Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 50
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam ale kum, mujheyeh jaanah hai kei agar kissi shia nei kissi majboori kei tehet aik sunni mulannah sei apna nikah parwaya ho toh kya woh nikah jaezz hai? ya dubhara shia tarikei sei karwana honga??

Answer: Salam un alaikum, Mazkoora soorat mai nikah sahih hia. Ref:Istiftaat Aqai Sistani

Id: 356
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah ka Seegha Kya hai ( In Arabic)

Answer: B.T. agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 362
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can a sunni maulvi conduct a nikah of a sunni man with a shia girl in a shia way, if so what are the main requirements of the nikah in a shia fiqh?

Answer: jee han, Aqade nikah ki sharayet me hain ke:- 1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae. 2. sigha padhne wala aqalmand ho or ahteyat wajib he ke baligh bhi hon. 3. ye ke mard w orat or uska wakeel sigha padhte waqt qasde insha rakhte hon. (ref: tawzihul masail, Ayatullah Khumeni masala no. 2367, page no. 391)

Id: 527
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bina kisi gawah k nikah yani larka larki khod hi Allah ko hazir nazir jan kar ek dosry ko apny nikah mai Qoboll kar sakty hai kya?

Answer: b.t. jo ladki sane bulug ko phonch chuki ho or rashida ho yaani apna bura bhala samaj sakti ho agar wo shadi karna chahe or kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2336) agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)

Id: 771
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SLAM.SIR MUHY BTAEN K LADKI APNI PASAND KI SHADI KAR SAKTI HAI KIA? AGAR BAP B RAZI NA HO TO?AUR LADKI DUSRI JAGAH SHADI KAR B NAHI SAKTI AGAR US K SAMNE KOI AUR NAM LO TO RO PARRTI HAI USSE KOI RISHTADAR PASAND HAI AUR BAP RAZI NAHI .KIA KIA JAY?

Answer: 1)Nikah ki shrait me se he k mard aur aurat shadi per razi hoon. 2) Larki agr kwarai , balig aur rasheeda ho to agr Sahdi karna chahay to zaroori hay k baap ki ijazt hasil karay . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341 Bakera aur rasheeeda larki ki shadi ky liy Baap aur dada ki ijazat ki shart Khatam ho jaygi agr wo loog os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan (Ismlam ki nazar main) or urfan (maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho(Ayat Ullah Seestani(d.b) minhaajus saliheen,part #3,maslah #69) Wazifa : 2) kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah (parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo 4) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 5) wazifa bayan karne k sath aap ko is fiqhi maslah ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 834
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shadi shdua mard kay liya muta kab jaiz hai, aur woo kabhi kisi asi aurat kay sath muta kar sakta hai jis ko kuwaish ho,

Answer: Aik se zaid shadi(daimi / mutaa) karna riwayat ki roshni me mustahib he. Aur doosri shadi(daimi / mutaa) karna makrooh nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 862
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa my question is a lady who is independent and livining her own home seperatly is she need the permission for nikah from any person like father or mother or someone else

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 890
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aik larkai nai jis aurat sai zina kia ho wo larka us ki bati sai nikah kar sakta hai ya nai,

Answer: Ager koe shaks apni khala ya apni phophi say zina karay, tu ehtiyaat e lazim ki bina per onki baitiyaan is zani per haram ho jain gi.or ager Na-mehram aurat say zina kia ho tu ehwat e aula(yani behter) ye hay k oski baiti say nikah nah kia jay.(Ref: A.khumeni(R.h), 5 maraja karaam ki mainhaajus saliheen, Al-muaam’laat,maslah#1251).

Id: 895
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri ek dost hai os ki age kafi ho gyi hai but shadi nai hoyi abi,or mutah ki ijazit required hai, par os k walid or dada ki b death ho chuki hai, ab kya bager ijazit k os k sath mutah jaiz hai kya?

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 897
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi larkay nai kisi aurat sai zina kia ho to kia wo larka us ke bati sai nikah kar sakta hai.ya nahi

Answer: Ager koe shaks apni khala ya apni phophi say zina karay, tu ehtiyaat e lazim ki bina per onki baitiyaan is zani per haram ho jain gi.or ager Na-mehram aurat say zina kia ho tu ehwat e aula(yani behter) ye hay k oski baiti say nikah nah kia jay.(Ref: A.khumeni(R.h), 5 maraja karaam ki mainhaajus saliheen, Al-muaam’laat,maslah#1251).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!