Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8414
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye h ke mene urdu arbi nhi pdhe h. mere abbu k intekal ho chuka h me tasbeeh me kya kya pdha ja skta h or kese baksha jyega...

Answer: Aap khuda se 14 masomeen(a.s) k wasile se on k liay dua ker sakte hain bakhshish ki dua ker sakte hain or on k naam per sadqa day sakte hain doosre naik kaam ker sakte. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part#1, Mafhoom e Jawab#199). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8416
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia bina wazu ke quran chu sakta hai ?

Answer: Quraan k alfaaz ko chune k lie wuzu zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8472
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: qaran kareem me namaz say mutaliq kitni ayat hain??

Answer: Quraan me taqreban 80 maqamaat per wazahat k sath namaaz ka zikar aaya hai aur is k ilaawa aur bhi aayaat hai jin me namaaz perhne ka hokum milta hai ref: www.thefatwa.com ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8492
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: قرآن مجید میں واجب سجدے کونسے پارے میں ہیں؟

Answer: Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain me quran k wajib sajde hai jese agar insaan parhe ya sune tu ayat khatam hone k baad fouran sajda karna zarori hai aur agar sajda karna bhool jaay to jab bhi yaad aay sajda kare . hah agar ayat sajda ghair ikhteyari halat me sune to sajda wajib nahe hai . agarche beter ye hai k sajda kiya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1080 )

Id: 8521
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Al furqan se kya murad hai?

Answer: Furaqan se murad wo cheez jo huq or batil main daimi taur per tameez ker sake or khare khote ko alag alag ker k ye bata sake keh sahi kia hay or ghalat kia hay.goya furqan se murad wo daimi kasoti hay jo parakh ker ye bata sake k sona(gold) khara hay ya khota.Quran ka aik naam furqaan bhi hai. (Ref: quran.al-shia.org/urd/maqalat/02/04.html).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8552
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: surat ul furqan mein musalmano k liye kya hidayaat bheji gai?

Answer: Surah furqan me allah ne rasool ki risalat ,apna (khuda ka ) be-aulaad hona ,har cheez ka khaliq khuda hi hai , kuffaar e makkah ki shararat ,jahanum walo ki halat , dunya har shaks k liay imtehaan ki jagah hai ,qiyaamat ka tazkira aur kuffaar ki hasrat ,qiyamat me rasool ka istegasa , hazrat musa(a.s) aur haroon(a.s) ka tazkira ,qoom e samood ka qissa, kuffar k rasool(s.a.w.w) per ayterazaat ,shab o rooz ki taqseem,asmaan o zameen 6 din me paida hoe ,khaas bando ki sefaat waghaira ka tazkira hay. (ref: quraan ka terjuma, moulana farmaan ali, mafhoom e pg: 573). Update on dated 30-04-2015. (khuda aap ko uloom e aal e muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8562
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quraan majeed ky paanch naam knsy hain.

Answer: Quran k wo naam jo quraan me moujood hain: furqaan , zikr , tenzeel, hakeem, bayaan. (Ref: Quran)Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8573
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam o laikum mai ye janna chata hoon ki kaun kaun si aisi gunnah hai jisski koi mafi nahi allah ke traf se?

Answer: Quran me para#5 ,surah nisa# 4, ayat#48 me hai k: Allah is gunah ko maaf nahi kare ga k us k sath kisi ko shareek qaraar diya jaay is k ilawa jis ghunah ko chahay maaf karsakta hay.(Ref: Quran). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Lafz e Allah sy shroo hony wali ayat kon kon se hain ayat number aor soorat number inform krdein plz......................................................

Answer: Wo ayaat jin ki shuroaat k lafze Allah se hoti hai wo ye hain.para# 3, surah baqra#2, ayat#255,para #3, surah aale imraan#3,ayat#2 , para#18 , surah nor#24, ayat#35 , para#5, surah nisa#24, ayat#87 , para #20, surah nisa#20, ayat#8, para#19, surah#27, ayat#26. (Ref: Quran). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8616
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please bata dain k maooz pharny sa kia murad ha. ma nay aik wazeefa dakha jis main likha tha itni dufa sura fatiha itni dufa sura ikhlas or next likha tha 3 dufa maooz pharna ha mujy samjh nai maooz kia ha?

Answer: Surah falaq aur surah naas ko mauoozatain khete hain. (Ref: Nawahe sauleheen , Mafhoom e pg: 17). Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!