Question: sawal ye hai k Computer par PDF format mian Quran Pak parhny k lian Wazu zarori hai wese to Wazu hona lazmi hai kya hum bina wazu k computer par pdf format main quran pak parh sakty hain
Answer: Quran parnay k lie wazoo karna wajib nahi hai chahae computer mai parhain ya quran majeed ko hath mai lai kar parhain. Han jo shakhs ba wazoo na ho is k lie quran majeed k alfaz ko mas karna yani apnay badn ka koi hissa quran majeed k alfaz sai mas karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 321, 316) (ref.Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #321,315) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz ko qaim karny ka matlab tafseel sy btadain
Answer: ﻴﻗﻴﻤﻮﻦﺍﻠﺼﻼﺓ ye tamam arkan aur shariat aur mukammal pabandi k sath ada karnay ka ishara hai warna namaz ka tazkira to ﻴﺼﻠﻮﻦ sai bhi ho sakta hai. (Ref : Anwarul Quran, Allama Zeeshan Haider Jawadi, pg 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jab haath ko kohni(elbow) tak dhoney ka likha ha tu hum kohni(elbow) say nechey haath tak kyun dhootey hain
Answer: Surah maida surah # 5 ki ayat # 6 mai wazoo k lie lafz e marafiq (kohni) sai pehlay (ﺍﻠﻰ) ka lafz aya hai, is lafz sai murad hath ki had bandi hai dhonay ki hadbandi nahi hai isi lie is mai (ﻤﻦ) ka zikr nahi hai. (Ref : Anwarul Quran, Allama Zeeshan Haider Jawadi, pg 248) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal hai ki quran me shia ka zikr hai ki nahi agar hai to sura aur ayat no, bataye
Answer: 1)Surah saaffaat surah no. 37 ayat no .83. 2)surah e qasas mai 2 martaba aya hai. surah no. 28 ayat no .15. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamu alekum; mera sawal ye hai k Quran mai kitny sajda sahwa hai our kon kon se para main sajda sahwa hai
Answer: Sajda e sahw alag cheez hai aur quran k sajday alag cheez hai. 1)Sajda e Sahw 2 cheezon k lie kia jata hai i: namaz k tashahud ka bhool jana. ii:char rakati namaz mai doosray sajday k doran shak karna. 2)Quran majeed mai 15 ayatain aisi hain jin k parhnay ya sunnay k baad khuda ki azmat k samnay sajdah karna chahaea in mai sai 4 maqamaat par sajdah wajib aur 11 maqamaat par sajdah mustahabb hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fussilat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najam surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah elaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) Quran majeed k mustahabb sajday: (1)Surah aaraf surah # 7 para # 9 ayat # 206(last ayat) (2)Surah raed surah # 13 para # 13 ayat # 15 (3)Surah nahal surah # 16 para # 14 ayat # 50 (4)Surah ban e israieel surah # 17 para # 15 ayat # 109 (5)Surah marium surah # 19 para # 16 ayat # 58 (6)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 18 (7)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 77 (8)Surah furqan surah # 25 para # 19 ayat # 60 (9 Surah namal surah # 27 para # 19 ayat # 26 (10)Surah Suaad surah # 38 para # 23 ayat # 24 (11)Surah insheqaq surah # 84 para # 30 ayat # 21. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istilahaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya naha ne k bad direct quran ne pak ki tilawat kar sakte he ya fir vuju ka k hi tilawat karni chahiye
Answer: Baaz mujtahideen k nazdeeq quran majeed parhnay k lie wazoo krna mustahab hai laikin ayatullah sistani d.b. k nazdeeq is ka mustahab hona sabit nhi hai albetta agar koi shakhs mustahab honay k ehtimal k sath wazoo karay to is ka wazoo sahi hai aur is wazoo k sath wo shakhs har wo kaam kar sakta hai jo ba-wazoo ho kar krna zaroori hai maslan is wazoo k sath namaz parh sakta hai. laikin mustahab hai k agar insan ba-wazoo ho tab bhi har namaz k lie dobara wazoo karay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 321)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Quran majid ki akhri che ayat kon si hain
Answer: Tarteeb k hisab sai quran majeed ka aakhri surah surah e naas hai jo 6 aayaat per mushtamil hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASA, 99. Surah zalzalla ki fajilat baya kijiye.
Answer: Hazrat Muhammad s.a.w.w. nai farmaya : Jis nai 4 dafa surah zilzal surah # 99 perhay wo os ki terah hai jis nai katam e quran kiya ho. (Mafatiyul jinah pg# 13) Note : Is k alawa aur bohat sai fazilatain hain jo aap mukhtalif tafseer e quran mai parh saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kaya neend ki halat main jism se rooh nikal jati he yeh kis soorah main he
Answer: Jee haan. Is baat ka zikr Surah e zumar surah#39, ki , ayat#42 main aya hay.( ref: tarjuma quran , moulan zeeshan haider jawadi,pg:987) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: KURAN e kon surai 2 bar bismillah ase
Answer: Surah-e-Naml (QURAN). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)