Question: kon si surat quran pak ki dulhan ha
Answer: Sorah e yaseen ko quran ki dulhan kaha jata hay..(Ref: http://www.alseraj.net/alseraj1/zad/pages_txt_179.htm)
Question: Salam. I want to ask that which surah is called surah habeeb e najar ?
Answer: Surah yaseen ko surah habeeb e najar bhi khete hai. Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Al basiqaat kis sura ka naam hai...?
Answer: Albasiqaat sorah e qaaf ka doosa naam hay. (Ref: http://www.porseshkadeh.com/Question/9628 ). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran ki akhri ayat kun so nazil howi
Answer: Quraan ki sab se aakhir me naazil hone wali aayat :para no :6,surah maaida no:5,ayat no:3 hai.(ref:quraan ,islami maarif:3,tadween :group,tasheo nazar sani:moulana qamar ali lailani,nasheer:moassa amam sajjad (a.s) ,pg: 5,que: 28). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kis baadshah NE Quran par qabarandazi ki or apni kaneez ko nijaasat k Aalam main masjid main jamaat parhane bheja
Answer: Waleed bin yazeed bin abdul malik bin marwaan ne aik din quraan se faal nikali to acche na aaiy to is ne gusse me quraan ko pheak diya phir use muaalaq kar k teero se tukre tukre kar diya aur kha k aah quraan jab khuda k paas jana to khedena muje waleed ne para para kiya hai . aik din waleed apne kanees k sath baitha sharaab peeraha tha itne me aazaan ki aawaaz kaan me aaiy ye fouran kanees k sath jima (humbistri) me mashgool ho gaya jab louqo ne namaaz perhane k lie kha to is kanees ko apna libaas phena kar sharaab k nashe aur janabat ki halat me namaaz perhane k lie masjid me beahj diya . aur us ne namaaz perhaai. . (ref: 14 sitare, alma najamul hasan karaarvi,pg:340). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ayca knca janver ha jiska zikr quran pak mn aya ha or jis pa jotha ilzam .?
Answer: Para # 12, surah # 12,surah yusuf ayat#13 me sheep (berie) ka tazkira hai .jis ka ahtemaal chance diya kaya (or ilzaam laga) k us ne hazarat yusuf (a.s) ko kha lia hai jab k us ne khaya nahe tha. Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: firon ka zikar kis surah main hy
Answer: Firoun ka tazkira surah aaraaf no:7,aayat no:103 me hai. Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran majeed mn sohar or biwi ki misaal kis cheez se di hai????
Answer: Quran me surah baqra ,ayat no :187 me shoar aur biwi ko aik dosere k lie libaas kha kya hai. Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: konsa surah quran ka qalb hai
Answer: Sorah e Yaseen ko quran ka dil kaha jata hay. http://www.beytoote.com/religious/sundries/al3-virtuous-cycle.html. Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ay mery qaid khany k sathi....(single) ko arabic men kya kehty hain.....??
Answer: Ay mairay qaid k sathi ko arabi main is terah kahain gay.(يَا صَاحِبِيِ السِّجْنِ). Update on dated 05-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).