Question: quran ka zeema kis nay lia ha
Answer: Surah hijar no 15, me quraan ki hifaazat ka zimma khud khuda ne liya hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: chuntion ka zikr Quran ki kis sorah me ha???
Answer: chuntion (aunts) ka zikar surah namal(sorah#27) me hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mere abbu ka intaqal maharram ke aasura ke din hua hai hum hamesha un ko khab me dekhte hai wo khane ke bare me poochte hai kya banaya hai khila do gi y khate hue dekhte hai wo kis haal me hai hum unke liye kya kar sakte hai
Answer: Mustahab hai k maiyyat k liay quran khani kare aur maan baap ki qabar per ja k allah se apne hajate talab kare . ( maiyyit k jo wajebaat hain maslan namaz , roza , khums waghaira un ko ada kare) . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #623 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: SUB SE PEHLE KIS SURAH MAIN S.A.W KA NAME MUHAMMAD AYA HAI
Answer: Pure quraan me 4 maqaamaat per lafze Muhammad istemaal hoya hai.1) surah no : 3, aale imraam aayat no: 144,(2) surah no : 33, aazaab , aayat no: 40,(3) surah no : 47, muhaamad aayat no: 2,(4) surah no : 48, fatah aayat no: 29. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aayat-e-sadah kohn se makki surahs main hai aur kohn se madni surahs main?
Answer: 1 – Sura e Sajda (sura no 32 , makki hai) ki ayat no 15 per, 2 – Sura e Hameem Sajda (sura no 41 , makki hai) ki ayat no 37 per, 3 – Sura e Najm (sura no 53 , makki hai) ki ayat 62 per, 4 – Sura e Alaq (sura no 96 , makki hai) ki ayat 19 per sajda kerna wajib hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Quaran mein kitni ayatein hain.
Answer: Quraan majeed me total 6236 aayaat hain .( http://www.qpsh.ir/node/3045 + http://porseman.org/q/show.aspx?id=183417 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: witch contry explean by the name in the quran and in witch sura
Answer: The country name “Rome” is used in the Holy Quran. (Ref: Para#21, Sorah#30, ayat#2,3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: tarteeb nazooli k lihaz se quran pak ki aakhri soort ka naam kia hai
Answer: Hazrat Imaam Zain ul Abedeen (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, sura e toba hai. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 1 , topic # Ibtidaae Nozool e Quraan , pg # 136 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Kia ap mjy us surat nam bta skty hn jis me ALLAH ny hamary navigation long kaha h(style nabi agr apny will kam name Kia jis k lia apko bhaja gaya h to apki risalat puri na hogi ) plz help me m tooo much confused
Answer: Surah Maa’ida(sorah#5), Ayat # 67.(Ref: Quran e kareem). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Quran pak may alfaz kitnay hay total
Answer: Quran Paak main 86,430 alfaaz hain. Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).