2) Pakhana 3) Riyah yani made aur aanton ki hawaa jo maqad (peeche ki sharamghah) se khaarij hoti hai. 4) Neend jiski wajah se naa ankhein dekh saken aur na kaam sun saken, lekin agar ankhein naa dekh rahi hon magar kan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota. 5) Aisi halat jin mein aqal zaail ho jaati ho maslan diwaangi, massti ya behoshi. 6) Auraton ka Istehaaza. 8) Janaabat balkeh Ehteyaat-e-mustahab ki bina par har woh ka jis ke liye ghusl karna zaroori hai. 2: In men aik Riyaah(gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maqad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil ho jata hay, lihaza jab wuzu batil ho jaye to is wuzu ke batil hone ki wajah se namaz bhi batil ho jati hai aur dobara parhni hoti hai. Lekin is ka sharaei hal ke hai ke Agar kisi ko riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa parhne ki bhi muhlat nah milti ho tu os ka aik wuzu chand namazon k liay bhi kaafi hay. siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabiee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahin hay.Agar kisi shakhs ko shak ho kay us ka wuzu batil hoa hay ya nahi to usay ye samajhna chahiye kay us ka wuzu baqi hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322,308,314,299). (Note: 1. Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karen. 2. Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karen, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari ho jati hay. 3. Khana khoob chaba kar khaya karen. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or riyah(gas) ka maslah nah ho). Aap Masood homeopathy company ki mother tincture HR-35 ko istemaal karain, Inshallah aap is beemari se nijat paa jain gay.(https://masoodstore.com.pk/product/hr-35-gastronex/) [Updated on 13-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16325
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr roza ke halat main temporary nikah Kar ke or dakhol دخول kia jaye or mani na nikale kia roza toot jata hain?

Answer: Jima (hambistri / dukhool) karne se roza baatil ho jata hai chahe uzu e tanasul supari tak hi dakhil ho aur mani bhi kharij nah huei ho. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1565). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16326
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr roza ke halat main temporary nikah Kar ke or dakhol دخول kia jaye or mani na nikale kia roza toot jata hain?

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17033
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main NY periods Ki wajah sy ramazan my chootny walla qaza Roza rakha aur Bhool Kar toffee kha Lee to KIA mera Roza toot gya

Answer: Agar jan bhooj kar nahin khayei thi balke bhool kar khaa lee thi to roza sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #1553,1625). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya roza rakh ker novel perh sakte hein ?

Answer: Parh sakte hain, lekin rozay ki halat me koi bhi shehwat paida karne wala kaam karna makhooh hai lekin agar wo kaam shehwat paida karne wala nahin hai to phir rozay ki halat me ye makrooh bhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1628). [Updated on 06-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17068
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roze ki halat me ghrare ka hukum

Answer: Rozay ki halat me bila wajah paani ya koi aur siyaal cheez munh me daalna Isi tarah Rozedaar ke liye ziyada kulliyan karna makrooh hai aur agar kulli ke baad luaab-e-dahan nigalna chahe to behtar hai ke pahle teen dafa luaab ko thook day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1628,1660). [Updated on 06-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17069
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o Alaikum Agr Hume Roza Ho Aur Hum Ksi Bat K Liye Rone Lag Jaye Tu Kiya Hamra Roza Toot Jayega ?

Answer: Jee nahin, is se roza nahin tootata. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1552). [Updated on 06-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17070
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya roza ki halat ma larki sa Pyar ka izhar karna sahi han

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na-mehram se piyar o muhabat ka izhaar karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. lekin rozay ki halat me koi bhi shehwat paida karne wala kaam karna makhooh hai lekin agar wo kaam shehwat paida karne wala nahin hai to phir rozay ki halat me ye amal makrooh bhi nahin hai. (Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #1628). [Updated on 08-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!