Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o-alaikum kia shadi k bd rukhsate ky wkt jo bhai apne sister means dulhan ky sir par quran pak rakh kar lejaty hy wo karna jaiz hy k nh

Answer: Jaiz hai agar ehtiraam say rakha jaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #129-34) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6918
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya quran e pak ka wo nuskha jo tehreef se pak ho mil skta hy? ya koi notes about quran jo k revealing order mn hon?

Answer: Mojooda Quraan e Majeed wo hi Quraan hai jo Ap (s.a.w) Allah Taala ki janib se laaye the bageer tahreef ke or hamare ulma k nazdeek is men koi ikhtalaf nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 232, pg # 65 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).(Ayat_ul_Allah Syed Abul Qasim Khoi d.b, page#197 to 226)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6928
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamualaikum mera sawal ye hai ke ladkiya hefaz kar sakti hai

Answer: Gee han bilkul kr sakti hen. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 198 , pg # 82 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6992
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kabhi napaki ki halat main mobile par quraan shareef pad sakte hain

Answer: Mard or aurat ka halaat e janabat main Quraan ke wajib sajde wali aayaat ki tilawat karna haraam hai, or is hi terhan orat ka halat e nifaas o haiz main Quraan k wajib sajde wali ayaat ki tilawat karna haraam hai, bayaan karda aayaat k ilawa orat or mard k liye quran ki tilawat main koi harj nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 503 , 448 , 354 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7002
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran shareef ki kitabat ka aagaz kis islami mahine me hua?

Answer: Quarn Ramzan shareef main.(Ref: sorah e qadr, ayat#1)

Id: 7011
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Lafz rihan quran majid me kitni baar aaya he...

Answer: Lafz e rayhaan Quraan e Majeed main 2 baar aaya hai.(Ref : al mujam , pg 414 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7043
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: In quran which is the bigest surat and the meaing of this surat

Answer: Sura e Baqra sura No#2.(Baqra means cow)(Allah Taala apki tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7047
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Allaykum quran ki aisi kaun si ayat hai jise bina bismillah pade suru karte hai

Answer: Wssalam o alykum, Sura e Toba.(Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7126
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran sharif me kis chiz ka zikar nahi h

Answer: Quraan Shareef main tamaam chezoo ka zikar hai ager is ko Masoomeen (a.s) ke kalaam ke sath mila kar phara jaae, jesa ke Rasool e Akram (s.a.w) ne farmaaya hai ke main tumare dermiyaan do cheezain choor ke jaa raha hon, ik allah ki kitaab hai or dosre meri itrat o ehl e bait, or ye dono mere paas hooz per pohanchne se pehle hargiz juda nahi hon ge, pas tum loog apne aap ko in dono se aage baraane ki koshish na karna warna halaak ho jaao ge, or na hi in ko peche chorne ki koshish na karna warna halaak ho jaao ge, or in ko seekhane ki koshish na karna kun ke ye tum se aalam hain.(Ref : tozeeh ul masaail , aayat ul allah abo al qasim al moosavi al khooi , cap # imaamat , pg # 36 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7181
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam alekum.. Man Quran pak ko meaning kay sath parh rahy hun to kuch khas meaning ko marker kay sath headline karsakty hun quran par.?

Answer: Quraan e Majeed ke eham matalib ko mark karne main koi harj nahi hai, lekin ager in ko najis ink se mark kiya jaae jis se ye najis ho jaae ya is ko mark karna be hurmati shumaar hota ho to ye mark karna jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 129 to 132 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!