Question: Madina mei nazil hone wali pehli surah kon si hai
Answer: Madine main nazil hone wali pehli sorah, sorah e baqarah hay. (Ref: http://makarem.ir/compilation/Reader.aspx?pid=72672&lid=0&mid=70939 ). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran pak m kis nabi ka zikar bar bar aeya ha ?
Answer: Quran main nabiyo main sab se ziyada zikr Hazrat Mosa a.s ka aya hay. (Ref: http://anwar-e-islam.org/node/16887?page=26&view=normal#.VZpjkxuqpHw ). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran mein kis nabi ka sab se ziada naam aaya hai?
Answer: Quran main nabiyo main sab se ziyada zikr Hazrat Mosa a.s ka aya hay. (Ref: http://anwar-e-islam.org/node/16887?page=26&view=normal#.VZpjkxuqpHw ). Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran ne kis kisse ko ahsanul qesas kaha hai?
Answer: Hazrat yousuf(a.s) k qisse ko.(Ref: http://wikifeqh.ir/%D8%A7%D8%AD%D8%B3%D9%86_%D8%A7%D9%84%D9%82%D8%B5%D8%B5 ). Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran main firaon ka lifz kitni dafa aya he ??plz ans jaldi batean
Answer: Quran main 74 baar firoon ka lafz aya hay. (Ref: Quran majdeed). Update on dated 16-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalaam-o-Alaikum, mujhay yeh maloom karna hai k agar Quran-ePak galti say zameen par gir jaey to iss ka kia kaffara ya fidya ya diyyat hai ? Email ka reply bohot zaroori hai.
Answer: Quran paak ghalti se hath se gir jaey tu koe kaffara nahi hay laikin zarori hay k os ko faruran uthae or ehteraam kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael e jaame, Mafhoom e Maslah #404). Update on dated 01-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: bismillah ir-rahman ir-rahim ke kul huruf kitne hai
Answer: Bismillah ir-rahman ir-rahim k 19 horoof hain.(Ref: Alquranul mobeen, terjuma o tafseer by syed imdaad hussain kazimi almashhadi,pg#2 ka hashiya.) Update on dated 09-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Surah e furkan main musalmano k liye kia hidayaat bheji gai hain??
Answer: Sorah e furqan ka terjuma or tafseer k liay aap is link per click karain. http://www.momin.com/urdu/Books/Tafseer-e-Namoona-89/Sura-e-Al-Furqan+Ayat+63-77-2141.html . Update on dated 07-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia aap mujhe quran ki roshni me ye bata sacty hai k quran me kis jagha allaha ny farmaya ka muta karo ya muta jaiz hai plz mari email pa jawab dijyga
Answer: Para#5, Sorah nisa ayat #24 main nikah e muta ka zikr hoa hay. Update on dated 02-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I want to know that in Quran Surah Baqarah Ayat : 53 Yahan par Furqan ka zikar hai. "Or jub di hum ne Moosa ko Kitab or FURQAN ta k tum hidayat hasil karo". Furqan se kia mtlb hai yahan?
Answer: Furqan os cheez ko kaha jata hay jo haq o batil main farq kare.mazeed tafseel k liay is link per click karain. (Ref: http://www.momin.com/Books/QuranTafseerUrdu-89/Sura-e-Baqarah+Ayat+49-59-1861.html ). Update on dated 15-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).