Question: Quran e pak me jo sajde ate hain un ko ada krne ka tareka bta den jazakAllah
Answer: Ethiat e wajib ye he k quran majeed k wajib sajday me insan apni peshani aisi jigha rakhay jis per sajdah karna sahi ho aur ethiat e mustahab ki bina per badan k doosray aazah zameen par is terha rakhay jis terha namaz k silsilay me bataya gya he. Aur koi zikr nab hi parhay to bhi kafi hai laikin kisi zikr ka parhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 174)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kis ketaab ko quran ka bhai kaha jata hai?
Answer: Ager bhai se muraad Quraan e Majeed ka ham-palla hona hai to Kalaam e Khaliq (Quraan e Majeed) ke ham-pala koi kitaab nahi hai. (Ref : Nehj ul Balaga , Kuttbah # 176 , Allah). Or ager is se muraad ye hai ke koi esa kalaam (kitaab) jo Allah ke kalam se kam-darja, or baqi dosre kalamoo se Aali o buland ho to wo Kalam e Ali bin Abi-Talib hai yani Kitaab e Nehj ul Balaga hai. (Ref : Nehj ul Balaga , mutarajjim # Syed Zeshaan Haider jawadi , topic # khulasa e kalaam , pg # 18 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kis ketaab ko quran ka dil kaha jata hai?
Answer: Ahadees main Sura e Yaseen (sura no 36) ko Quraan ka dil farmaya gaya hai. (Ref : Tafseer e Namoona , jild # 10 , Topic # Fazilat e sura e Yaseen , pg # 289 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: ansaar ul Allah kisay kahtay han
Answer: Ansaar ul Allah ka Lazfi tarjuma Allah ki madad krnay walay log. Aur quran majeed mai 3 maqamaat par ye lafz istemal hua hai (1)surah Aal e Imran surah # 3 ki ayat # 52, (2,3)Surah Saff surah # 61 ki ayat # 14 mai 2 martaba istemal hua hai. aur in sab mai aik hi mafhoom hai k hazrat eissa a.s nai jab anay hawario sai poucha k Allah ki rah maim era madad gar kon hai to hawarion nai kaha k ham Allah k nasir hain yani madad krnay walay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamo Alaikum, mujhe ye pta karna h ki shia ka zikr Quran main kis jagah hua h. ?
Answer: 1)Surah saaffaat surah no. 37 ayat no .83. 2)surah e qasas mai 2 martaba aya hai. surah no. 28 ayat no .15. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASA, janab Quran main konsi ayat h ki Hazrat Ali(a.s) khane kaabe main paeda hue
Answer: Zahiran to aisi koi ayat nahi hai quran majeed mai jo mola ali a.s ki wiladat ki khana e kaba mai khabr dai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sibgat ul allah kisay kahtay hain
Answer: Quran e Majeed ki surah e baqra aurah # 2 ki ayat # 138 mai ye lafz istemal hua hai. is ka matlab hai “Allah ka rang(color)”. Ayat ka tarjuma ye hai. “Rang to sirf Allah ka rang hai aur is sai behtr kis ka rang ho sakta hai aur ham sab isi k abadat guzar hain”. Is ki tafseer ye hai k mukhtalif aqwam mai deen o mazhab rang sai pechana jata tha, is lie islam nai wazeh kar dia k lal, pilay, haray mai kuch nahi rakha hai. islam o iman khud aik rang hai jis mai har musalman ko doob jana chaheay aur is rang ka izhar ibadat e ilahi sai hota hai jis k bagair islam ka dawa be-rang hai. (Ref : Anwar e Quran Allama Zeeshan haider Jawadi pg # 75)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: as,salam-o-alaikum. Agar Quran Pak hath say, galti say gir jai tou, iska koi kaffara hai, aur kis hisab say?
Answer: Aap per koe kaffara nahi.(Email rcvd from a.Sistani, dated: 6-5-13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: QURAAN-E- MAJEED KIS LAFZ SE SHURU HUA HAI AUR KIS LAFZ PAR KHATM HUA HAI, ISS ME KITNI AAYETEIN HAIN? 2:- sawaal: Nafs ki kitni qisme hoti hain? Tarjume ke sath bataye plz.
Answer: Quraan e Majeed ki peli sura Sura e Al-Hamd o aakri sura Sura e Al-Naas hai pas is ke etibaar se ye bis mis allah al-rahmaan al-raheem ki ayat se shuru howa or min al-jinnati wa al-naas ki ayat per katam howa hai. 2
Question: sallam-0-Alikum, mein yeh jana chata hun k QURAN mein Namaz ka zikar to hai kafi jaga per Namaz ki Rakato ka zikar bhi kahi hai ..???? means K is time mein itni rakat pharni chahi yeh muj k0 QURAN sy hawala dy.....
Answer: Quran e majeed ki surah e bani Israel surah # 17 ki ayat # 78 mai namaz k 3 awqaat bayan huay hain 2 namazoo ko zawal sai wabista kia hai aur 2 rat sai aur 1 ko fajar sai. (Ref : Anwar e Quran pg # 613)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).