Question: I need reference of the ayaat that says , " be with the person who gives sadqa in ruko" Kindly reply fast. Thanks
Answer: Surah maida surah # 5 ki ayat # 55. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran majeed me lafaz e quran ketni bar aya hy.
Answer: Quran e majeed mai lafz e Quran taqreeban 70 martaba aya hai. (Ref : Mojam pg # 685-6)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam alaykum mai ya jana chati hu k kya ham bina wazu kiya quran pad sakte hai.
Answer: Bagair wazoo k quran ko parha ja sakta hai laikin quran k alfas ko mas na kiya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315,316)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya ham bina wazu k quran computer par padh sakte hai
Answer: Quran majeed parhnay k lie wazoo karna mustahab nahi hai aur bagair wazoo k quran ko parh saktay hain laikin bagair wazoo k quran majeed k alfaz ko mas karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 316-20)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran mai woh kaun si surah hai jis mai ek ayat 31 times aye hai...
Answer: Surah-e-rehman Surah # 55 para # 27 mai 31 times ye ayat aye hai. ﻔﺒﺎﻯﺍﻻﺀﺮﺒﻜﻤﺎﺘﻜﺬﺒﻦ .(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran pak ki wo kaun si surat hai jis ka nam shehed ki makkhi k nam per rakha gaya hai
Answer: Nahl yani shad ki makhi aur ye auran ki Surah nahl Surah # 16 hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: wo konce namaz thi jo sub se pehle khana e kaba ki taraf rukh kr k parhi gai?
Answer: Islam ki ibteda mai musalman BAIT UL MUQADDAS ki taraf rukh kar k namaz parha kartay thay jo roz e awal sai yahoodio ka qibla tha aur yahoodi in par tanz kartay thay k inhain koi qibla bhi naseeb nahi hua hai laikin maslehat e ILAHI ye hi thi k mushrikeen k muqabilay mai yahoodio ko khush rakha jae. Is k baad jab rasool e akram s.a.w.w. nai hijrat ki aur madina mai islam mustekhm ho gya to aik din NAMAZ E ZOHAR ki 2 rakat k baad hokum e ilahi nazil hua k baqi namaz KHANA KABA ki taraf rukh kar k mukammal ki jae aur is masjid ko MASJIDUL QIBLATAIN kaha jata hai. Qiblay ki tabdeeli ka hokum quran majeed ki surah Baqra surah # 2 ki ayat # 142 mai hua hai. (Ref :Anwarul Quran pg # 77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam Alaykum kya bina wazu kiya quran pad sakte hai. plz ans de...........
Answer: Bagair wazoo k quran ko perha ja sakta hai lakin quran k alfaz ko mas nahe kar sakte. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: آل ‏se murad kon h nabi s.a.w ke bete ya betiya ya dono??? Plzz mujhe is sawal ka jawab zrur de bdi meherbani hogi...... plzz dont agnore
Answer: Surah e ahzab surah # 32 ayat # 33 sai mutaliq riwayat : hazrat ayisha sai riwayat hai k ye ayat is waqt nazil hui jab rasool e khuda s.a.w.w. nai chadar k nichay hazrat Ali a.s Hazrat Fatima s.a. aur Hasnain e kareemain ko jama jama kar lia tha. Note : is ka matlab aal sai murad Panjatan a.s. hain. (ref : anwar e najaz pg # 877)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: quran pak k 14 sajdah denay ka tareeqa kya hay
Answer: 1)Quran majeed k wajib sajday karnay ka tareeqa: Ehtiyat e wajib ye hai k quran majeed k wajib sajday mai insan apni peshani sijdagah ye kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna sahi ho aur ehtiyat e mustahab ki bina par badan k doosray hissay zameen par isi terah rakhay jis terah namaz mai bataya gya hai. koi zikr na parhay tab bhi kafi hai aur zikr ka parhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1085) 2)Quran majeed mai 15 ayatain aisi hain jin k parhnay ya sunnay k baad khuda ki azmat k samnay sajdah karna chahaea in mai sai 4 maqamaat par sajdah wajib aur 11 maqamaat par sajdah mustahabb hai.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istilahaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).