Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 24757
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mey nikkah kr chuki hu mry ghr waly ni janty or mey or mry main hr mumkin koshish kr ry hain k ghr waly man jain lkn mry ghr waly ni man ry or abi kisi qari sahab sy istakhara b krwaya hai wo sai ni aya plz mje btain mey kya krun mey bht pareshani mey hu?? Mey hr trha sy ye shadi krna chahti hu plz mje koi hal bta dain

Answer:

Id: 24759
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Larki jis ka nikah ho chuka ho magr uss k husband ny uss ko hath tk na lagiya ho wo kisi or say zina kr k apny husband say talaq lay kr zina krny waly say nikah e mutta kr sakti hai? Husband ny uss ko hath tk nhe lagiya hwa kyn k nikah k bad rukhsati nhe hui thee. Or aisy he talaq ho gai bina humbistari kiye

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 24765
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: meri age 48 saal hai meri wife ki age 42 saal hai humari shadi ko 24 saal ho gaey hain humari koi aulad nhi hai hum ny aik larki ko lay kr pala hua hai tb wo 4 month ki thi ab us ki age 19 saal hai ab meri wife chahti hai k main us larki say shadi kr loon ( wo mujhy papa keh kr bulati hai aur main usay beti ) wo larki bhi nikah k liay tyar hai kya islam main yeh shadi jaiz ho gi ? plz detail main bta dain thank you

Answer:

Id: 24768
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalamwalaikum Please meri help karen Question:Kya mai bhanji se shadi kar sakta hun jo k meri khala zad behen ki beti hai jo meri bhanji hui kya usse nikah jayaz hai??? (Wo yatim hai aur uski maa ka b inteqaal hua hai) Meri age 28 hai aur Khala zad bhanji ki 18age hai. Shukriya

Answer:

Id: 24775
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mujy Mera dost bar bar apni bhanji se shadi ka keh raha hai jis per main ossy taal deta Hun k ammi Abu se baat karun ga toh ab woh mery ammi Abu se khud rishty ki baat karna chata hai.jis per Meri ammi objection kar rahi hai Jo mujy ghalat lagta hai Islam is baray main Kya kehta hai k main ammi se baat kar sakun

Answer:

Id: 24785
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mera masla ye hai k 5 saal pehly may Kisi KO pasand krti the hum log ek dafa university k lawn may bhait kr baty kr rhy thy sath may or b 2 girls or 1 boy b tha to uno ne hansi mazaq may kaha chalo tum dono ka nikah krty hm ne un k samnay waisy he start kia or 3 tym us ne b qabool kaha or meny b 3 tym un k samny to kia iss trha nikah hojata hai?

Answer:

Id: 24788
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Meri dost ne chup kar nikkah kia Nikkah main koi gawah nahi thy . Or nikkah b imam ya molvi nay mahi aik hafiz e quran larkay ne krwaya jisne phle kisi ka nikkah nai prhwaya r larki se srf aik dafa zabani pucha k nikkah kabul hai ya nahi -- kia islam ki sharait k mutabik nikkah hua ha ya nahi?

Answer:

Id: 24790
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam O Alikum, mera sawal ye hi k meri enagagment hochuki hai or maine or meri fiancee hum dono ne jis tarha nikkah parhai jati hai us hi tarha naam pukaar kar 3 3 martaba "Quboool hai Qubool hai Qubool hai" kaha hai to kya hamara nikkah hogaya ? is bary main srf wo or main hi jaanty hain or wo meri mangetar hai hamara shadi kuch hi months baad hai but hum ne pehle ek bar is tarha kiya hai to kya is tarha karne se hamara nikkah hogaya ??

Answer:

Id: 24794
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Agr 2 pyar krny waly hon, or aik doosry k bina nhe reh skty larka apny pyar ko ksi mard k sth dekhny ki bardaasht na rkhta ho or larki k ghr waly kahein or krwa rhy hon, jb k wo larka or larki raazi hon apas me aesy me kia bhag kr shadi krna jaiz hai? Court me nikkah?

Answer:

Id: 24796
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Aoa main aik khudmukhtar lrki hun mera apna karobar hy aur isi silsly main ghr walon sy alag rehti hun wrna koi narazgi wghera nahi apny sb faisly khud hi krti hun. Maim ny aur mery shohr ny khud hi apna nikah prha bagher gawahon k. Hm ny qasde insja kia phir haq mehr muqarrar kia aur us k bad arabic main seehy prhy usky bad ejab o qabool b arabic main kia hy. Jo tareeka nikah ka aur sharait agha sestani k fatwon main thi sahi us k mutabik lekin ghr abhi nahi btaya mery husband k ghr k halat theek nhi abhi isliay bad maim btany ka irada bhi hy. Kya hmmara nikah sahih hy.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!