Question: Quran me kon paigambar ka naam sab se ziyada aaya hai???
Answer: Quran men Hazarat musa (a.s) ka naam sb se ziyada istamal hua hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam...man Quran pak ko meaning kay sath parh rahy hun..to Quran majeed man kisi tashreh ya line ko marker say under line kar skty hun???
Answer: agar quran me marking aur under line karne se quran ki be hurmati na hoti ho to jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 129,130,132,133) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AT THE TIME OF MUHAMMAD SAW (VILAADATH) NUMBER OF HUFFAZ E QURAN SHARIIF IN THE WORLD
Answer: Ager apki muraad aap (s.a.w.w) ki wiladat ka waqt hai to is waqt Quraan e Majeed nazil hi nahi howa tha to is k hafizo ki baat ka ana bhi mumkin nahi hai. Or ager apki muraad aap (s.a.w.w) k Intiqaal se pehle hai to pure Quraan e Majeed ke nazil hone se pehle kis terhan koi is pure ka hafiz ho sakta hai. Or ager apki muraad bad e Intiqaal e Rasool e Aazam (s.a.w.w) hai to Jaam e Quraan k mutaalliq warid shuda or degar mutaallaqa riwayaat se to esa maloom hota hai k sahaba e mazkooren (jo hazrat e abo bakar se usmaan ke zamane tak jaam e Quraan ke unwaan se manzar e aam per aae) main se siwaae Ali ibn e Abi Talib ke aik bhi hafiz e Quraan nah tha. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 1 , topic # Hazrat Ali pehle hafiz e Quraan the , pg # 130 to 135 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: surah baqrah ka naam surah baqra q rkha gaya?
Answer: Q k is sorah main aik Baqrah (yani cow) ka waqia hai. Isi liay is ka naam sorah e baqrah rakha gaya.(Ref : Tafseer e Namoona , jild # 1 , pg # 75 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salam!! Zinda insaan k naam pe Quran parh sakte hain?
Answer: Insane mustahab kaam anjaam de kar( maslan quran perh kar ) is ka sawab murda ya zinda loago ko hadiya karsakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1515 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera sawaal ye hai k surah email tauba k shurru main BismiAllah kyun nahi hai? Is surah ka shaan email nazool bayaan krain or wajah email fazeelat bhi. Jazak Allah Khair. Mehrish Nadeem
Answer: 1) Baaz ahadees me hai k chuke bismillah me aman o rehmat hai aur is surah me kufaar per gazab o lanat ki aayat hain is wajah se is me bismillah nahe hay. ( ref: terjuma quran moulana farmaan ali , pg: 298) 2) shane nazool : mufasireen aur muhadiseen ka is baat per ittefaaq hai k rasool (s.a.w.w) ne ehle makka ko hukume khuda ( surah tuba ko ) sunane k lie phele abu bakar ko moqarar kiya phir abu bakar ko hata kar hukume khuda k tehet hazrat ali ( a.s) ko moqarar farmaya. ( ref: tefseer anwaarul najaf, allama hussain bashjaara, surah tuba, jild no: 7,pg: 8) 3) surah tuba k khawaaz me se hai k jo shaks is surah ki tilawat kare ga wo qayamat k din munafiqat se paak utegha. ( ref: tefseer anwaarul najaf, allama hussain bashjaara, surah tuba, jild no: 7,pg: 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Surah tauba me bismillah kyon nahin hain
Answer: T afaseer Majama-ul- Byaan men Hazrat Ali a.s se iski waja manqool hai k surah baraat k shuru men Bismillah nahi utri Q k Bismillah Aman or Rehmat k liye or surah Baraat Aman ko khatam krne k liye hai..(Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 7, pg # 06 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Quran e Pak ki konsi surat without Bismillah k parhi jati a?
Answer: Sura e Toba. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: Quran pak ki esi kon c surah hai jis m bismillah 2 times ai hai?
Answer: Sura e Al-Namal (sura no 27).(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agar quran jhotaya uthya jeyen to hum kya karai
Answer: Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).