Question: mara sawal ye ha kia islam ma apni bewi ke bhanje se neka jaiz ha jab ke wo bhai ke bewa b how
Answer: Insan apni biwi ki ijazat k bger uski bhatiji ya bhanji se shadi nahi kar sakta lekin agr wo biwi ki ijazat ka bger un se nikah karle or bad men biwi ijazat dede to phir koi ishkal nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2357). Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: mera swaal hai k kiqa aagha khani muslim hote hain? kia aik sunni aur muslamman larki ki shadi kisi aagha khani yani ismaili larke se ho sakti hai?plz plz jaldi jwab dijye main buhat pareshaan hoon...
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1-Agar koe shaks shahadatain kehay or on un usool per aqidah rakhta ho jo musalmano k nazdeek saabit hoon agarcha imamat k maslah main 12 imami shia say ikhtaylaaf rakhta ho wo musalman hay.(E-mail rcvd from A.Sistani Dated:15-11-10). 2-Jee haan aik sunni lerki ki shadi ismaili lerhkay se hosakti hay.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#215).
Question: slamunt alaikum janab mera sawal hai ki ager haiz me aurat se nikah ho jaye aur bad me pata chale ki bhivi hai se thi to kya nikah sahi hai
Answer: Nikah k waqt aurat ka haiz se paak hona wajib nahi hay or na hi ye nikha ki shara,it main se hay k nikah k seeghay(bool) k waqt aurat haiz se paak ho.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#2335 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: muttah ke date agr fix ke ho 15 rabulawal thn 16 rabulawal ko nikkah parhna ho tou muttah automatically expire ho jata hai ya koey ayat parhni hoti hai...waiting for ur rply??
Answer: Nikah e muta main talaq nahi hoti,balkeh muddat k khatam hotay hi ya merd ka aurat ko muddat baksh daine se muta khatam hojata(expire) hay.(Ref:A.Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah#252). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera swal hai kia nikha nama ke begr agr nikha prhya jaya or 2 gawah b mojood ho to wo nikha jaiz ho ga??
Answer: Jee haan nikah namay k baghair bhi nikah sahi hay.Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(muta) is main seeghah(nikah k bool) perhna perhna zarori hay.aurat or merd ka sirif razi hona{or seeghay nah perhna} or isi terah(nikah nama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kafi nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2328) .
Question: janab ma aik larke sa piyr krti hn wo b mujhsa piyr krta ha hum dono nikha krna chate ha ghar walon sa chup kr kia kr skte ha nika?
Answer: 1- jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2- Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2333) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KIA PHONE PAY NIKKAH HO SAKTA HY ?YA PARENTS KO PTA HI NA HO AUR CHUP KAY NIKAHH HO SKTA HY/
Answer: 1-Telephone k zerye agar baaqi tamaam shara,it maujood hoon tu nikah kerna sahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),mujtahid se pochay gay sawalaat ,part#3, sawaal#108 ). 2- Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 3- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2333) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia cristen se shadi kerna jaez hai?
Answer: Yahodi or esae(christen) autoon se muta kerne main koe haraj nahi hay or ehtiyaat e lazim ki bina par on se daimi nikah nah kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Dulhan k wakeel larki ka nikha ky bad nikha namy per signe ker sekta ha uger larki ny sign ker dy hon to bughair poochy larki sy
Answer: Jee haan. Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(muta) is main seeghah(nikah k bool) perhna perhna zarori hay.aurat or merd ka sirif razi hona{or seeghay nah perhna} or isi terah(nikah nama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kafi nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2328) . Note: Islam main asal ehmiyat zaban se nikah k seeghay ada kerne ki hay,nikah naama k honae ya nah hone se nikah per koe faraq nahi perhta. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslamualekum mera sawal ye h ki me ek ladki se shadi karna chaa hu me 25 ka hu wo 21 saal ki h. uske maa baap ki ijajat k bina me usse phone par nikah kar skta hu.
Answer: Jee nhi kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#,2341,2342)