Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7872
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOL mera sawal ye hai k koi jan boojh kar ghusay main quran-e-pak ki behurmati kar day tu is ki kia maffi aur kuffara hai please khuda k liye is sawal ka jawab zaroor dain allah app ko is ki jaza day ameen

Answer: Wssalam o alykum, Quraan e Majeed ki behumarti karna haraam hai is le Allah Taala se toba o istigfaar ki jayae, jesa ke Imaam Jaffer o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq ager is kaam ko karne wala is kaam ki waja se Allah Taala ke huzoor is terhan nadim o pashemaan ho ke wo is nadamat o pashemani ki waja se phir khabhi Allah Taala ki na-farmani na kar sake to Allah Gafoor o Raheem bhi us ko muaaf farmaa deta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 442 , eidition # 1st) , (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4 , ALLAH TAALA hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Id: 7917
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran Pak KI KNsi Ayat Hai Jis K shuRu May Na bismillah LEkhi jati Hai Or NA hi Pari Jati Hai

Answer: Surah Toubaah.(Quraan Majeed) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: QURAN KAB AUR KAHA NAZIL HUWE AUE KYU AUR KITNO KI MAYHANAT HAI QURAN KO AK [1] KITAAB KI SHAKAL DEYNAY MEY AUE KITNAY SAAL LAGAY AUR KYU

Answer: Quran k 2 nuzool hai 1 he martaba me saara quran shab e qadr me naazil hogaya 2) 23 saal arse me thorha thorha naazil hota raha. Quran rasool(s.a.w.w) k dil per naazil hoa , quran ki khuch suratain makki hai aur khuch madani hain, qurani ayaat aur surato ki terteeb wahi e ilaahi k tehet rasool(s.a.w.w) ki hayaat me he jama ho chuka tha. ( ref: www.islamshia-w.com) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7991
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran Shareef Ki us surat Ka naam natein jis mein bismila phara or likha nahi jata?

Answer: Surah toba (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8064
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quarn-e-pak mei "ALLAH" name sb sy pehle knsi ayat mei aya hy

Answer: Sura e Al-Hamd ki 1st ayat main.(Bismillah men)(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ya ha k shehad ki makhi par wahi kio nazal hui aur ya wahi ki konsi qisam ha

Answer: Wahi ke muktalif meaning hain, yahan per wahi ka mana us ki khilqat ke taqaze (fitrat) hain (jo us k ander wadiyat ki gai hoti hai). (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 8 , sura e Nehal , ayat # 68 , pg # 226 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8128
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya fone par bger wuduke quran parna jaiz hai

Answer: Beghair wuzu k quraan per sakte hai laikin beghair wuzu k quraan k alfaaz ko haath laghaana haraam hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #315 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8156
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ma inna aya tuna kal kusar ko imma aya tuna kal kusarunn phar sakta hon yah yeh ghalat ha

Answer: G nahi jesa Ebarat quran men likha mojud hai usi tarah parhi jayegi (Elm e tajweed k qawaaid ka khaya rakhna behtar hai).(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 987 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8167
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: woh kon si surah hai jisme 2 baar bismillah aata hai

Answer: Sura e NamaL (sura no 27).(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8185
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is the Date of Last Ayat of Quran? Hijri and English Calendar!!!

Answer: Sura e Toba jo 9 hijri main nazi hoi hai baaz rivayaat ke lehaaz se Quraan e Majeed ki aakhri sorat hai jo ik sath nazil hoi hai.(Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , [jild # 1 , pg # 136] , [jild # 7 , pg # 5] , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!