Question: may nay court marrige ki hy lekin mere ami abu nhi mantay wo ruskhti nhi kr k day rhy plz ap koi wazeefa bata dain k wo jeldi man jain
Answer: Court marriage kerna sahi nahi.kun k court marriage main nikah ki jo shrÇait hain on per amal nahi hota.maslan nikah k sighay (bool) arabi zaban main perhna waghirah.Is liay aap ki marriage hi nahi hoe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2335). Mazeed ye k kawari(virgin)lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho.agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.isi terah baap ya dada k maujood nah honay ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org & Minhaa jus saliheen part#3, maslah #70,Tauzee hul masail, maslah#2342).
Question: main ak larkay ko pasand kerti hn un kay papa ne rishta manga hai per maray father ne cast k waja se inkar kr diya hai or ya kaha hai kay larkay sharif hain app btain main kya karon hum kise or se shadi nahi kerna chahtay
Answer: Larki agr kwarai , balig aur rasheeda ho to agr Sahdi karma chahay to zaroori hay k baap ki ijazt hasil karay . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341 Bakera aur rasheeeda larki ki shadi ky liy Baap aur dada ki ijazat ki shart Khatam ho jaygi agr wo loog os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan (Ismlam ki nazar main) or urfan (maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho(Ayat Ullah Seestani(d.b) minhaajus saliheen,part #3,maslah #69) Wazifa : 2) kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah (parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo 4) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 5) wazifa bayan karne k sath aap ko is fiqhi maslah ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia shia larki ka nikhah sunny larky say ho sakta hay
Answer: Agar is baat ka khauf or dar ho k mustaqbil(future) main aap gumrah bhi hosakti hain,jis ka ehtimaal(1-49%) beherhaal maujood hay,tu phir aap ki liay is k saath shadi bhi jaiz nahi hay. Hum aap ko batauray khaas nasihat kertay hain k aap is terah ki shaadi nah karain.(Ayatullah Sistani(d.b),mujtahid say pochay gay sawalat,part#2, sawal#136 ).
Question: Assalam o Alaikum. My question is that, kia main apne father ke chacha ki beti se nikkah ker sakta hun. ??
Answer: Jee haan shadi ho sakhti he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia londi baghair nikkah ke jahiz hai
Answer: jee haan. Laudi(kaneez) baghair nikah k halal hay or is say tamaam lazzaat hasil ker saktay hain jis terah bivi say hasil ker saktay hain. (Ref : A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#2, 5 mujtahid k mutabiq, maslah#1320, pg # 430). Note: ye baat wazeeh rahay k aaj k zamanay main ghulaam or laundi(kaneez) nahi hotay.is liay in masa’il per amal kerna mumkin nahi hay. Ref : A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#10 ka hashiya, pg # 11).
Question: nikha kis par haraam hai ??
Answer: nikah jis per haram hay or jin say kerna haram hay wo kaseer hain jin main say khuch ye hain: 1) On auton k saath jo insan ki mehram hoon nikah haram hay.maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhaji, saas. 2)Musalman aurat kafir merd se nikah nahi kar sakhti. 3)musalsal merd bhi ehl e kitab k ilawa kafir aurtoon say nikah nahi kersakta, liaikin yahodi or isaa’e auto say muta kernay main koe haraj nahi. 4)Ighlaam karwane walay larkay ki maa, behen aur baiti bhi ighlaam karnay walay per jabkeh(ighlaam kernay wala) baligh ho haram ho jati he.or agar ighlaam kerwanay wala merd ya ighlaam kernay wala nabalig ho tab bhi ehtiyaat e lazim ki bina per yehi hokum hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349 - 2375). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam walaikum. 1)kya maa baap k bagair shadi qubul hoti hai? 2)nikha ki pahli raat ko nafil namaz padna hai?
Answer: 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. Jabke mard ko agar balig ho to ijazat zurari nahi he.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342) 2)Mustahib he k nikah(shadi) ki pehli raat hambistari say pehlay (2) rakaat namaz parhein. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam Please mghy batye k mai na muta ki mudat sy phly muta kahtam ker dia tha, mudat bakhas di the ab mai dubra us he larki sy muta kerna cahta hon wo bhe kerni cahti hai kia mai ker sakta hon please reply me
Answer: Jee haan.jis aurat k saath aap nay muta kia tha or abhi oski iddat khatam nah hoe ho, os k saath aap dobarah muta ker saktay hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2396).
Question: mera sawal hai kai aek larki se do nikkah karsakte hain kya? agar larki or larke ne maa bap se chup kar nikkah karlia ho bad main maa baap man gai hon or badnami na ho is liea sub kai samne dobarah nikkah kar sakte hain kya plz iska jawab jaldi dieaga
Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
Question: KIA SYED ZADI SEY GHIAR SYED KA NIKAH HO SAKTA HAI?
Answer: Sayed merd ka nikah ghiar syed aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221).