Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 196
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aitikaaf karnay kay liye kiya lazim hay aur ramzan mein kab kerna sahi hai? aur is kay masail kay barey main maloomat faraham karain?

Answer: Aitikaaf kay liye laazmi sharait ye hain.Musalmaan aur Aaqil ho is kay saath 1.Niyyat (Qurbatan Ilallah) 2.Roza 3.kam say kam 3 din ka ho 4.Masjid e Haram ,Masjid e Nabavi,Masjid e Basara,ya Shaeher ki Jama Masjid main kiya jaey..Aitikaaf Mustahib hay Magar Aitikaaf us waqt karna sahi hay jab Roza rakhna sahih ho Afzal ye hay kay Maah e Ramzaan main kiya jaey aur khas tor par Aakhir kay 10 days main Afzal hay.Aitikaaf 2 din guzarnay kay baad teesray din wajib ho jata hay magar ye kay us nay Niyyat kartay hoay Shart rakhi ho kay wo zaroorat kay waqt palat jaey ga.Minhaaj us Saliheen (A.Sistani) Page No.342-44

Id: 2543
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: itikaf kin halat mein chor saktay hain

Answer: Agr etkaaf krne wala un asbab k siwa jin men etakaaf men nikalne ki ijazt hai masjid se nikle to uska atakaaf batil hojata hai, is men msla janne or na janne wale k drmiyan koi farq nahi hai balke bhule se bhi masjid se nikle to atkaaf batil hojayega magr ye k wo majburi men nikle ya usko zbrdati nikala jaye ya uska nikalna kisi zaruri hajat misal k tor pr peshab ya pakhane ya ghusle jinabt ya ghusle istihaza ya ghusl mas-e-mayyit k liye ho agrche uska sabab us k ikhtiyar se hi ho, namaz-e-juma men hazir hone k liye , janaze men sharik hone k liye , namaz-e-janaza , mayyit k ghusl or kafan, dafan k liye or bimar ki ayadat krne k liye masjid se bahir nikalana jaiz hai albatta dusre tmama wok am jo shar``ee rujhan rakhta hen ehtiyat wajib ye hai k unk liye bhi masjid se bahir na nikla jaye mgr ye zarurt aysi ho k jis se chhorqa na jasakta ho, usi tarah ehtiyat-e-lazim ye hai k masjid se nikle to qrib treen rasta ikhtiyar kre or zarurt se ziyada rukna jaiz nahi hai or ayse kamon men mashghool hona jis se atkaaf ki sirat baqi na rahe atkaaf ko batil kr deta hai agrche is ka masjid se bahir nikalna zbrdasti nikalne ki waja se ya majburi ki waja se hi q ho or jab wo masjid se nikla hua ho to tb bahir saye men bethna jaiz nahi balke Ehtiyat-e-lazim ye hai k kam pura hojane k bad mutlaqan bahir na bethe mgr ye k majburi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # )

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3861
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: pls agar aitakaf ki halat ma ehtalam hojay toh us ka process btay pls

Answer: 1)Ghusal janabat karne k lye masjid se bahar jaya ja sakta hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # before 1073) 2)jis isaan per ghusal janabat wajib ho is k musjid me therna haram hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #354) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3991
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal yeh hy k kiya aitekaf k liye hum 7 din ya 5 din k liye beht sakhty hy ?

Answer: Aitekaaf 3 din se kam sahi nahi hai or 3 din se ziyada sahi hai.7 ndin aitekaaf main baithna sahi hay laikn agar koe 5 din aitekaaf main baithna chahaiy tu os ko chahiay k wo aik din or aitekaaf ki niyat se batithay (yani 6 din aitekaaf main baithay). ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg# 477-8, Jadeed masail). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6436
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ehtelam ka honay se itikaf toot jata hai?

Answer: Nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg no: 481,maslah #11 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6508
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir...sir mujhe itekaf ki niyat bta dein??

Answer: Niyat dil k iraday ka nam hai k Allah ki qurbat k lie itikaf karta hon qurbatan illaha. jis terah doosri ibadato mai niyat hoti hai isi terah itikaf mai bhi niyat ki jati hai aur start sai aakhir tk niyat par baqi rehna wajib hai yani agar aap sai koi pouchay k kia kar rahay ho to aap bta sakain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1 itikaf)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6523
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aitekaaf ka sahe wakt konsa hai

Answer: Ahtikaaf k sahe waqt us waqt hai jab roza rakhna sahe ho yani roza rakhna haram na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 477) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6533
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu Alaykum Jab ham Etekaf me bethte he to kisise b baat karsakte he Or etekaf me kinkin chijo ka khayal rakhna chahiye

Answer: Aitekaaf me batain kar sakte hai.Wo cheez jo aitekaaf karne wale ko chorhna zarori hain :1) jima ,2) ehteyat e lazim ki bina per istimna (mani kharij karna) 3) har qism ki khushbo soongna 4) khareedo forokht karna 5) dosero per fouqiyat jatane k liye deen ya dunyawi kaam me jagharhna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg: # 481) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6572
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aitikaf ke duran gusal (Bath) ke bare main kya hukm hai? Koi pabandi hai ya jab dil chahe gusal ker sakta hai?

Answer: Aitikaf ki shart ye hai k musalsal isi masjid mai rehna chaheay jis masjid mai aitikaf start kia tha. Lehaza agar koi shakhs masjid sai nahanay k lie bahir nikal jae to aitikaf batil ho jae ga laikin ghusl e janabat k lie agar masjid mai ghusl ka intezam nahi hai to ghusl e janabat k lie masjid sai nikl sakta hai aur ehtiyat e lazim ye hai k masjid sai niklay to qareeb taren rasta ikhtiar karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 5 aitikaf)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6672
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASLAM Oo alikum mjhy ye pochna hai ke ek larki aitkaf beithi or agly din hi uski date aa gai..ab us larki ko kya jrna chahiye abhi rozy khtm nhi hoye kya krna chahiye plzzzzzz bari meharbani jaldi batiye ga

Answer: Aap ka aitekaaf batil hay.Namaz or is jesi dusri ebadaten jinhen wazu, ghusl ya tyamum k sath ada krna zaruri hai agr ap is niyat se anjam den k sahi amal anjam de rahi hen, jaiz nhi hai , lekin wo ibaden jin k liye wazu, ghusl ya tyamum krna zaruri nhi hai un k anjam dene men koi harj nhi hai.Albatta jb ap pak hojaen to in rozon ki qaza wajib hai lekin namaz jo qaza hogai in dinon men unki qza wajib nhi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #448-459). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!