Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8640
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: woh kon si surah hai jis main chughli khanay walon par laanat ki gai

Answer: Para#30 ki surah Humaza sorah# 104 me chughli khanay walon ki muzammat ki gae hay. (Ref: Quran)Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8652
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maira queation ya ha ka quranic ayat jaisay surah barkra ki ayat arabic ma hn kia wo txt msg par send krna jaiz ha jb ka wo del o jatay han? Plz rehnamai kr dain

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #594 , Pg #290 , Eidition# 5). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8655
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Lafaz Muhammad Quran ma kitni dafah aya hai??

Answer: Lafz e muhammad(s.a.w.w) Quran main 4 mertaba aya hay. (Ref: http://www.urdumajlis.net/index.php?threads/%D8%B3%D9%88%D8%A7%D9%84%D8%A7%D8%AA-%D8%A7%D8%B1%D8%AC%D9%86%D9%B9.7821/ )

Id: 8665
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran majid ki pahli wahi main kitni ayat nazil hui???????????????

Answer: Pehli wahi main sorah e alaq ki pehli 2 ayaat nazil hoen. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81_%D9%88_%D8%B3%D9%84%D9%85 ) . Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8685
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Konsa surah Rasool S.A.W.W par Makkah aur Madina dono mai nazil hoa? A. Sureh Tauheed B. Sureh Hamd C. Sureh Rahman

Answer: Sorah e Al-hamd 2 baar nazil hoa.(Ref: Mafhoom e http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm )

Id: 8699
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rozay ki farziat k baray may kis surah ki konsi ayat may hy

Answer: Sorah baqra ki ayat# 183 main roze k farz honay ka bayan hay.(Ref: Quran, sorah e baqra, ayat#183). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8736
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can you explain tafseer of ayat number 5 and 6 of surah tariq.

Answer: Aap is link http://misbahulqurantrust.com/books_pdf/Faizan-10.2.pdf per tafseer ki kitab k 121 page se sorah e tariq ki in ayaat ki tafseer perh sakte hain. (Ref: http://misbahulqurantrust.com/ ) . Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8750
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main rat kay waqt computer per kaam kartay huay quran bama tarjuma sunta hoon kya aisa karna sahi hai?

Answer: Jaiz hay. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8781
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: surah bayyinah ka dosra nam kiaa hy????

Answer: Is ka Doosra naam Bariyah hay.Update on dated 01-07-2015. (Ref: Mafhoom e http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A8%DB%8C%D9%86%DB%81 )

Id: 8811
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam-O-Alikum, mera swaal yeh hai k mujh say bachpan mein be ahtiati mein QURAN-E-PAK zameen per gir gya tha. Abb iss k liay kia kaffara ya fidya dena zaroori hai? Detail mein rehnumaee karain.

Answer: Quran paak k girne k se koe kaffara lazim nahi aata. (Ref: Email rcvd from a.ayatullah sistani d.b). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!