Question: jo log QURAN na parha ho wo pora din kya parhe
Answer: Ramzan rehmat aur barkat wala mahina hai jis mai gunah maaf hotay hain aur ye mahina khuda k nazdeek saray mahino sai behr aur afzal hai. is mahinay mai tamam momineen o mominat khuda k mehman hotay hai is mahinay mai sans lena tasbeeh aur sona ibadat ka sawab rakhta hai. is mahinay mai hamain Allah sai oski ibadat karnay ki taufeeq talab karni chaheay quran parhna chaheay aur agar parhna na aata ho to is ko dekhna bhi ibadat ka daarja rakkta hai. aur is ka tarjuma oarhna chaheay. (Ref : mafatihul jian pg # 341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Tamam asmani kitabain kis islami mahinay mai nazil hui hain?
Answer: Tamam asmani kitabain Ramzan k mahinay mai nazil hui hai. (Ref : kitab khutba e shabania)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: fateha k mani?
Answer: Fateha ka lafzi meaning “start karnay wali” hai aur surah alhamd ko fateha isi lie kehtay hai q k is surah sai quran majeed start hua hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mai ek office me kaam karta hu kya mai bina wazu aur chappal pahen k quran ya fir surah yaseen padhsakta hu.
Answer: Bagair wazoo k quran parha ja sakta hai laikin quran k alfaz ko bagair wazoo k hath lagana haram hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 316)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: hazrat yaqoob ka nam kitni sorto may nam aya hai
Answer: Hazrat yaqoob a.s. ka nam 10 suratoon mai aya hai aur 16 martaba aya hai. (Ref : Mojam pg # 939)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aasmani kitabein kis pe nazil hui
Answer: Asmani kitabain 4 hain 1:towrat hazrat musa a.s. par 2:Injeel hazrat Esa a.s. par 3:Zaboor Hazrat Dawood a.s. par 4:Quran Majeed Hazrat Muhammad Mustafa s.a.w.w. par nazil hui. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Quran pak mai jo 14 Sajdah atay hain wo 14 ayat kon kon c hain.?
Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain. Quran mai 14 sajdy hain jin mai sy 4 maqamat par sajda kerna wajib hai baqi 11 maqamat par sajda kerna mustahab hai, 4 wajib sajday walay maqamat ye hain: Surah e sajda ayat## 15 Surah e ha-meem sajda ayat## 37 Surah e wa-najam last ayat Surah e alaq last ayat 11 Mustahab sajday walay maqamat ye hain: Surah e araf last ayat Surah e raad ayat# 15 Surah e nahal ayat# 50 Surah e bni israeel ayt 109 Surah e maryam ayt 57 Surah e hajj ayat# 18 Surah e hajj ayat# 77 Surah e furqan ayat# 60 Surah e namal ayat# 26 Surah e suaad ayat# 24 Surah e inshiqaaq ayat# 21 (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,fiqhi istelahaat,pg#491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamualaikum mera sawal ye hai ke agar koi hafez e quran hai aur wo bad me quran bhool jae to uska kaffara kya hoga.
Answer: Jee nahi koi gunah aur kaffara nhai ho ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 197, pg # 83)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: quranpak ki akri ayat kis moqay per nazil hoi
Answer: kuffaar o mushrekeen or khusosan yahodi AP(s.a.w.w) ke jani dushman the hi or AP (s.a.w.w) ko mukhtalif treen se aziyatain pohchane ki koshish karte rehte the, or in tareqoo main se ik jadoo hai garche AP(s.a.w)per is ka asar nahi hota tha lekin phir bhi ALLAH TAALA ne un ki makkariyoon se mehfooz rakhne or AP(s.a.w) ki tashaffi ke liye sura e falaq o sura e naas nazil farmaae.(Ref : al-Quraan e al-Hakeem , tarjuma # molana farmaan ali) , (Ref : taseer e jawaame ul jaame , jild # 3 , pg # 881 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: HAZrat musa alyeh salam ka zikr quran mein kitni baar aya hai ??
Answer: Hazrat musa ( a.s) ka qauran 129 ayat me 131 dafa tazkira moujood hai.( ref: Noor software Named By Jam e Ahadees3.5 version)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)