Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5898
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia hum nabi s.a.w.w. sai mang nahi saktay hai

Answer: Nabi(s.a.w.w) aur imam(a.s.) ko wasila bana kar dua karnay se dua qabool honay k qareeb ho jati he . (ref : website http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5914
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ayat k akhir main ya darmyan main TWAA ki alamat ajye tb wakfa krty hain uya nai

Answer: “ﻄ” waqf e mutlaq ki alamat hai, yaha kalam ko rok kar baad sai ibteda ki ja sakti hai. (Ref : Anwar e quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 26-7)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5932
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Respect Sir Q: Humari ibadat humhe apne gunaon se kyn ni rok ti? plz full Explian kren.......

Answer: Namaz ka kaam burai sai rokna hai aur ye is k afaal aur wajibat sai saaf wazeh hai ab is k baad insan rukay ya na rukay wo is ka apna amal hai jis terah k nabi, imam aur quran ka kaam hidayat karna hai is k baad koi hidayat hasil kar leta hai aur koi gumrah reh jata hai. (Ref : Anwar e Quram Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 835)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5949
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kn c surah ma mola ali ki waliyat ko haq ul yajeen keh kr wajib qrar dya ayat num bhbtay?

Answer: Surah nissa Surah # 4 ayat # 59 aur Surah maida Surah # 5 ayat # 55. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5950
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran may kis sura may likha hai kay aurat jab old hojay tu head na cover karay tu koi gunnah nahe.plz reply.thanks

Answer: Quran Majeed ki surah noor surah # 24 ki ayat # 60 mai zaeef auratoo k parday ka zikr hai. Zaeef aurat jab ghar sai niklay to na mehram k samnay apnay zahiri libas ko utar sakti hain laikin shart ye hai k is ka maqsad zeenat ki numaish na ho is lie k in auraton k zaeef honay k ba-wajood bhi dunya mai bad-nafs aur holnak insano ki kami nahi hai. (Ref : Anwar e Quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 749)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5980
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa. may yeh puchna chahti hu k humein wazahat se bataein k lafz kalla quran majeed k pehle 15 paron mein q mitaya gaya?

Answer: Wssalam o alykum, Muhaqqeqeen or Ulama e imamiya ( jese Imaam komeni , Syed khoi, Faiz e kashani , Shaikh Toosi, Syed Murtaza, Shaik Saddooq

Id: 6030
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran ki ktni suratain alif s shuru hoti hain?

Answer: Quran Majeed ki takreeban 40 surtain alif sai shru hoti hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6051
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran e pak kitne ambiya k zikar aya ha?

Answer: Quran e Kareem mai 25 ambia aur rasool ka zikr aya hai. (Ref : Sawalaat wa Jawabaat sawal # 12)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6064
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamu Alaikum, Quraan ke Kin Kin ayato, Siparo Me Sajda ka kiya jana paya jata h.

Answer: Quran majeed mai 15 ayatain aisi hain jin k parhnay ya sunnay k baad khuda ki azmat k samnay sajdah karna chahaea in mai sai 4 maqamaat par sajdah wajib aur 11 maqamaat par sajdah mustahabb hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fussilat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najam surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah elaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) Quran majeed k mustahabb sajday: (1)Surah aaraf surah # 7 para # 9 ayat # 206(last ayat) (2)Surah raed surah # 13 para # 13 ayat # 15 (3)Surah nahal surah # 16 para # 14 ayat # 50 (4)Surah ban e israieel surah # 17 para # 15 ayat # 109 (5)Surah marium surah # 19 para # 16 ayat # 58 (6)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 18 (7)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 77 (8)Surah furqan surah # 25 para # 19 ayat # 60 (9 Surah namal surah # 27 para # 19 ayat # 26 (10)Surah Suaad surah # 38 para # 23 ayat # 24 (11)Surah insheqaq surah # 84 para # 30 ayat # 21. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istilahaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamunalikum! Sir 12 imamon ka zekr quran m h???

Answer: Quran majeed mai nam lai kar kisi imam ka tazkera nahi kia gya hai laikin bohat si aayaat hain jin mai imamon ka tazkira kia gya hai. jaisay surah e aal e imran surah # 3 ki ayat # 7 mai ﺮﺍﺴﺨﻭﻦﻔﻰﺍﻠﻌﻠﻢ aya hai jis sai murad Hazrat Muhammad s.a.w.w. 12 imam a.s. hain. Is k alawa aur bhi bohat sai aisay maqamaat hain. (Ref : Tafseer e Namoona pg # 255)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!