Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6418
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: khums kiya hota he or mean kiya he iske plz btadijiye .

Answer: Khums maal ki bachat ka paanchwa hissa, 1/5 ya 20% hota hai). Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). mus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums denaho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804) jo shaks kise kaam dhande se kamai na karta ho balke logo ya hokomat ki madad per is ka ghuzara ho ya ise itefaqan kohe nafa hasil ho jaay to jab ise ye nafa mile us waqt se aik saal ghazarne k baad jitney mikdaar is k saal bhar k akrajaat se ziyada ho zaroore hai k us ka khums de .is ahtebaar se har munafe k lye aik alaida saal bhi qarar de sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6536
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam Q: kia khums mahana salary milty hi nikala ja sakta hai , jabky maloom ho ky maheeny ky bad kuch bach nahin paaey ga?? is liye salary milty hi nikal diya jaey??

Answer: Saal k duraan jis waqt bhi kisi shaks ko munafa mile wo is ka khums de sakta hai aur us k liay ye bhi jaiz hai saal katam hone tak is khums ki adaigi tak takheer kar de. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1736) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6797
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam agr kumus ki date par kumus nikani ki badd koy chiz ghar may nazar ay ya hum bhool gy ho to ky jab bhi dkhi to kumus nikal sakti hi?aor jo kumuss ko kamasala na samjhti hoi kfi year tak kumus na dya ho ab vo kya kari?

Answer: Wssalam o alykum, jab mile us hi waqt kums nikaalna wajib hai. or kafi year tak kums na dene ki sorat main mujtahid ke wakeel ki taraf tak ruju kare.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1722 , 1767 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai)

Id: 7264
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum 1. mera sawal ye hai k mey ne kuch raqAm udhaar di hai aur meri khums k date qareeb hai to kia meri udhar ki raqam par bhi khums lage ga? 2. Kisi ki raqam amanat hai mere pas to kia is par bhi khums lagey ga?

Answer: insaan k lie us maal k bhi khums nikaalna wajib hai jise dosere ko ak moiyan mudat k lie qaraz diya ghaya ho.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 103 pg #58) Jo raqam insaan k pass kise dosere insaan ke amanat k tour per ho is raqam per amanar rakhne wale per khum wajib nahe hota . .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 103 pg #50)

Id: 8344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alekum 1. makan bane me jo kharch ho usko bachat ya kharch me shumar karenge 2. agar mera makan 2 ya 3 sal me mokammal ho ,sal ki aamdani se thora thora kam karate rahe to uska kea hukm hai

Answer: 1 – ager ye kharch is ki hasiyat ke mutabiq ho to karch shumaar ho ga or is per khums nahi hai. 2 – Ager ye un afraad main se ho jo 1 saal main ghar nahi bana sakte or her saal main makaan ki tayyari ka kharch is ki shan o hasiyat ke mutabiq ho to is per bhi khums nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 93 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8518
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salam janab main pabandi se khumes ada karta hoon laikin 2 sal se mujh par khumes wajib nai hua to batain main jo apni bivi ko mahana kharcha daita hoon wo commetti dal kar saving karti hai tu kiya us ki saving par khumes wajib hai

Answer: jo paise insaan apne wife ki milkiyat k tour per deta hai to phi us ki wife un paiso ki maalik ban jati hai aur in paiso k silsile me shohar per koi khums wajib nahi ho ga . In paiso per bivi ki khums ki tareekh per bivi per khums wajib hoga.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 99 pg #55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8666
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA, Agr 1 saal me 1000 bachat ki aur 200 khums dia, baqi 800 bach gae. Next saal k end per kia ye khums ada kerda 800, aglay saal ki bachat 1000 me jamma ker k khums nikalna hai ya sirf dobara 1000 per he khums ada kerna hai?

Answer: Agle saal khums datay waqt jitni raqam aap k paas ho os main se pichle saal ki khums ada kerne k baad ki bachi hoe raqam(yani mukhammas raqam) ko alag kerna jaiz hay or os per khums wajib nahi, agarche wo raqam naey(new) saal ki amadani aane se pehle hi kharch bhi ho chuki ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435h, part#1,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8872
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: khums k masil

Answer: Khums ke bare me kya sawaal hay ??? [Updated on 18-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 8912
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khums kab wajib hota hai? or iska nikalne ka kya procedure hai?

Answer: Aap khums ki tafseel jaane k liay is link per click karain.( http://www.sistani.org/urdu/book/61/3645/). Update on dated 12-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8994
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. I have life insurance policies on which i pay premium annually. For that purpose i keep a side a specific amount every month. Would that payment allowed to be deducted from the savings for the calculation of khums?

Answer: If before premium due date , khums date reached, then khums will be paid on that amount. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e Khums o Fitra, Mutarajjim Syed Tabish Jawaid Rizvi, Mafhoom e Maslah #2298,2320). Update on dated 07.03.16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!